Tarjehat

297 22 34
                                    

urooj stage par chari thi ....
"sab se pehle mein hashim se kahungi ..mujhay andaza tah meri watch izzah kay sath hogi . mere elawa agar us watch ki koi qadar karay ga woh izzah he hai . " urooj speech de rahi thi jab zarak ka phone baja tah . zarak nai phone ko off karnay kay liyay jaib se nikala tah kam az kam ajj kay din woh koi bhi disturbance nahi chahta tah . jab {amma khala } calling dekhaye diya ussay screen par .zarak nai phone pick kiya

"zarak beta city hospital jaldi ajawo "amma khala nai pareshan awaz mein kaha

"kya huwa amma khala mamma tek toh hai na " zarak nai pareshan andaz mein pocha tah . izzah ka sara jism kan ban kar ussay sun raha tah pori tawajjo zarak ki taraf thi . uski maa urooj bhi kahi pasmanzar mein chali gayi thi

"ap jaldi se hospital ajawo mein unhay andar lekar jati ho hum pohanch chukay hai " amma khala nai baat jaldi khatam ki thi

"mein araha hu ap mamma ka khyal rakhay . mein bs nikal hi raha hu " zarak nai phone rakha tah. es tamam waqt mein pehli bar izzah ki taraf dekha tah . izzah ki anko mein sawal raqam thay ' kon hai amma khala ?? kaha ja rahay hai?? '

"mamma hospital mein hai mujhay jana hoga .meri jaan ." zarak nai izzah kay chehray par hath raka tah aur ek peki muskurahat kay sath kaha

"g" izzah nai boht mukhtasar jawab diya tah .

zarak kai janay kay bad ek lamhay kay liyay bhi toh izzah khush nahi ho paye thi . benish aunty kaisay hogi . zarak kitna pareshan tah . us nai koi phone bhi toh nahi kiya na he koi message .

........................................

zarak hospital mein anay kay bad sedhe doctor se mila tah . jis nai yahi jawab diya tah benish ka blood pressure boht kam hogaya tah . es wajah se behosh ho gayi thi . unka khyal rakha jaye . zarak benish ko lekar ghar aya tah .unkay paas beit kar unsay boht sari batay ki. woh jo yeh soch chuka tah mamma se boht dino tak naraz rahay ga sab kuch bhool chuka tah sab kuch boht peche chor chuka tah . ussay izzah ka khyal tah lekin ussay mamma kay sath waqt betana tah . boht late woh ghar par aya tah subh kay 5 bajy thay . woh kamray mein aya toh izzah fajr parh kar so chuki thi . zarak nai kapray badlay aur akar soo gaya tah.

..........................................

izzah raat ko zarak ka intezar karti rahi .fajar parnay kay baad intezar kartay huwi soye thi .subha dair se ankh khuli thi taqreban 10 bajay thay din kay . zarak so raha tah . izzah kapray lekar washroom mein gus gayi .jab bahir nikli tab bhi zarak so he raha tah .

izzah nai boht hi sada sa dark color ka jora pehna

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

izzah nai boht hi sada sa dark color ka jora pehna .tayar huwai. kamray se bahir ayi . mamo bahir arden mein he betay thay .woh sedhe unkay paas gayi . salam dua kiye phir kitchen mein ayi. salim kaka ki biwi kitchen mein masrof thi .

"asalam alaikum " izzah muskuratay huwi un se mili

"walaikum asalam kaisi hai ap choti malkan " rakhshanda nai muskuratay huway jawab diya .

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now