Izhar

267 22 9
                                    

izzah ko kaisay mana unga . apni bewaqofi ki wajah se ussay naraz kar diya . mujhay chaheye tah ussay atemad mein leta .lekin nahi mujhay toh maza ata hai aisa karnay huway ....zarak soch raha tah .

pora din izzah khamosh rahi arsalan ki ami ya behen ayesha kuch poch te toh jawab de deti lekin khud se ek lafz nahi kaha tah . zarak ko bhi afsos ho raha tah apnay kiye par . izzah ko naraz dekhna shayd us kay liyay boht challenging kaam tah .

"bhabhi kya ap ko pata hai . zarak bhai ki awaz boht achi hai " ayesha nai pocha tah . us waqt sirf izzah zarak ayesha aur saim ( arsalan ka chota bhai ) beta huwa tah

"pata nahi . sirf taref suni hai ajj tak " izzah muskurai thi lekin ankho mein karb sirf zarak he mehsos kar sakta tah

" toh phir dair kis baat ki . saim andar se guitar lekar awo zarak bhai ajj kuch suna angay babhi kay liyay " ayesha saim ki taraf mutawajah huwi thi

"phir kisi din ayesha " zarak nai muhabbat se mana kiya tah . us ka dil bilkul band ho chuka tah . dil toh tab hi gata hai jab khush hota hai

"kyun " ayesha nai kyun ko kencha tah

"waisay he ajj mood nahi hai " zarak nai jawab mein jhoot se madad nahi li

" bhai ap ki shadi kahi zabardasti toh nahi karaye gayi. babhi bhi khamosh khamosh se hai aur ap ka bhi mood off pehle toh kabhi mana nahi kiya" ayesha nai istafsar kiya

" nahi .agar yeh baat hai toh guitar do saim " zarak nai saim ki taraf hath baraya jo abhi abhi guitar andar se lakar hazir huwa tah

" dedicated to my love " zarak nai izzah ki taraf shoq nazro se dekha tah. izzah nai apna sar jhuka diya . sab log tawajah huway zarak ki taraf. izzah nai apni nazray zameen par jama di. zarak nai guitar par ek sur chera tah

Naino Ki To Baat Naina Jaane Hai
Sapno Ke Raaz To Raina Jaane Hai
Naino Ki To Baat Naina Jaane Hai
Sapno Ke Raaz To Raina Jaane Hai
Dil Ki Batein Dhadkan Jaane Hai
Jispe Guzre Wo Tann Jaane Hai,
Hum Deewane Ho Gaye Hai Aapke
Hum to Bas Itna Jaane Hai

zarak ki nazray izzah ki ankho par thi. izzah ki nazray zarak kay pero par thi . sab kay samnay woh nervous ho rahi thi . goud mein rakhay huway dono hatho ko masal rahi thi

Nazrein Ye Aapki Karne lagi hoshiyarian
Kahi Kar De Na Ye Mere Liye Duswariyaan
Husn Ki Baat To Husn Hi Jaane Hai
Roop Ki Baat To Roop Hi Jaane Hai
Sahi Galat To Darpan Jaane Hai
Jispe Guzre Wo Tann Jaane Hai

izzah ko manna hi para zarak kay awaz boht khobsurat hai

Tu Mera Hai Sanam
Tu Hi Mera Humdam
Tere Sang Jeena Ab Saaton Janam

zarak nai gana khatam kiya.guitar saim ko pakrayi. izzah nai ek bar bhi toh us ki taraf nahin dekha tah. zarak kam az kam izzah ki ankho mein apni taref parna chahta tah.

lekin nazar milay toh janay koi haal e dil....zarak ka mood jo song ki waja se tora acha huwa tah ab aur bhi zyada kharab huwa tah

" ho gaya gana ab hum chaltay hai " zarak nai uthay huway kaha

" nahi aisay kaisay . aram se beto raat ka khana kah kar jawogay . " arsalan bhi kara huwa

" nahi boht taka huwa hu. subah office bhi gaya tah . ab tora aram karna chahta hu "zarak kay chehray se uski thakawat zahir ho rahi thi is liyay arsalan nai bhi zyada zor nahi diya

.......🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷........

tamam rastay mein izzah aur zarak khamosh thay . zarak khafa tah khun kay us nay itni bari baat toh nahi ki thi . aur izzah nai uskay song par koi respond hi toh nahi kiya tah. izzah ko uskay ajj kay rawayay par atraz nahi tah . usay woh sab kuch yaad aya tah . jo zarak kay nikah mein hotay huway woh mehsos karti thi . aur zarak ka ussay kehna "mujhay apna jawab mil gaya" ussay zehar laha tah

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now