Chapter 99

5.2K 403 19
                                    

Sid- mai jaanta hoon mai gusse mein galtiyaan kar deta hoon kuch bhi bol deta hoon par mai tujhse aur ghar walo se bohot pyaar karta hoon kisi par ek bhi aanch aajaaye ye mai bardasht nahi kar sakta wo log tujhe aise publically humiliate karenge aise neecha dikhayenge to mai dekhta rahunga kya maine inhe pehle hi bola tha ki humara personal kuch bhi bahar nahi jaayega par in logo ko ye shaanti hazam nahi hoti inhe kuch na kuch masala chaiye pehle ye mera aur rashmi ka angle banana chahte they isiliye humara video tujhe shoot karne bola tha taaki tu jealous ho par tune inhe wo nahi dia inhone tera swamvar ka kaand kia kyuki pta tha mera dimaag kharab hoga to wo tune aur asim ne kharab kar dia phir paras ka angle chalana chahte they wo nahi hua  teri aur himanshi ki controversy ko uchalna chahte they isliye use laye thay par tune usse bhaav nahi diya .

Meri rashmi ki controversy ka mudda aaya aur wo plan successful ho bhi gaya tha par wo situation tune calm ki ab isliye inhone jab dekha ki jealous word se trigger hoti hai to jaan kar wo task dia taaki tu salman sir ke saamne kuch kar de aur inhe content mil jaaye maine kaam kiya hai in channel walo ke saath kai saal  jaanta hoon kis had tak jaa sakte hai ye log aur mai nahi chahta tha ki in sab mein tu jyada soche aur apni tabyat aur kharab kar le .

sana mai humari family se bohot pyaar karta hoon jtata nahi hoon par tum logo ke bina mai kuch nahi hoon chahe kitn abhi famous ho jaau kitne log mujhe pasand karne lage par tumhari jo importance hai meri life mein wo kabhi change nahi hogi  mai maa se jab tak saari baat jab tak share na kar loon mujhe chain nahi aata shaadi se pehle mai unhe jaldi se akela bhi nahi  chodta tha mai aaj bhi jab kabhi mann bohot bhaari ho jata hai to unki  god mein let jaata hoon neetu di aur preeti di aaj bhi guidance deti hai pta hai jab mujhe pehle project mila tha na to un dono ki khushi ka thikana nahi tha unhone mujhe humesha support kia hai chahe wo bachpan mein school trip ke liye mummy papa ko manana ho ya kisi party ke liye jaana humesha mujhe papa ki daant se bchaya hai abhi wo pura support karti hai mujhe jiju jo hai wo alag role play karte hai papa ke baad jab bhi koi men to men talk chaiye to friends se pehle unke paas jaata hoon .

Aur bachhe wo to blessings hai humare ghar ke liye aditi waise to sabse jyada tere close hai par mai kabhi usse nahi rakhta jaise wo bachhi ho use dost ki tarah rakhta hoon haa daanta bhi bohot hoon par jiju jyatar bahar rehte hai to mai use kabhi kami nahi hone dena chahta ki usse aisa lage aage jaakar ki koi nahi tha usse baatein share karne ke liye waise wo bohot samjhdar hai par uski life mein kya chal raha hai wo sabse pehle mujhe btatai hai adi wo abhi bohot chota hai par usse dekh kar uske saath khel kar khud bachha ban jaata hoon mai meri puri life tum logo se hi hai mera wajood hi tum log ho agar mai tum logo ko protect nahi karunga to kon karega mai jaanta hoon tu capable hai khud ko sambhalne ke liye par mai risk nahi lena chahta kisi chees ko le kar isliye kabhi kabhi jyada ho jaata hai .

Sana- mai jaanti hoon ki family kya hai tere liye par tu itna sochta hai maine socha nahi ki tu sab notice karta hai .

Sid- notice to mai sab karta hoon baby tune kis color ka top pehna hai earing konsa daala hai tujhe bohot irritation hoti hai jab tere baal baar baar side mein girte hai tu meri wajah e straight rakhti hai baal kyuki mujhe pasand hai khana banate waqt sir par chunni rakhti hai aur bhi bohot kuch hai .

Sana- haaye tu mere baare mein itna sab sochta hai .

Sid- baby ye to kuch bhi nahi hai maine to socha hai ki jab humare bachhe honge na to mai unhe starting se hi active rakhunga teri tarah nahi ki gym jaane ke naam se door bhage  har cheez sikhaunga jo chahe wo kare supoort puri karunga .

Sana- haaye bachhe kaha se aa gaye abhi se.

Sid- karne to hai hi na baby aur unka naam koi bhi rakhe par tu nahi rakhegi unke kapde bhi mai launga ...

Sana- bas bas kitna aage pohoch gaya tu  abhi time hai .

Sid- baby mai to tayaar hoon tu bole to yahe se nikalte hi planning kare .

Sana- kya tu sach bol raha hai .

Sid- haa aur nahi to kya maine kitna kuch socha hai kis school mein dalna hai room kaisa hoga kya karna hai kya nahi phir wo bade honge tabhi to hoga aur bade to wo paida hone ke baad hi honge na to bas nikalte hi karte hai planning pehle wale ki .

Sana- pehle wale ki kitne chaiye tujhe aisa .

Sid- 5 to hone hi chaiye na .

Sana- 5 ,paanch kis liye chaiye tujhe itne bachhe .

Sid- haa phir ghar bhara bhara sa lagega na .

Sana- ghar bharna hai to saman laa bachhe kyu chaiye .

Sid- baby mujhe bachhe bohot pasand hai to ek that jaye to dusre ke saath ya ek so raha ho ya kuch aaur to back up ke liye 5 to kam se kam hai baaki baad mein dekhenge .

Sana- kya baad mein pagal ho gaya hai bachho ki factory nahi kholni hai .

Sid- abee humare bacho ke baare mein aisa mat bol .

Sana- paida mujhe karne hai mai nahi karne wali itne bachhe mai to mar hi jaungi itne bachho ke chakkar mein .

Sid- nahi baby mai saath hoon na kuch nahi hoga .

Sana- tu chup kar haaye rabba tu kab socta hai ye san itne bachhe 2 bachhe already hai ghar mein aur ghar bhara bahra lage is liye bachhe kon paida karta hai mai to marr jaungi itne bachho ko sambhalte sambhalte unhe sabhlega kya tu pagal ho gaya hai jhada lagwa jaakr baba g meher karo ,mera pati pagal ho gaya hai kaisi behki behki baate kar raha hai .

Sid- laughs baby mazaak kar raha tha mazaak tu tension na le .

Sana- kya hayee rabba pagal hai tu attack aa jata mujhe abhi .

Sid- baby koin jaldi nahi hai jab tu ready hogi tab hi karenge aur tu jitne chahegi uutne karenge mai 2 chahta hoon baaki tu decide karna kyuki body teri hai tujhe handle karna hai 9 mahine.

Sana- waise bebu tu kab chahta hai bachhe .

Sid- jab hum dono ready honge abhi tera career hai sab baaki hai abhi aur waise bhi tu abhi khud hi bachhi hai to pehle tu to badi ho jaaye .

Sana- mai maarungi tujhe .

Sid- mazaak baby mazaak and hugs her .

.

.

.

here is the next update hope you will like it .

Sidnaaz an emotionWhere stories live. Discover now