Bekhabri

405 32 14
                                    

EPISODE 3 BEKHABRI

"api mummay keh rahi hai woh mere sath annual day pe school nahi ja sakti. baba bhi nahi ja rahay. ap mere sath chale ge please. " naina nai boht he muhabbat se apni bari behan se pocha

"mein chali jati meri jaan lekin mujhay test kay liyay tayari karni hai " izzah nai ma'azrat ki

"ap sab mujh se pyaar nahi kartay . es liyay koi bhi nahi ja raha. mein nai poray college mein top kiya hai. phir bhi koi khush nahi . abu ko kaam pe jana hai . mummy ko nadia khala (husna ki ami ) kay ghar jana hai aur ap ko test ki tayari karni hai " naina nai mohh pulatay hu v kaha

"haha ja rahi hu... drama queen. kab hai annual day program?? " izzah nai naina kay balo ko tora kenchtay hu v kaha

" Ayyy... api ab baal tou kharab na karay.. sunday ko hai . tah k . sab mummy dadday free ho us din" naina nay baal churatay hu v kaha

"acha ... phir tek hai . mein apna abaya sab kuch ready kar do " izzah almari ki taraf bari

" api ap abaya pehnay gi. meri sari friends mera mazaq ura'ay ge phir. sab kahangay mulviyo kay khandan se hu main" naina nay apnay khadshat zahir ki ay

" aisay nahi kehtay meri jaan. abaya kabhi bhi old fashioned nahi ho sakta. humara deen hamay jo rasta dekhata hai wo old fashioned ho hi nahi sakta. aur insan apnay chalnay phirnay baat karnay kay andaz se jana jata hai. kapray tou jism chupanay ka zarya hai kisi ko attract karnay ka bilkul bhi nahi . " izzah wapis naina kay pass bet kar ussay samjha nay lagi

"aur agar kisi nai mera mazaq uraya tou."naina ab bhi pareshan ho rahi thi

"meri jaan koi bhi nahi ura'ay ga tumhara mazaq aur humay logo kay soch ka ghulam nahi ban na. ghulami tou srf Allah ki hi karni hai .. srf es liyay tah kay . humay logo ki soch ki ghulami se nijat mil sakay " izzah nai boht he pyaray andaz mein naina ko samjhaya

"acha api tek hai . jaisay ap ko behtar lagay"naina nay samjhtay hu v kaha

.......🌺🌺🌺🌺🌺......

"Sir..... Israr nay ap kay baray mai malumat hasil karna shuro ki hai . " kashif intehai pareshani kay alam mai zarak ko briefing day raha tah

"koi important khabar ho tou wo bataw" zarak nai chirtay hu v kaha

"sir mere khyal se ap israr ko bohy lightly le rahy hai " kashif nai ma'azrat kartay hu v kaha

"next "zarak nai bilkul hi kashif ko nazar andaz kartay hu v kaha

"sir es kay elawa kal ap ki Mr. Sikandar kay sath meeting hai aur parso ap ko The LimeLight College kay annual day kay liyay invite kiya gaya hai . Sir Umar Suliman us college kay trusty hai es liyay" kashif nay tafselat se agah kiya

"jana zarori hai " Zarak nay bezari se pocha

"sir ap ki marzi. lekin Sir umar Suliman hmesha visit kiya kartay thay. kahi saalo se jab se mein yaha hu mujhay yaad nahi sir nai kabhi un ki invitation ko rid kiya ho" Kashif nay wazahat ki

"es bar ap mana kar day. main nahi ja sakta..... ab tum ja sakty ho" zarak nay baat khatam kartay hu v kaha

"ok sir jaisay ap ki marzi"

.......🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺........

