khobsrat ahsasat

365 24 21
                                    

Raat dair tak larko nai zarak ko ghera huwa tah . ussay room janay nahi de rahay thay. Mushkil se 1 bajay Zarak waha se jan churata huwa utha tah. Jab room kay pass aya toh Husna ki hansnay ki awaz arahi thi. zarak mukuraya tah. zarak nai darwaza knock kiya toh Husna aur Naina bahir ayi darwaze apnay peche band kar diya aur us kay samnay kari ho gayi.

" mein pehle he se he bata do yeh rassm larkay ki behnay karti hai . " zarak nai collar ko jhatak tay huway kaha tah

" Ap ki koi behen nahi hai humay laga ap ko behan ki kami mehsos hogi es liyay hum un ki jagah karengay yeh rasm" Husna nai masoomana amndaz mein kaha.

" G nahi. mujhay kisi ki bhi kami mehsos nahi ho rahi. mujhay janay day . " Zarak nai Muskuratay huway kaha

" jejo please de day na " Naina nai rondhu shakl banatay huway kaha

" kitnay chahe yeh" Zarak nai naina se pocha

" aur mein " Husna nai ahtejAjan pocha

" yeh toh izzah ki behan hai . isse mein kaisay mana kar sakta hu " Zarak nai jaib se wallet nikal tay huway kaha

" dost bhi behan hi hoti hai. " Husna nai Jaldi se kaha

" mazaq kar raha hu " Zarak nai wallet mein jitnay bhi paisay thay sab izzah ko pakra diyay .

" ab toh janay do " zarak nai iltija ki

" Ao naina " husna aur naina waha se chali gayi

......🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺............

Zarak kamray mein aya toh izzah ussay bed par beti huwi mili . zarak nai darwaza band kiya aur waist coat hata kar sofay par rakhnay kay bad bed par akar beta. es tamam karwae mein us ki muskurahat ek lamhay kay liyay bhi madham nahi huwi thi .

" ghongat kyun nahi liya ? zarak nai bhanway utha tay huway pocha

" phir toh ap ko muh dekhai deni parti . es liyay mein nai ghongat liya he nahi " izzah apnay hatho ko dekh rahi thi jo kay goud mein rakhay huway thay

"achaa" zarak ke chehray se pehle bar muskurahat ghaib huwi thi . pehle jo bhanway shoq se uthi thi dilshaspi se uthi thi muskurahat se uthi bhanway ab ek alag he andaz mein uthi thi . shyad nafrat se.

"utho " zarak nai awaz ko tora bara diya tah . izzah nai ajeeb andaz mein zarak ko deka tah. yeh toh uskay weham aur guman mein bhi nahi tah

" uthooo" zarak nai ab aur SAKHT LEHJA APNA TAY HUWAY KAHA

"G" apnay dress ko sambhal tay huway uthi thi bed se

" sada se kapray pehan kar awo.mein room ka light band karnay wala ho . sona hai mujhay " zarak nai jaisay hukam diya tah.izzah us ka hukam man tay huway washroom kay darwazy kay peche gaib huwi thi . tab zarak bhi kamray se bahir nikal gaya . izzah jab wapis bahir nikli toh kamray mein koi nahi tah. us nai sari jewelry ek ek kar kay nikali . make up woh pehle se he dho chuki thi . jab boht dair tak zarak nahi aya toh woh ja kar bed par bait gayi. tori he dair mein zarak kamray mein aya .

'kis nai kaha hai tumse bait nai kay liya" zarak ka kehna he tah izzah khod nay kay andaz mein bed se uthi thi. ussay dar lagha tah zarak se shayad.

"almari se mere liyay kapray nikalo " zarak nai almari ki taraf ishara kartay huway kaha izzah almari kay paas gayi lekin samjh he nahi aya kosna jora nikaly

"kapray nikal nay kay liyay kaha tah . tum shayad meri almari par research karnay lagi ho " zarak us kay peche akar kara huwa tah .us kay choray seenay kay sath izzah ka kandha miss ho raha tah. zarak nai izzah kay dono taraf hath ki yay huway almari mein hangers check karnay laga . izzah us kay aur almari kay bech mein kari thi . dono taraf uskay hath thay. us ka dil jaisay halq mein achuka tah

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now