Samjhota

517 36 16
                                    

Episode 2 samjhota

char saal pehle....
Ajj dado kay wafat ka tesra din tah. itnay dino mein ek bar bhi zarak aur izzah ka samna nahi huwa tah.
izzah ki nani zarak ki dadi thi lekin sab bachay unhay dado he kaha karty tay. do dino se izzah ki ami boht he ranjheeda thi . maa kay bicharnay ka dard hota he kuch aisa hai . na kuch kah rahi thi na pee rahi thi . izzah unkay liyay kitchen se kuch lene k liyay gayi thi. Izzah ka halkay nele rang ka dupata balo pe behlaya huwa tah . hamrang kaprai zebtan ki ay thay. bari bari ankhay ab bhi surkh thi . jis mein dunya jaha ka dukh samaya huwa tah. woh hath mein tray lay kar kitchen se bahir nikal hi rahi thi kay samnay se zarak ghar mein dakhil hotay hu v dekhae diya. ajj do din bad wo kamray se nikli thi. Aur dado kay ghar woh boht kam hi ati thi khas kar tab jab zarak out of town howa karta tab he ati thi . ek lamhay k liyay dono k ankhy mili. second k hazarway hisay mein izzah ki ankhy anso'o se bhar gaye . zarak jaha kara tah wahi ek lamhay kay liyay rukh gaya. izzah nai boht mushkil se anso'o ko roka . aghly he lamhy nazray nechay kiye . khamoshi se kamray ki taraf chal di . jab kay izzah kay barakas zarak tex qadmo se apnay kamray ki taraf chal diya...

izzah ki ankho mein chupa huwa drd... woh shikway aglay kaye dino tak zarak ko pareshan karti rahi. bap se zid na hoti tou km az km tori tasali kay kuch lafz he ada kar deta ... aur phir nikah jaisay reshta honay kay bad tou us ka farz bhi banta tah . lekin umar suliman ka khyal atay he woh sar ko jhatak deta aur khud ko kisi na kisi kaam mein masrof kar deta.

............🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺...............

Zarak adhi raat ko ghar pohncha tah. aur atay he so gaya tah.is liyay shayad subh ankh bhi dair se kuli. Umar suliman taqreban 40mins se nashte kay table par us ka intezar karta raha tab akhir kar wo sedhyo se niche atay hu v dekhae diya.

"Asalam Alaikum" Umar suliman nay hmesha ki tarah pehl ki

"hmmm...."Zarak nay sar kay gham se jawab diya . es tarah kartay hu v woh boht be-niaz sa laga... kahi ka maghror shehzada

"arsalan nai tum se baat ki hogi . tumhara kya faisla hai" Umar suliman ka uskay Salam ka jawab na dena nazar andaz kartay hu v kaha

"mujhay andaza tah ap nai hi us say kaha hoga. lekin meri kucb sharayat hai.." Zarak nai juice ka glass hath mein uthatay hu v kaha.

"mujhay manzor hai .. tumhari jo bhi sharayat ho mujhay manzor hai " Umar suliman nai ajazi se kaha

" tou phir tek hai.. ajj mein office  jaonga lekin ap ki seat pe mein bethonga aur ap mere office k ek aam se employ ki tarah kaam karangay. " zarak nay masrof se andaz mein jawab diya

"tek hai." Umar suliman sahib nai lambi saans kharij ki

........🌺🌺🌺🌺🌺🌺.........

"mummy ap ko nahi lagta... ap nai mere saath boht zulam kiya hai. ap ko mera nikah bachpan main nahi karna chaheye tah." Izzah apnay kamray mein urooj kay sath bed pe beti hu v thi . sunday ka din tah bhai aur abu der se he ut'tay tai

"aisay toh na kaho meri jaan. kya tumhay atraz hai es reshte par " urooj nai beti kay sar par hath raktay hu v kaha

"ami .. kya nahi hona chaheye . woh (zarak) na ap ko pasand kartay hai  .mamo se tou nafrat kartay hai .phir woh mujhay q qabol kar angay. woh kabhi bhi mujhay apni biwi qabol nahi karangay " Izzah ki ankhay anso'o se bhar gayi

"meri jan . tum q aisay sochte ho   zarak tum se boht muhabat karay ga. woh tumhay malka bana kay rakhay ga meri jan. q k woh Umar bahi aur hoor ka beta hai"urooj nai izzah kay balo ko cho'a

"yaha beti raho mein abhi ati hu" yeh kehtay he urooj kamrah se bahir chale gaye

tori he dair mein urooj wapis ayi . aur hath mein diary pakri hu v thi.

