Maan tota..

317 22 87
                                    

"mamo ap please benish aunty ko yaha anay de. akhir kab tak benish momani es ghar se door rahay gi " izzah umar suliman kay samnay carpet par dozano beti huwi thi jab kay umar suliman bed par betay huway thay

"tum dono chalay jawo . mujhay koi atraz nahi hai " zarak jo kay kamray ke bahir se guzar raha tah umar suliman ki awaz par ruka

"mamo mein ap ko akelay nahi chor sakti ap please meri baat samjhnay ki koshish toh karay" izzah ab bhi iltija kar rahi thi

" beta zarak tumhara shohar hai tumhay uski baat man lene chahe yeh " umar suliman nai uskay sar par hath raka tah

"" mamo mein ap ko mana kar he rahungi chahe jo bhi ho ja ye mein ap ko chor kar kahi nahi jawongi " izzah kay irado mein chatano jaisi mazbot thi

" izzah beta mein apnay akhri lamhat mein sakon chahta hu jo benish nai mujh se chen liya. tumhari shadi kay bad mein nai woh sakon paya hai. meri hoor ki khwaish pori huwi hai tumhay es ghar mein lakar . agar ab meri nazar benish par pari toh woh taklef phir se taza ho jaye gi . phir se hoor ki yaday mujhay hr lamha maray gi kay mein us ki hifazat hi na kar saka .tum zarak kay nikah mein ho meri hoor ki khwaish pori huwi hai "

"mamo mein bhi es ghar mein sirf hoor aunty ki waja se ayi hu. warna mera dil kar raha tah yeh reshta tot ja ye es kay liyay mein nai mama se baat bhi ki thi lekin mama nai hoor ki dairy " izzah ka jumla pora huwa hi nahi tah jab taliyo ki gonjh sunayi di thi .

" wah wah wah" zarak taliya baja thay huway kamray mein dakhil huwa tah

"boht acha khel khela hai mamo aur bhanji nai " izzah aur umar suliman dono hi uthay thay apni jagah se

"aisi koi baat nahi hai " izzah ko zarak ki soch par afsos huwa tah

"toh aur kaysi baat hai " zarak boht zor se chekha tah jis ki wajah se salim kaka bhi kamray kay darwazay mein akar karay huway thay

" aur kon hai yeh hoor ap ki kis mashuqa ka nam hai jis ki waja se ap nay meri maa ko itny saal azeyat mein raka " zarak ab bhi chekh  raha tah

"apni bakwas band karo zarak"izzah nai bhi unchi awaz mein kaha tah

"ohh mein toh bhool hi gaya tah umar suliman sahib toh apnay liyay wakeel bhi layay hai es ghar mein . toh bataye na wakeel sahiba mashoqa na kaho toh kya kaho rak...heel "zarak nai tanz kiya tah ese waja se rakeel lafz ko kench kar alag hi andazz mein kaha tah . izzah ka hath utha tah zarak ko aur bhi ghusa aya tah

" hath bhi kaisay lagaya tum nai mujhay " zarak nai izzah kay dono bazowo ko sakhti se bhencha . dono es baat se bekhabar thay peche kara umar suliman kuch kehna chahta tah blkay chekhna chahta tah . uski hoor ko uskay hii betay nai rakheel kaha tah mashuqa kaha tah . lekin awaz nahi nikal rahi thi unkay muh se dil par dono hatho ko rakha huwa tah

"tum dono mamo bhanji ki planning mein kamyab nahi  honay dunga . dor karna chahte ho na mujhay mom se toh suno .un par hazar izzah qurban" zarak ki ankho se jaisay agg tapak raha tah. izzah khud ko chora nay ki koshish kar rahi thi zarak ki ungliya uskay bazowo mein jaisay surakh kar rahi thi . taklef ki shedat se ankho se musalsal anso jari thay

" mein zarak suliman Allah ko hazir nazir jaan kar apnay hosh o hawas mein miss izzah naeem ko ta..." jumla pora hi nahi huwa tah jab salim kaka "baray sahib" chekhtay huway umar suliman ki taraf aya tah jo aglay he lamhay zameen par   paray thay

salim kaka umar suliman k taraf bhagay thay zarak room se nikal gaya aur izzah waha sakin kari rahi . woh koi mujasama ban gayi thi sakit ... Na ab ro rahi thi na ab kano sunay par yaqeen araha tah na ankho dekhe par zarak kya keh raha tah ....? na he jism mein tori se taqat rahi thi tah k khu ko yaha se le ja sakay

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now