Biwi ❤️

359 20 14
                                    

raat kay tesray pehar zarak ki ankh kuli toh usnay bed ko khali paya . taqreban das minute tak woh wahi bed par izzah kay washroom se nikalnay ka intezar karta raha . lekin washroom se abhi tak ek bar bhi toh awaz nahi ayi thi . zarak utha tah bed se. washroom kay darwazay par karay hokar usnay izzah ko pukara lekin jab koi jawab nahi mila toh usnay darwaza kola toh wahi koi bhi nahi tah . zarak nai balcony check ki . lekin waha bhi nahi milli . zarak kamray se bahir nikla .kitchen ki light bhi band thi . zarak ab pareshan honay laga bahir ghar kay darazay bhi band thay bahir bhi nahi gayi thi . zarak ussay guest room mein dekhnay kay liyay jaraha tah kyun kay ussay laga woh naina aur husna kay pass gayi hogi jab usay study room kay rshandan mein roshni dekhayi diye. zarak nai khamoshi se darwaza kola toh izzah jainamaz par sijday mein sar jhuka huwa tah .zarak darwazay kay pas he dewar se tekh laga kar ussay dekhta raha izah ki pusht thi zarak ki taraf .izzah nai salam pheri toh ussay shak guzra . usnay peche dekha toh ussay hath banday dewar se tek laga ye huway zarak dekha . ek muskurahat us kay honto par khud he sajh gayi .

"ap kab ayay" izzah nai ussay pocha

"tori dair pehle tum kamray mein nahi milli toh pareshan howa esliyay tumhay dhondtay huwy yaha tak aya hu " ek he raat mein zarak ap se tum par aya tah

" mujhay laga roshni ki waja se ap ki neend kharab ho ja ay gi es liyay yaha agaye" zarak uskay paas akar carpet par beta tah

"ap ko toh hamari zindagi kharab karnay ka haq hasil hai ap sirf neend ki baat kar rahi hai " zarak nai apna sar uskay khandai par rakha tah

"bina sochay samjhay kuch be keh dete hai " zarak nai koi jawab nahi diya tah bs ankhay band kar di thi

"mujhay dua karnay day phir chaltay hai kamray mein" zarak usse tarah ankhay mondhy khamosh beta raha

"mein nai dua parh li hai Chaltay hai kamray mein" izzah nai dua kay bad muh par hath pertay huway kaha

" nahi . mujhay sukoon.mil raha hai yaha " zarak nai izzah kay kandhay par fakhay huway sar par dabaw dala tah

" kamray mein ja kar so jaye ga na" izzahnai uskay balo mein hath pertay huway kaha

" nahi itna time nahi hai fajr ki azan mein... jab tak mein bath longa azan bhi ho chuki hogi " zarak nai izzah kay kandhay se sar ko uthaya tah ab khud bhi uth chuka tah. izzah bhi uthi jaenamaz utha kar shelf me raka aur zarak kay sath qadam se qadam milatay huway kamray.mein ayi.
zarak nai almari se kapray nikalay aur washroom mein gus gaya . jab kay izzah bed par bait gayi. us nay dupata hataya kyun kay ussay hamesha he ghelay balo se uljhan hoti thi . tori he dair mein es ki ankay lag gayi. zatak jab bahir aya toh izzah so rahi thi . woh bhi baitay huway hi us kay bal kulay huway thay . zarak muskuraya tah .

" izzah agar namaz parh li hai toh sahe se so jawo " zarak nai izzah par jhuktay huway kaha tah

" nahi parhi " izzah dobara se wazu karnay kay liyay washroom mein gus gayi wapis jab bahir ayi toh zarak namaz parh chuka tah bed par laita mobile check kar raha tah .

izzah nai akar namaz parha dua ki. jab tak woh fairgh nahi huwi zarak bhi Mobile mein busy raha . Izzah akar lait gayi toh zarak nai lamp band kardiya .

.......🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺........

izzah ki ankh boht dair se kuli thi . 12 baj rahay thay din kay. woh tori se fikar mand huwi thi . ajj pehla din tah es ghar mein woh bhi itnay dair se uthi thi . woh bed mein beti thie balo ko catcher mein bnad kiya dupatay ko galay par pehlaya woh bed se uthi slipper pehan hi rahu thj jab zarak kamray mein dakhil huwa us kay hath mein tray tha .

" uth gayi meri biwi " zarak muskura raha tah

" ap nai mujhay pehle kyun nahi jagaya " izzah bhi muskura ye

" kyun kay mujhay apnay hath se apni biwi kay liyay nashta bana na ta" zarak nai tray ko bed par rakha

" ap nai banaya hai "

" g .. zah e naseeb " zarak nai us ka hath pakra usay be betaya

" muh hath toh doh lo " izzah phir se uthi thi

" acha "

izzah washroom se bahir ayi us kay pass beti . " ap nay kyun banaya Salim kaka ki biwi nahi ayi " izzah nai cup mai chai undayl tay huway pocha

" un kay chotay sahib ki shadi ki khushi mein unhay chuti mili hai " Zarak nai uskay liyay plate mein anda nikala

" mein bana layti ap mujhay hi utha detay. "

" kal raat kaam karnay ka kaha tah. kaisi shakl banaye thi " zarak nai qehqaha lagatay huway kaha

" acha kiya tah..........(izxah nai bhi qehqaha lagaya tah) lekin ap husna logo ko keh detay "

" sab chalay ga ay hai ghar khali hai "

" kyun "

" kyun.... kyun kay sab nai tayar hona hai . raat kay function kay liyay . "

" aur mamo" zarak kay chehray se pehli bar muskurahat ghaib huwi thi

" raat kay walimay ki taqreeb ki waja se haal ko dekhnay ga ay hai "

izzah zarak kay hr andaz ko dekh rahi thi . samjh rahi thi. zarak nai newala izzah kay muh kay qareeb kiya. zarak nai us kay bad chai ka cup uskay muh kay qareeb kiya

" ap khud nashta karay mein karlongi "

" tum kar lo mein bad mein karlonga " zarak ab bhi ussay nashta karwa raha tah

.... 🌺🌺🌺🌺🌺🌺......

episode tora short hai . lekin din mein dosra episode diya hai . es liyay itna he ho sakta tah mujh se

Dedicated to ummefizza ❤️

mein apni id ka name badal rahi hu... ahqara se....thank you

agar ap ko walimay wala scene chahe yeh toh keh day warna mein soch rahi hu . novel ko khatam kar deti hu romantic saray scene hata deti hu. agar walimay ka episode chahe yeh toh bata day tah kah mai likhna start kar do abhi se.....
Comment kar kay bata yay walimay wala episode do kay nahi????

vote comment and follow.....

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now