"meri jan. yeh hai tumhari hoor momani ki kahani.. yeh sirf mein tumhay es liyay de rahi hu tah k tumharay dil se saray khadshay door ho ja ay. aur tumhay andaza ho ja ay kay zarak ki zaat mein tou srf muhbat karna hi hai. yeh nafrat tou bs ghusa hai us ka. " urooj nai diary beti kay hath mei dete ho v kaha.

  .......🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺.........

zarak nay atay he apnay office kay bahir laga huwa naam Umar Suliman ko badal diya. aur Zarak Suliman naam laga diya. Ab aram se chair pe beta huwa tah . kashif (assistant) ussay brief kar raha tah.

"sir yeh tender boht he mehnat say hum nai Israr Alam se hasil kiya hai. Umar Suliman sir nai boht koshish ki thi es kat liyay. warna Israr Alam se jeetna namunkin kay barabar hai."Kashif tamam tafselat se Zarak ko agah kar raha tah

"tek hai " Zarak nay sar kay kham se jawab diya

"lekin sir ek baat hai israr alam jab haar ja ay tou boht badtareen qism kay badlay leta hai. air khas kar family walo ko tang karta hai. ebad ur rahman ki behan kay sath chakar chalaya tah. srf ebad ur rahman ko zalel karnay kay khatir. aj tak ebad ur rahman gathering se bachta rehta hai" Kashif apnay khadshaat se bakhabar kiya

"meri koi family hai he nahi " zarak nay muskuratay hu v jawab diya

  .........🌺🌺🌺🌺🌺.............

"ab jakay kamray se nikli ho. sara Sunday he room mein kharab kar diya meri jaan nay " urooj shayad bhol chuki thi kay us nay subha khud he Izzah ko diary di thi

"mummy Mamo unhay (zarak ) sach q nahi bata dete. q un se chupa rahay hai haqeqat" Izzah nay urooj ki taraf deka jo kay salad catnay mein masrof thi pehli bar izzah ki taraf ghor se dekha tou unhay malom huwa kay wo boht dair se roti rahi thi

"meri jaan yaha awo mere paas beto " urooj nai apnay chair kay sath pari hu v chair ki taraf  ishara kiya

"mummy mamo bata de tou woh (zarak ) mamo se nafrat nahi karangay phir " Izzah nai bet tay hu v kaha

"kya tumhay lagta hai zarak yaqeen karlega Umar bhai ka. shayad nahi aur aghar kar be le tou umar nahi chahta ussay kuch bhi pata chalay . q k zarak sirf benish par atbar karta hai umar us ka atbar nahi torna chahtay. main nai unse kaha bhi tah. lekin  umar kehte hai main zarak ki nafrat tou bardsht kar sakta hu lekin us kay zaat ka bikarna nahi " Urooj nai tafsel se agah kiya.

"mummy agar Unhay (zarak)  kahi se pata chala woh boht sharminda hoga apnay ki ay par" Izzah ka dil kar raha tah ese waqt ja kar Zarak ko sab kuch bata de

"pata nahi meri jaan. mujhay nahi lagta ussay kabhi pata chalay ga. yeh baat srf hum baro ko pata hai aur hum mein se koi bhi us say nahi bata engay. " Urooj nay salad ka plate side pe raktay hu v kaha

izzah ko mamo aur hoor pe boht taras a raha tah. kitna khobsurat couple tah aur.... benish pata nahi . unhay kya hasil huwa ye sab kar kay. Allah bs un ko neki ki hidayat karay. kitni muhabat karti thi hoor un se. aur woh....Zarak mujhay tum se nahi lekin hoor aur umar mamo kay betay se muhabbat hai. tumharay jaga koi bhi hota . mujhay un se muhabbat hoti ... Izzah Zarak.... izzah bs soch mein he zarak ko naam se bhula sakti thi.ek naee ahsas se us ka dil ashna huwa tah.

     ........🌺🌺🌺🌺🌺🌺.........

Give feedback please...
waiting for your comments..

Jazakillah for watching...

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now