Sulah

255 22 30
                                    

" ap bata kyun nahi deti kya mila ap ko apni behan ko mar kar " zarak ab bhi chekh raha tah , benish khamosh kari sirf ussay sun rahi thi .amma khala kuch nahi samjh rahi thi .

"beta yeh ap kya keh rahay hai " amma khala nai zarak se pocha tah

" amma khala es aurat nai mujhay apnay baap se nazray milanay kay qabil nahi chora .(zarak ki awaz kam huwi thi ) kaisay jawo mein uskay samnay jo meri waja se kal se hospital bed par paray huway hai . kya jawab dunga apni maa ko . kyun apnay baap ko azeyat deta raha . " amma khala ko batatay huway woh akhir mein benish ki taraf dekh kar chekha tah "kya kahunga mein ...ap bataye toh sahi kya jawab dunga apni maa ko "

"betaa " boht mushkil se kaha tah benish nai.jaisay ansowo ka gola uskay galay mein atka tah .

"bs karday ay ap " zarak chekha tah

"bs karday mujhay beta kehna. ap apni behan ki na ho saki meri kya hogi miss benish sahiba "zarak keh kar ruka nahi tah . zarak gari mein akar beta tah . stirring wheel par sar rakha . andar ka jhwala ab bhi nahi bhuja tah . himmat peda karnay ki koshish he kar sakta tah umar suliman kay samnay janay ki . kaisay jata ...

zarak nai sar utha kar stirring wheel kay uppar chotay sheeshe mein apni ankho mein dekha tah ......zarak faisla kar chuka tah ussay pehle hoor se maafi mangni hogi . tab hi woh umar suliman kay samnay jannay ki himmat kar paye ga.

.......🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷........

"Behtar hoga ap patient ko ghar le jaye . unki tabiyat ab thek hai bs unhay calm (pursakoon) rakhay khush rakhay . hospital mein rehte huway patient aur bhi zyada depressed ho saktay hai . " doctor izzah ko samjha raha tah

" G sir sahe hai . unhay discharge kar le " izzah nai kaha toh tah lekin soch mein pari thi . kaha lekar jaye mamo ko . zarak ka samna karnay se behtar hai mamo ko ghar le jaye lekin urooj se kya kahe gi . umar kay sath gari mein baitnay tak woh isse kashmakash mein thi kaha lekar jaye mamo ko ... jab umar nai kaha tah

"mujhay hoor ki qabar par le chalo " umar jaisay izzah se nazray chura raha tah . umar ki wajah se he toh woh ajj yaha par kari thi . umar apnay bete se nikah na karwatatoh ajj kuch bhi na hota .

"G baray sahib " driver nai kaha tah . salim kaka driver kay sath agay beta tah . izzah khamosh rahi thi . jab gari qabristan k samnay rukhi toh izzah bhi gari se uttarnay lagi .

"aurtay qabristan nahi jati izzah " umar suliman nai shafqat se apna hath uskay sar par rakha tah . izzah nai salim kaka ko ishara kiya tah 'mamo ka khyal rakna'

.......🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷........

zarak ghotno kay bal beta tah " kaha se shuru karo ..... mamma (zarak ki ankho se anso jari huway thay ) mein toh es layaq bhi nahi hu ap ko mamma kaho . mujhay maaf kar dena . nahi samjh saka ajj tak apki behan ko . kya muh dekhawonga mein ap ko qayamat kay din . ... boht azeyat de hai mein nai ap kay shohar ko ...... nahi keh sakta mein unhay baap ...... mujhay haq nahi hai . bilkul bhi nahi . ....mera dil kar raha hai mein mar jawo . mujhay kal se lag raha hai meri saans ruknay lagi hai . ....lekin rukti hi toh nahi hai... kaisay maafi mango baba se . kya karo mamma . kaisay samna karo baba ka . mein kyun nahi marta ." zarak kay kandhay par kisi nai hath raka tah . zarak nai peche ki taraf dekha toh aglay he lamhay zameen par bait gaya .

"mujhay maaf karday baba" zarak ro raha tah . umar suliman nai us kay sar par hath raka tah

"utho " umar suliman nai rob dar awaz mein kaha tah unka chehra bilkul spot tah .koi bhi toh expression nahi tah unkay chehray par . zarak uthnay ki koshish kar raha tah lekin himmat nahi kar paraha tah . kaisay woh apnay baap ko azeyat deta raha tah .

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Onde as histórias ganham vida. Descobre agora