Walima part 2

295 23 28
                                    

urooj kay dil ko tasali mili thi izzah ko khush dekh kar . kyun kay unkay dil mein darr beta huwa tah zarak usse kaysay rakhay ga. ji phophi ko us nai kabhi khud se salam jawab nahi kiya uski beti ka kya khyal rakhay ga. jab jab urooj ki nazar zarak par pari . woh muskuraya tah urroj ko dekh kar.

benish ki waja se jo shikayat thi zarak ko tamam khandan walo se. woh ajj bhi wahi thi . lekin izzah ki waja se woh km az kam itna toh kar he sakta tah .kay uskay ghar walo kay sath do gari muskura yeh .....

urooj ko hoor ki shaded yaad ayi thi . ajj woh hoti toh kitni khush hoti . ek anso anko mein akar tehra tah urooj chal kar zarak kay samnay kari huwi thi .zarak ki nazar pehle se hi urroj par thi jab kay sath beti izzah is baat se mukamal tour par be khabar thi kyun kay woh husna kay sath batay karnay mein boht mashghol ho chuki thi

urooj jab zarak kay samnay kari huwi toh palko par para woh anso moti ban kar chehray par gira tah . zarak kara hogaya tah .umar suliman bhi es taraf muta wajah ho chuka tha . izzah aur husna nai zarak ko karay huway dekha toh dekhti hi reh gayay . kyun kay aglay he lamhay urooj nai zarak kay dono chehro par hath rakha.zarak nai sar jhukaya toh urooj nai uskay sar par bhosa diya . urooj kay ronay mein rawani ayi thi . zarak ka dil na janay kyun boht zyada udas huwa tah .usse apna yeh udas hona bilkul bhi acha nahi laga tah

akhir woh urooj kay liyay kaisay naram par sakta tah. urooj nai bhi toh apnay bhai ko nahi roka tah jab wo ko ghar se nikal raha tah . na he milnay ki koshish ki . babhi pasand nahi thi tek hai .. lekin pehle toh benish cousin thi na urooj ki . phir bhi ... phir bhi usnay apnay bhai ko nahi roka ...yeh dil ussay kaisay maaf kar sakta hai. kaisay naram par sakta hai woh bhi usaurat kay liyay jis aurat ki waja se us ki maa benish aziyat mein thi . apni bebasi dekh kar zarak ka dil jaisay kisi nai mutti mein bhencha tah .

'agar yeh char saal bech mein na atay .. mujhay izzah se ishq na huwa hota . dado ki wafat par meri nazar izzah ki anko par na parti .toh mein is he izzah kay zarye sab se badla leta . sab se . lekin ... bebas hu . haar chuka hu yeh dil ab izzah kay liyay he us kay ghar walo ko khush rakna chahta hu kaha lakar kara kiya hai es ishq nai ' zarak yeh sab sirf soch hi sakta tah ....

Ishq ne ghalib nikama kar dia,
warna ham bhi admi thay kam ke

zarak kay zehan mein yeh shair ek dam se aya tah . ek shoq muskirahat uskay chehray par namudar huwi thi

" Allah tum dono ko hamesha khush rakhay " Urooj nai boht dil se dua di thy

" Ameen " zarak aur izzah nai bayak waqt kaha tah .

" Ladies and gentle men... pay your attention here please " ( mard aur khawateeno hazarat . meharbani kar kay yaha tawajo di ji yay ) Izzah aur zarak kay stage kay right taraf dosray stage par Arsalan hath mein mike pakray logo ki tawajah apni taraf mabzol kar chuka tah. sab mehman apnay maiz kay ird gird ki kursiyo par betay huway us k taraf dekhnay lagay. Arsalan kay paas stage kay qareeb he husna naina hashim daniyal urooj aur salim kaka karay thay .

" toh jaisa kay ap sab jantay hai ajj mere boht he khas dost kay walimay ka funtion hai . es liyay es din ko aur bhi yaad gar bana nay kay liyay hum nai yeh surprise tayar kiya hai." Arsalan zarak ko dekh kar muskura raha tah

" Babhi sab se pehle toh ap ko mubarakbad dunga Kyun kay mera dost heeray se kam nahi. boht saaf dil ka malik hai. jo dil mein hoga wahi zahir karay ga . banawat se bilkul pak. Aur intiha pasand hai tora sa... lekin woh bhi ap kay haq mein behtareen he hai. kyun kay dil jo de beta hai ap ko " arsalan nai qehqaha lagaya tah. zarak ussay isharo se tanbih kar raha tah . zarak kay pechay stage ki dewar par Projector ko set kiya gaya tah . jis par zarak aur arsalan ki bachpan se lekar ajj tak ki tasaveer dekhaye ja rahi thi . aur prche background mein dheeme awaz mein gana laga huwa tah ......

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now