Qadam larkaraya

263 21 21
                                    

izzah ki waja se ajj woh phir umar suliman kay sath khana khanay kay liyay beta tah . es bar umar suliman bhi khana khanay kayliyay ayay thay . izzah nai apnii karni thi toh kar li . umar suliman se kkeh kar zarak ko paani paas karaya . aur jaan bojh kar paani umar suliman kay paas rakha tah .

raat ko zarak laptop pe masrof tah . jab izzah uskay paas akar beti

"mujhay ap se kuch discuss karna hai " izzah nai zarak kay ek kan se air bud ( handsfree begair wire wala ) nikala

" kaho mein sun raha hu jaan " zarak ab bhi masrof tah . kuch type kar raha tah laptop se. izzah nai uskay laptop ko band kiya

" discuss karay ka matlab hai ap ki tawajoh darkar hai sarkar " izah muskurai thi

" acha kaho " zarak nao goud se laptop uthaya pawo table se hata kar usse jagah par laptop par rakha

" mein chahti hu kai ap mamma ko yaha le aye . mera matlab hai boht hogaya kab tak woh aisay rahay gi . es umar mein insan ko apno ki shaded zarorat hoti hai "

"izzah ap ko kya lagta hai mein nai is baray mein nahi socha .lekin mujhay nahi lagta umar suliman kabhi bhi manay ga " zarak ka lehja sanjida tah

" ap koshish toh karay . unse ek bar pyaar se kuch mangay zaror dengay mamo"

"" acha tek hai mein unse kal baat karta hu " zarak mazeed es topic par discussion nahi chahta tah .kyun kay woh janta tah . agar izzah aur us ki kisi baat par jagra ho sakta hai toh woh umar suliman hi hai. aur israr alam ki waja se woh pehle se he tense tah

" aur ek baat aur thi "

"g hukam karay " zarak muskuraya

" mujhay kal husna ki taraf drop karay . "

" mehandi ka program toh raat ko hai phir subah kyun"

" husna bar bar keh rahi thi . aur bhi college university ki friends hogi esliyay subah jawongi raat ko wapis ajawongi "

" nahi bilkul bhi nahi kal mamma kay sath thi ab husna kay sath " zarak laptop uthanay kay liyay jhuka table ki taraf

" zarak please "

" na kar larki .. mera naam lekar mujhay majbor kiya ja raha hai " zarak muskuraya tah
...
"chalo tek hai maan liya . lekin ek shart par "

"ab se tum mujhay zarak keeh kar pukaro gi "

"nahi yeh toh nahi ho sakta "

" kyun nahi ho sakta . shohar hu tumhara ab nahi bulawogi mere naam se toh kab bulawogi "

" jab ap mamo ko umar suliman kehna chor angay " izzah hansi thi . kyun kay yeh kabhi bhi nahi honay wala tah > zarak nai laptop on kiya aur phir se masrof hogaya uskay achay bhalay mood ka zarak nai bera ghark kar liya tah . izzah waha se uthi aur bed par akar bait gayi .

..........🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷...........

zarak izzah ki khatir ajj phir umar suliman kay sath khanay kay liyay beta tah . izzah nai jaan bojh kar paani umar suliman kay samnay yeh jantay huway bhi kay zarak khanay se pehle pani zaroro peta hai jab zarak jab beta

"mamo tora paani zarak kp paas kar aye " izzah nai zarak kay liye plate mein biryani nikal thay huway masrof andaz mein kaha

zarak nai bhi bd dilli kay sath hath agay kiya umar suliman nai jug ussay pakraya

..........🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷...........

zarak nai subah hi izzah ko husna kay ghar par drop kiya . us kay bad woh office gaya aur sara din israr alam k wajah se masrof raha . es kay elawa jo naya tender israr alam kay hath se nikla tah . zarak ki koshish ki waja se woh bhi SULIMAN EMPIRE ko mila tah . ajj us ki meeting thi . ashraf murad kay sath naye tender kay silsilay mein .

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now