Chapter 62

5.6K 373 14
                                    

 Later that night Sana and sid were lying on bed but sleep was far away from both of them they were thinking about today what happen .

Sid  pov- For him it was not easy for him to grab opportunities for him as he was new to this industry and had no connections ,he achieved all things on his own he struggled a lot faced so many problems even sometime didn't get work but  he faced all this with the help of his family they supported him in every way possible his mother was always there when he feel low or get disappointed to make him realize that bad phase always pass and you will shine more brightly her blessings are always there with him and his sisters they act as his big brothers never let him feel alone and stand by him and faced every problem with him and never complain .His family is everything for him for them  he can fight with anyone he can do anything but can't listen such things about them which rashmi   uttered he was feeling like someone pour acid on his heart .

Sana pov- with great difficulty he came out of that controversy trauma he faced so much humiliation that he used to think before going outside or meeting anyone it was very difficult phase for him maa told her everything how he managed to survive in the industry just because of his passion ,his skills his talent and his never gave up attitude he ,controversy was big so it's consequences most people judge him as he is a man so most probably he is guilty as woman is saying but he came out of that for his family for himself and made himself more popular than before even he helped her when she gave up on herself he made her stand again on her own feet and face this cruel world then how could someone point out at him saying about his character his personality.

Sana saw that he was not sleeping so he take his hand in his and gesture him to stand .

Sid- kya hua kuch chaiye tujhe .

Sana- nahi bahar chal kuch der bahar baithte hai .

Sid- sana teri tabyat abhi thk nahi hai aise roz roz bahar thand mein baithna sahi nahi hai soja raat bhi bohot ho gai hai .

Sana- nahi chal thodi der mein aa jaayenge wapas chal jaldi .
Sid reluctantly get up from his place and grab a blanket and left with her .

they both comfortably sit on grass bed sana's back on sid chest and sid was hugging her from behind and quilt was wrapped around them .

Sana- tujhe pta hai mera suicide karne ka reason kya tha ?

Sid- kya baat kar rahi hai ye baat karne bahar laayi hai mujhed nahi karni chal ander .

Sid was about to get up but sana hold his hand .

Sana- bta na kya lagta hai tujhe waise to tujhe pta hai par kyu ki maine try suicide .

Sid- kyuki tera dimaag kharab hai dimaag mein bhusa bhara hai koi akal wakal nahi hai tum mein bas isliye .

Sana- bta na bakwas na kar mai serious hoon bta mujhe .

Sid- sighed kyuki tujhe laga teri wajah se teri family ko itna sab kuch sehna pada itna bardasht karna pada par tujhe pta hai na baby log bolte hai teri wajah se kuch nahi hua logo ka lya hai aaj bolenge kal chup ho jaayenge par life to chalti rahegi na .

Sana- nahi sirf family wajah nahi thi mujhe laga maine bhi galat kia hai pta hai maine humesha apne mann ki ki hai ghar se bhaag gai apne liye kaam kia khud ki khushi ke liye par to mujhe lagta tha ki chahe jo bhi ho wo  mere tak rahega mere ghar wale effect nahi honge meri wajah se promise kia tha maine khud se ki kabhi apne ya apne kaam ki wajah se ghar walo ko dukh nahi hone dungi aur jab controversy hui sabse pehle un par sawal uthe sabne itna kuch bola mujhe par mujhe sirf wo sunai dia jo meri wajah se mere ghar walo ne suna aisa laga kisi ne aasman se zameen   par la kar patak dia ho ek dum se haa itni famous nahi thi par jaha bhi thi khud ke dum par thi aur khush thi par uss sabne ehsaas dilaya ki mai kitni selfish ho gai thi bhale hi har mahine paise bhejti thi ghar par kabhi milne nahi jaati hi nahi call karti thi bas shebaaz se yaa kabhi kabhi daadi aur maa se baat ho jaati thi .

Aisa laga ki maine jo kia khusd ke liye kia aaj tak aur uss chakar mein medre ghar wale piss gaye bas wo baat chub gai haa ye ek reason hai par mujhse wo sab jo choot gay tha mera kaam mera naam wo bhi saha nahi jaa raha tha maine badi mehnat se ek ek project liye tha aur wo ek ghante ke ander 15 bade projects chale gaye maine ghar lena tha maine dekh bhi lia tha bohot sunder tha socha tha isse kharidungi tab ghar jaakr yaha laaungi sabko sab khush ho jaayenge shayad maaf bhi kar de par wo sapna abhi toot gaya kaam bhi gaya aur sapne bhikhar gaye par sirf sapne bhikharne se kuch nahi hota wo  toote hue tukde jab chubte hai na to bohot dard hota hai bardasht nahi hota sirf ek galti ki thi uske gaane ko bura bola haa galti thi meri par itni badi nahi ki koi mujhse mera sab kuch cheen le in sab ka bhohj itna tha ki saans tak lena bura lagne lag gaya pura din kamre mein band ho kar yehi sochti thi ki maine kyu bola na bolti na sab hota aur ek din mujhse bardasht nahi hua jab maine ek interview dekha himanshi ka koi new song aaya tha logo ne bohot support kia usse par usse bhi jyada mujhe bura bola bas tab socha ki nahi hoga mujhse kuch bhi aur kaat li apni nas mujhe ek sui se bhi darr lagta hai aur uss din us chaku ki nok ka bhi dard nahi hua .

Sid- kyu yaad kar rahi hai baby mat kar ,wo past tha ho gaya khatam .

Sana- haa pta hai par mai ye sab tujhe isliye bol rahi hoon mujhe pta hai tu apne aap ko blame kar raha hai jo hua aaj par usmein teri koi galti nahi thi haa tune jo bola wo bohot galat bola kahin kahin par tune kisi ko neecha nahi dikhaya teri wajah se koi hurt nahi hua hai maine tujhe pehle bhi bola hai mai jaanti hoon kaisa feel hota hai wo tere saamne hai abhi bohot time tak saath hai iss ghar mein isliye bol rahi hoon in sab se khud ko effect mat hone dena mai nahi chahti tu kuch bhi aisa waisa soche tu bohot strong hai tune humesha hum sab ko khud se  upar rakha hai yaha tak ki tu bachho ko bhi apne se pehle treat karta hai tu sahi hai bas thoda bolne par control kar usne jo kia wo baad mein bhi kar sakti hai par tujhe react nahi karna hai mai samajh rahi hoon tu kis jagha stand kar raha hai par tu kisi cheez ke lye apne aap ko blame mat kar tu iss show mein logo ko real sidharth shukla dikhane aaya hai wo hi dikha ye sab nahi kar tu jaisa hai waisa bohot acha hai kisi ko khud par haavi mat hone de.

sana hugged him and kissed his forehead .

.

.

.

here is the next update please vote comment and share  

Sidnaaz an emotionWhere stories live. Discover now