"boss. zarak umar sulimam ka eklota beta hai . baap kay sath us ki nahi banti. us k maa ek flate mein rehti hai. bobt he ziddi hai . jis chez kay pechay par ja ay wo kar kay he rahtay hai . abhi abhi join kiya hai office. business studies ki hu v hai . University ka cream student reh chuka hai lekin job ki kuch khas experience nahi hai. " danish (israr ka right hand) israr ko malumat se agah kar raha tah

"yani larki ka chakkar nahi . na behan na girlfriend.." israr nay maiz pe hath martay hu v kaha

"sir sun nay mein ye bhi aaya hai bachpan mein cousin se nikah huwa tah .lekin zarak ko us mein koi interest nahi q k wo sar a sar umar suliman ki choice thi . un ki bathiji hai izzah hashim." danish nay mazed malumat share ki

"yeh hu v na baat . zarak ko dilchaspi ho ya na ho lekin hai tou us ki izat na" israr nai hanstay h v kaha

"mujhay izzah kay baray mein tamam tafselat kal tak mere table par chahe ye "israr nai dhamki dete hu v kaha

"yes boss."

.......🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺........

"Ja sako gi mere sath,naina kay college mein annual day program hai" Izzah nai husna ko phone kiya

" Zaheneseeb Ap nai humay apnay sath le janay kay qabil samjha " Husna nai tang kartay hu v kaha

"mujhay pata tah tum outing ko mana kar he nahi sakti " Izzah nay hanstay hu v jawab diya

" yeh toh hai. waisay bho University se farigh honay kay baad toh ghar mein band ho kar reh gayi hu " Husna nay Naraz se andaz me jawab diya

"jhooti parso he toh sohaib bhai tumhay shopping kar nay kay kiyay le kar ga'ay tay" Izzah nay heran ho tay hu v kaha

"parso tah... bibi. "Husna nay ghusay se kaha

"acha tek hai ghusa toh na karo "

......🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺.......

" acha amoi jan mein us se pooch kar ap ko bata tah hu " Arsalan apni ami se baat kar raha tah. woh Zarak kai sath beta huwa tah zarak kay office mein

" Haa hello . kaisi ho "Arsalan nai ab dosra number mela kar phone kan se laga diya

" mein bhi tek hu Allah ka shukar hai wo tum se poochna tah ami keh rahi hai es sunday ko shopping kay liyay chaltay hai agar tum free ho toh." Zarak nay andaza laga liya arsalan husna se he baat kar raha hoga

" acha mein ami ko bata donga tum free nahi ho " Arsalan nay phone raktay hu v kaha. woh phir se phone mila raha tah ami ko

"tum mujh se milnay a'ay ho ya mera office tumbay PCO lag raha hai ek kay bad ek call mila rahay ho" Zarak nai ghusay se kaha

" ek mint meri jaan" Arsalan nai phone kan se laga tay hu v. zarak se kaha

"badtameez . jo jan hai us se ja kar kaho ye kharafat " zarak ko aur ghusa ayaa

"haan ami jan woh husna keh rahi hai sunday ko ussay Izzah kay sath Limelight college jana hai Naina ka annual program hai tou ap koi aur date set kar lay " Arsalan nai baat jaldi khatam kar kay phone rakh diya

" ab suna meri jan" arsalan nai zarak ki taraf mutawajah hotay hu v kaha .lekin woh Limelight Izzah mein uljha huwa tah

" ab baat bhi karo yaar " arsalan nai tez awaz mein kaha

"kya . ... kya baat karo tum kaho " zarak nay hosh mein atay hu v kaha

..........🌺🌺🌺🌺🌺.......

" Kashif . The Limelight college ka invitation accept kar lo mein ja raha hu Sunday ko " Zarak nay Arsalan kay janay kay baad Kashif ko bulaya

"Sir mein mana kar chuka hu " Kashif nai heran ho tay hu v kaha

" dobara phone kar ke bata do mein araha hu ....now leave"Zarak nai sanjhida se andaz mein kaha

"ok sir jaisay ap ki marzi" Kashif room se nikal gaya

" mein bhi dekhta hu. Mujhay dekhnay kay bad kitna hosh mein rehti hai " Zarak soch ki wadiyo mein koh gaya . aur besabri se intezar karnay laga sunday ka

.......🌺🌺🌺🌺🌺🌺.........

Please comment kar ke bata ay . ap ko kaisay laga
aur kis kis ko next episode ka intexar hai

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now