Bikray Reshte

283 24 35
                                    

zarak khob ronay kay bad utha tah . gari ki chabi uthaye 1 ghantay se zyada driving kar nay kay bad thak kar wapis ghar ki taraf lota tah . ab bhi wehshat se thi .lekin gari accident se bar bar bachi thi . khali demagh kay sath ghar mein dakhil huwa tah ghar kafi khali tah ..... shehar kay dono taraf ek he haal tah na izzah nai subh se kuch khaya tah na hi zarak nai kuch khaya tah .dono kay dil khali aur demagh shal ho chukay thay .

zarak kamray mein aya toh batti ab bhi jhal rahi thi . zarak washroom mein gus gaya bed k taraf aya jab us kay paw kay neche dairy ayi us nay paw hataya toh zameen par dairy khuli huwi pari thi zarak us ko uthanay kay liye jhuka toh uski nazar zameen par paray tasveer par pari thi . usnay tasveer ko palta toh samnay mamma ki pic thi

.. lekin jawani ki kaye saal pehle ki shayad 30 35 saal pehle ki . zarak ussay dekh kar heran huwa tah . kitni haseen thi mamma jawani mein . uppar se surkh rang ka lipstick make up . lekin zyada herani es par huwi thi benish nai jis larki ko galay se lagaya tah woh kon thi . woh toh bilkul mamma jesi thi . bs mamma zyada Safed thi . aur woh larki bilkul aam se hulye mein thi shalwar kamees mein aur dupata bhi sar par liya huwa tah . jab kay bensih kay bal khulay huway thay dualpata bho galay mein tah aur kamees ki length bhi kam thi shayad us waqt ka trend yahi hoga. lekin us larki ko dekh kar zarak pareshan huwa tah. bilkul ek jaisi ... bs balo kay rang mein farq tah aur benish zyada safed thi . toh kya woh benish ki ......twin sister thi . zarak wahi zameen par bait gaya bed kay pawo se taik lagaya

zarak natejhe par pohanch na chahta tah . hmesha se jald baz he toh raha tah es liye dairy ka akhri safa khola

is dairy main mein nai sirf ....umar ki baatay ho baho uskay andaz uskay alfaz mein likhay hai kyun kay woh hmesha se he mere liye khass raha hai . mujhay boht azez raha hai . yeh dairy mein apnay poto ko dungi hahahaha

.zarak ki pareshani mein izafa huwa tah...usnay dairy ka pehla safa khola

jaha par bara bara HOOR UL AMIN likha huwa tah 33 saal pehle ki tarekh likhi huwi thi . neche HOOR UMAR SULIMAN likha huwa tah aur date 30 saal ke pehle ka likha huwa tah .

zarak ki pareshani mein mazeed izafa huwa . usnay safa palta

mujhay yaad nahi dairy likhna mein nai kab shoro kiya bs mujhay itna pata hai jis raat ko na likho neend hi nahi ati . es liye yeh meri choti dairy hai . mujhay likhnay se ishq hai . ajj itna kuch khas toh nahi huwa jo mai likho aam sa din tah university main . urooj ajj phir se mujay cher rahi thi kay umar kay liye woh mera hath mangay gi . lekin yeh faisla us kay hath mein kaha ? shayad hota toh acha hota kam az kam meri khwaish hi pori ho jani thi . agar umar mujh se shadi karay toh shayad mein es dunya ki pehle khushnaseeb larki hongi jis se us ki crush se shadi huwi ho hahaha . mein bhi ajeeb hu . umar mujh se shadi kyun karay ga usse toh benish pasand hai . uski best friend hai .... kash woh mujh se bhi es tarah ki dosti karta kitna acha hota . kitna mukamal mard hai . koi larki uski khwaish kyun nahi karay gi .Allah ussay hmesha khush aur abad rakhay . ameen sm ameen ....good night pyaari dairy

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now