Nikah 🌼❤️🌼

364 27 15
                                    

Wahi jora tah safed rang ka jo Izzah ajj boht pasand aya tah lekin price k wajah se chor diya tah. Izzah nai us dress ko hanger se nikala aur washroom mein ghus gayi . Tori dair bad nikli toh wahi safed jora zaib e tan kiya huwa tah . Bal bhi khulay chor di ay thay . Safed rang ka lamba sa frock tah jis par Golden color se khobsurat kaam huwa tah

 Safed rang ka lamba sa frock tah jis par Golden color se khobsurat kaam huwa tah

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

" wow kitna khobsurat dress hai " Naina ko woh dress pasand aya tah.

" Masha Allah boht pyari lag rahi ho " Urooj nai izzah ko galay lagatay huway kaha

" appi ap ko tob nikah ho chuka hai . ? " Naina pocha

"pagli.. Nikah kay bad 40 din mein rukhsati ho jani chahr yeh. agar na ho toh phir nikah ko dobara se kartay hai " husna nai jawab diya

" toh phir toh mere pas nikah kay liyay dress he nahi hai " Naina ko afsos howa...

" Zarak jeju se kehdo le lega tumharay liyay us ki choice boht achi hai . kyun Izzah sahe keh rahi hu na " Urooj kay kamray se nikaltay hi husna bol pari

" mujhay kya pata " Izzah ka dil toh kar raha tah badtameez jaisay alqabat se bhi nawazay husna ko lekin Naina ka khyal kiya

......🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺.......

" mamma ap yeh kaisi baat kar rahi hai " Zarak intehai Paredhan huwa tah Benish ki baat sun kar

" main nai itni mushkil baat toh nahi ki " Benish nai jawab diya

" mamma ap kaisi ajeeb baatay kar rahi hai. yeh kaisay ho sakta hai ap meri shadi mein na a'ay " Zarak ko Boht jhatka laga tah

" Mera dil nahi lagay ga . waha par " Benish ki ankhay ansowo se bhar gayi thi

" meri khushi mein ap ka dil nahi lagay ga" Zarak ko jaisay afsos huwa tah

" mein tumharay liyay Khush ho . lekin mein un logo ka samna nahi kar sakti. mujh mein itni himmat nahi hai " benish ab ba qaida ronay lagi thi

" galti un ki hai mamma . sharminda unhay hona chahe yeh ap ko nahi. " zarak ko ab ghusa araha tah

" Mein shareek nahi hongi . chahe jo bhi hom tum hmesha khush raho meri dua'ah hmesha tumharay sath hai " Bensih nai Zarak kai sar pe hath rakha tah

" mujhay nahi chahe yeh ap ki dua " zarak tezi se bahir nikla . usse kam az kam apni maa se yeh umeed nahi thi .

Aur benish andar behti roti rahi. kaisay bata ti apnay betay ko. galti usse ki toh thi . Us ki waja se toh Ajj zarak itna bekra huwa tah. us k wajah se he toh woh apnay baap se door tah uski waja se hi toh kitni zindagiya barbad huwi thi . uski hasad nai uskay bukhaz nai usse kahi ka nahi chora tah.sach kehtay hai kenaa bukhaz aur hasad apna hi nuqsan kartay hai..... boht dair se samjh ayi thi....

Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)Where stories live. Discover now