Rukhsati 👰

375 20 13
                                    

Arsalan ko galay laganay kay bad zarak nai Hashim daniyal ko galay lagaya . waha jo bhi tah sab ko galay lagaya sewa ay Umar suliman kay. Izzah nai urooj ko ishara kiya kay ussay apnay kamray mein jana hai . urooj use lekar chali gayi . Dopar tak ghar khali ho chuka tah. kyun kay raat mein sab ko marriage hall ana tah. kisi nai barat mein shamil hona tah toh kisi nai barat ko welcome karna tah. ek hal chal machi thi hr taraf. Naina nai aisi tayariya pakri thi jaisy us ki shadi ho. husna bhi tayar honay mein busy thi. dopahr mein Khana khaya gaya . tab izzah ko parlour bheja gaya. Kyun kah us nai abhi tak mehandi bhi nahi lagayi thi. Ussay nikkah kay safed joray kay sath hatho ko khali he rakhna tah...

sham tak usse tayar kiya gaya tah. mehandi ka rang bhi boht gehra aya tah .Jab sab haal a chukay tay toh naeem sahib nai arsalan ko ussay lanay kay liyay bheja kyun kay hashim daniyal aur shoaib guest ko dekhnay mein boht masrof thay. Arsalan unhay lene gaya husna aur naina bhi thi . Tab tak sab haal mein achukay thay. Bs dulhan ka intezar ho raha tah. IZZAH ko andar laya gaya toh ek taraf daniyal kari thi . Dosri taraf hashim . Zarak ajj phir wahi galti kar gaya tah. Us kay haal kai darwazay me dakhil hofay hi zarak kara huwa tah chair se. Us kai paas beta shoaib hans para tah . Zarak nai wahi subah wala cotton he pehna tah safed rang ka . Lekin upar ka waistcoat sirf badal gaya tah.

Izzah nai wahi red aur orange color ka dress pehna huwa tah

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Izzah nai wahi red aur orange color ka dress pehna huwa tah . hijab ajj bhi liya hiwa tah . Bs farq sirf itna tah ajj chehra chupa huwa nahi tah . Ajj chehra dekhaye de raha tah .

Door se he zarak us kay ek ek naqsh ko dekh raha tah ... jab stage kay pas ayi toh zarak pehle se he agay kara tah. Hath agay kiya toh hashim aur daniyal wahi kari rahi . Izzah nai jhijhak tay huway hath us may hath par rakha . W serya jo stage ko charti thi us par chari aur sofay par bet gayi toh zarak bhi paas bait gaya

Zarak ajj khilaf e mamol izzah se batay nahi kar raha tah . Na he ussay puzzle kar raha tah... Izzah pehle toh pursakon thi . Phir dil mein ek dar sa bait gaya. Ajeeb ajeeb khyalat ana shuru huway jab paas se awaz ayi

" Muh dikhayi dena zarori hai . Mein bhool gaya tah. " Zarak pareshan lag raha tah . K jaisay koi boht bara masla hai yeh

" Nahi . Koi baat nahi " Izzah boht ahista se kaha tah woh dil se muskurai thi . Warna zarak ki pareshan shakl dekh kar usnay boht mushkil se hansnay par qabo kiya tah.

" Kuch bhi nahi kahogi. Khafa nahi huwi. Mein abhi le leta lekin abhi apni shadi chor kar jawonga toh sab sawal karangay. " Zarak pareshan tah ab bhi

" koi masla nahi . Baad mein de dena " izzah nai uskay hath pe hath rakha tah . Lekin pehle apnay dupatay se hath ko Dakah tah . Kisi ko bhi dikhayi nahi diya kai us nai Dupatay kai neche se apna hath bhi zarak kai hath pe rakha tah. Woh majbor thi . Zarak ko paresshan dekhna us kay liyay soghan marg tah.. boht qareb ho gaya tah woh duahman e jaan uskay..

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now