agli bari

286 21 28
                                    


izzah umar kay peche dakhil huwi jab zarak par nazar pari . sakht ghusa aya tah izzah ko . ' bilkul sharam nahi hai is mein ' izzah nai socha tah

izzah ka phone baja tah . usnay phone wallet se nikala ...
"izzah beta mein kab se tumharay phone ka intezar kar rahi hu . kaisa hai zarak kaha gaya hai " urooj pareshan lagi thi izzah ko

" bilkul tek tak hai ammi" izzah nai tanziya lehje mein kaha tah . zarak uski ankho mein dekhtay huway umar suliman kay samnay akar kara huwa tah . zarak nai jaan bojh kar umar suliman ko galy lagaya tah . izzah ki ankhy khuli ki khuli reh gayi thi . zarak izzah ko dekh kar muskuraya tah uska sar umar kay kanday par tah .

" aur umar bhai kaisay hai . "

" tek hai ammi " izzah nai baat khatam ki

" baba andar chaltay hai ap aram kar le " zarak nai ek bazo umar suliman kay kamar mein daala tah jaisay saahara dena chaha ho .

izzah guest room mein jaa kar baiti thi . ussay sakht ghusa aya tah zarak par . aur shayad mamo par bhi . kitna jaldi maan gaya .ajeeb baat hai ........izzah ka phone phir se baja tah . es bar phone amma khala ki taraf se tah

" beta benish subh se ro rahi hai jab se zarak beta yaha aye thay . mein nai boht koshish ki . woh bs roye ja rahi hai . mujhay samjh nahi araha mein kya karo "

" mein arahi hu amma khala ap un ka khyal rakhay "izzah ko moqa mila tah apna ghusa nikalnay ka .izzah kamray se bahir ayi toh ussay zarak apnay kamray mein jatay huway dekhaye diya . woh jab kamray mein dakhil huwi toh zarak bed par baita huwa tah

"kaha gaye thay ap subah" izzah uskay sar par akar kari huwi thi

" boht jago par hazri di hai . sab se pehle toh apni saasu maa se milnay gaya tah " zarak muskuraya tah

" zehar lag rahi hai mujhay ap ki yeh muskurahat " izzah nai besaakhta kaha tah

" acha ." zarak nai dono bhanway uthaye thay

"kya keh kar ayay ho benish momani se" izzah ka chehra boht he spot tah . zarak kay muh kay zawye bigray thay

"kuch bhi nahi . us nai jo kiya hai uskay samnay yeh kuch bhi nahi tah " zarak apna ek paw musalsal hilaraha tah .

" kyun kartay ho aisa maa hai tumhari " izzah nai uski ankho mein dekh kar pocha tah

" bs izzah ussay meri maa keh kar mujhay azeyat na do . nafrat hai mujhay us aurat se . mamma kay bajaye woh marti toh kitna sukoon hota hum sab ki zindagi mein" zarak uth kar uskay samnay kara huwa tah

" kyun ek ek kar sab ko apni zindagi se nikalna chahtay ho pehle mamo .phir ami .phir mein ab momani " izzah ko jaisay taras aya tah zarak par

" paa liye hai izzah... baba ko . khala ko. agli bari tumhari hai ( zarak nai izzah ki kamar mein hath daala tah ) . aur jis ka tum zikar kar rahi ho woh na hi mile toh behtar hai" zarak tanziya muskuraya tah

" zarak subah se ro rahi hai momani " izzah nai zarak ko sharam dilana chaha . aur sath sath mein zarak kay bazo se nikalnay ki koshish bhi jari thi

"meri taraf se jahanum mein jaye meri jaan " zarak sakht lehje mein kehte huway akhir mein naram huwa tah meri jaan kehte huway. zarak usay chor kar kamray se nikla tah . izzah waha par hi kari thi jab zarak wapis kamray mein aya .

" tayar rehna 7 bajay walimay mein shamil hongay " zarak muskuraya tah

" mujhay benish momani kay ghar jana hai " izzah nai ankho ko chota kiya tah

"acha tek hai .mein husna se keh dunga tumhari khushiyo mein shamil honay ka waqt nahi tah izzah kay sath woh farigh nahi " zarak kamray se janay laga

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now