walima part 1

323 21 25
                                    


"ap ka make up ho chuka hai ap ab waiting room mein wait karay jab tak koi ap ko lene nahi ata " make up artist nai izzah se kaha tah

"kya matlab mere sath jo larki ayi thi who kaha hai "izzah pareshan huwi thi

"woh toh kuch dair pehle he chali gayi hai "make up artist nai jawab diya tah

"mera phone unkay sath tah"izzah boht pareshan huwi thi. itni jewelery kay sath who yaha akelay beti ab kya karay gi. .

"maam humay toh nahi diya shayad woh sath le gayi ho "izzah ko intehai sakht ghusa aya tah husna par. Bebasi ki waja se uski anko mein anso ayay tay

Shadi wala din hota hi aysa hai . balkay who pura mahena jab se larki ki shadi ka dinn fix kiya jata hai tab se he larkiya boht nazuk ho jati. in ahsasat ko sirf larkiya he samjh sakti hai. woh ghar jaha pehli bar royi thi pehli bar hansi thi woh ghar chor kar jana.kya naya ghar aisay hi hoga .kya waisay hi maa ki tarah pyaar karnay wali saas hogi. yah ek sehmi huwi aurat hogi jissay dar hoga betay kay chen Janay ka aur ese darr ki wajah se woh ap ko kabhi qabool hi nahi kar paye gi.kya behno ki tarah hogi nand
yah unhay bhi dar hoga bhai kay chen Janay ga. Aur bhaiyo ka woh pyaar milay ga har sham ko chai kay sath samosay katay huway khob masti karna. ek dosray ki tang kenchna . Aur sab se bara darr shohar kaisay hoga. kya sath dega . agar dega bhi toh akhir kab tak. agar ghar walay mujhay qabool nahi kar paye toh kya who rishto ko balance kar paye ga kya wooh mujhay mera haq dega ?kya izat dega ?yageen dega?. Kya us ghar
ka mahol mere ghar jaisa hoga? aur in hi tarah kay hazar aut khadshat hotay hai.jis ki waja se dil bhara bhara sa rehta hai. bs bahana chahe yeh hota hai ronay k liyay

"izzah kon hai? unhay bahir koi lene aya hai" jab woh kamray se
nikli bahir peon us ka naam le raha tah. izzah bahir ayi toh

zarak apni gari se tekh lagaye dono hatho ko bandhay kara tah .

izzah ko dekha toh muskura utha.woh ek anso jo anko mein akar tehra tah.moti ban kar baha tah chehray par.zarak road kay dosray taraf par hotay huway bhi zarak who moti dekh chuka tah. zarak us ki taraf aya tah

"kya huwa izzah"" zarak nai us ka hath pakra tah

"kuch nahi " izzah muskurai thi .dono gari ki taraf achukay thay .zarak nai uskay liyay darwaza khola tah. izzah kay baitnay kay bad darwaza band kiya tah.

"kal raat hi kaha tah na? es anko mein anso bardsht nahi kar
sakta mein. Batawo kya huwa hai " zarak driving kartay huway
road par nazray jamai sanjidgi se poch raha tah

"Khushi kay anso thay "izzah nai shayad pehli bar yeh andaz
deka tah zarak ko. izzah ko dar laga tah agar woh husna ka naam leti toh na janay zarak kaysay react karta.

" izzah mujh se kuch bhi mat chupana mai kam az kam itna kamzor nahi hu kay tumhari hifazat he na kar sako. " zarak ka lehja mazbot tah

" tumharay liyay sab se lar sakta ho. believe me " zarak ab bhi sanjida tah

" mujhay ahsas hai es baat ka ap se zyada meri hifazat koi bhi nahi kar sakta shayad mein khud bhi. nahi " Izzah kay lehje mein atemad bol raha tah .

" tumhay karni hogi hifazat apnay ap ki apnay sehat ki. kyun kay tum ab meri amanat ho. tumharay khyalat mein bhi.mein kisi aur insan ka dakhal bardsht nahi kar sakonga . boht possessive hon tumharay lihaz se. mera maan kabhi mat torna . warna mein toot jawonga. " Zarak ab bhi driving kartay huway road par nazray rakhi huwi thi .

" kabhi bhi ap ko bikarnay nahi dungi . meri zaat sirf Zarak suliman kay takmeel ka sabab ban sakti hai " Izzah ki ankhay us kay alfazo ki tarjumani kar rahi thi .

" kis kay zaat ki" ek boht he shokh aur gehri muskurahat zarak kay chehray par namudar huwi thi .

" ap ki " izzah ko ab ahsas huwa . boht salo bad shayad us kay muh par zarak ka naam aya tah

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now