Peshmani

289 25 29
                                    

lekin yeh kya huwa tah..... aglay hi lamhay izzah ka hath benish kay chehray par para tah .... izzah ka demagh jaisay shal huwa tah .... Benish kahi se bhi toh woh wali benish nahi lag rahi thi jo tasbeer us nai hoor ki dairy mein dekhi thi ...

kya tah jis nai unhay itna kamzor aur lachar kar diya tah. nahi waho rangat rahi thi na he woh andaz. benish toh apna boht khyal rakhti thi . kya unki peshmani thi jo andar he andar se ussay kah rahe thi . izzah nai hath chehray par rakh kar jaisay yaqeen karna chaha... jab yaqeen ho chuka kai . woh bensih he hai jo unkay samnay kari hai ek murjhaye huway phool ki tarah... rk takay haray musafir ki tarah

toh izzah unkay galay se lag kar khob ronay lagi . izzah ko taras aya tah un par. un ki ek galti kitni zindagya barbad kar gayi thi. aur sab se syada bensih nai khud ko azeyat di thi . 29 saal pehle wo kaam kar kay....

Benish bhi izzah kay galay mil kar khob roye thi. kitnai salo bad kisi nai unki taraf qadam baraya tah . warna us kay khandan walay sab boht agay bar gayay thay. zarak kay alawa ab kisi ko bhi unki zaat se koi dilchaspi nahi rahi thi...

zarak yahi samjh raha tah . izzah aur benish boht salo bad mil rahay hai shayad is liyay. ri rahay hai. ussay kya khabar thi izzah ko taras ayi thi un par aur bensih ka pachtawa ek bar phir se boht zor o shor se unkay andar sar utha chuka tah .

" kuch zyada hi rona nahi araha saas baho ko " arak nai mahol mein chaye tanaw ko khatam karnay kay liyay kaha. woh dono ab bhi ro rahi thi

"bs karday yaar"  zarak unkay paas gaya. Benish kay kanday par sar rakh

" mujhay pata hota yeh scene honay wala hai mein izzab ko kabhi bhi nahi lata " zarak nai ankho hi ankho mein izzah ko anso saaf karnay ka eshara kiya. aur apnay hatho se benish kay anso saaf kiyay

" bs karday beit jaye . amma khala jaldi se kuch khanay ko le ayey" zarak nai andar se he awaz.lagaye

" abhi laye beta " izzah Benish kay sath he bed par bait gayi . Zarah sath rakhi chair par beta

" Zarak kya ajj izzah mere paas he ruk jaye" benish nai muhabbat se izzah ko dekhtay huway kaha

" izzah ki marzi agar woh rukna chahay..mujhay koi atraz nahi" zarak muskuraya tah

" rukna chahti ho " benish nai izzah se pocha . zarak nai chupkay se nafi ka ishara kiya

" besharam isharay karna band karo " benish nai uski chori pakri thi

" mein rukna chahti ho  " izzah ko bhi toh boht kuch janna tah. phir kya huwa tah. hoor ki dairy tak toh woh janti thi lekin uskay bad jo kuch huwa . umar suliman ka benish ko ghar se nikalna . tamam reshto ka benish kai hatho se chot jana.

"rukh jawo koi masla nahi " zarak muskuraya tah lekin jab benish ka deyan zarak se hata zarak nai dono bhanway uthaye

                .....................................................

zarak raat ka khana khanay kay bad ghar gaya tah .izzah darwazay kay paas bhi nnahi ja paye thi . ussay haya arahi thi benish aur amma khala se . izzah kay kapro par kaam huwa ta toh usnay benish kay kapray pehne thay safed rang ka jora tah . izzah amma khala aur benish kay sath beti huwi thi . bar bar zarak kay messages aarahay thay . lekin izzah ko acha nahi lag raha tah unkay samnay mobile use karna zarak kay teen char messages kay jawab mein ek mukhtasar  jawab deti

{naraz hu tumsay izzah } message aya tah
{boht bewafa ho yaar . ek he din mein bhool gayi }
{yaar jawab toh do }
{baat na karna mujh se}
{wahi raho . sun liya na . wahi raho } izzah nai ek lamhay kay liyay ohone uthaya

{ haha } likh kar jawab diya phir phone wapis rakh diya

. benish izzah ki karwayi  ko noote kar rahi thi amma khala sonay chali gayi.

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now