His Past...

276 33 0
                                    

Here's the next part....

Still holding his hands she took him to the nearby bench that was there in the garden.....He just walked in daze....not able to register anything, as he was again surrounded by all the bitter memories of his childhood.....He wanted to let out all his pain to someone, but he couldn't.....he became so used to keeping all that to himself that he forgot how to express his feelings in front of anyone.....But today when Naina held his hand, he felt like now he has someone who is there to listen to him...maybe she will even understand him.....He let out a deep sigh and started speaking in a low voice....

Sameer: Naina....aaj mai tmse sb kuchh share krna chahta hun....vo b jo aajtk maine kisi se nii kaha....shayad khud se b nii....Mujhe apne dard ko baantne ki aadat hi nii thi...kyunki kabhi koi sunne wala nii tha...lekin..

Naina: Lekin ab mai hun...aur hamesha rahungi... Sameer....maine b apne bahot se dard sbse chhupaaye....lekin aapko bata dia...aap b apna dard mujhse baant skte hain...aur aapne hi kaha tha naa ki dost ek doosre se koi baat nii chhupate aur hum to bahot ache dost hain...Aur aaj aapki dost aapko promise krti h...ki shaadi k baad b hum sbse pehle dost rahenge...aur jaise aapne kaha ki aap hamesha mujhe support krenge....Waise hi mai b aapko promise krti hun ki mai hamesha aapke saath rahungi har circumstances mei.......

Sameer: Naina tumhaari tarah mai kabhi apni family k saath nii raha...mummy papa ka pyaar kaisa hota h mujhe pata hi nii......

Meri mummy, papa....Sumedh, Vivek papa aur Vrushali aunty...I mean Rohan ki mom...ye sb ek hi college mei padhte the....they were best of friends. Dad aur mom ek doosre ko pasand krte the aur Vivek uncle, Vrushali aunty ko.....College k second year mei papa ne mummy ko propose kr dia...aur mummy ne haan kr di....Kuchh time baad mummy papa ko pata chala ki Vivek uncle ko Vrushali aunty pasand hain....to bahot kehne p unhone aunty ko propose kia aur unhone b haan bol dia...they all were very happy...

Us waqt Nanu Nani Ahmedabad mei rehte the...Nanu us sheher k sbse bade industrialist the...Unki Maheshwari textiles bahot badi thi...sb unko jaante the aur mummy unki ek lauti beti....aur unhone mummy ko poori azaadi aur pyaar k saath bada kia tha....isiliye mummy unse sb share krti thi....College khatam hone k baad jb mummy ne Nanu Nani se baat ki to vo papa se milne k liye maan gye....Papa Dehradun based ek bahot bade hotelier the....unki bahot saari properties aur bahot bada business tha, aur papa use bahot ache se handle krre the....

College k final year mei Dadu dadi ki death ho gyi...aur Nanu Nani se milne k baad unhe unke parents ka pyaar b mil gaya...Mummy Papa ne Nanu Nani k aashirwaad se shaadi kr li aur kuchh mahine baad Vivek uncle aur Vrushali aunty ne b.....Dadi unki shaadi se khush nii thi...fir b unki shaadi ho gyi....sb achha chal raa tha, aur unki shaadi k almost 2 saal baad mai aaya unki life mei....aur Rohan mujhse 4 mahine chhota tha...aunty uncle aksar aate the....sb mujhe aur Rohan ko ek jaisa hi treat krte the...Nanu Nani ka ladla tha mai...Mummy aksar mujhe chidhati thi...ki mere aane k baad Nanu Nani ab unse pyaar nii krte...aur ye sunke mai bahot khush hota...

Lekin shayad humaari khushiyon ko humaari hi nazar lg gyi....Hum sbko pata chala ki Vrushali aunty ko cancer h...unki tabiyat Rohan k hone k baad se thodi thodi kharaab rehne lagi thi...lekin Unka cancer almost last stage p tha...unke bachne k chances bahot kam the...Mummy Papa b bahot sad the aur pareshaan b.....Sbne har koshish ki...kitne Dr ko consult kia....mandir...pooja path sb kia...lekin koi asar nii hua.....unki haalat bigadti chali gyi....Humein pata chala ki Dehradun mei ek mandir h jahan ki bhabhooti se bade se abdi disease theek ho jaati h....Koi ye sb nii manta tha, lekin aunty ki life bachane k liye sbko sb manzoor tha....

Mujhe aaj b yaad h...mera 4th b'day tha....Sb sad the fir b mere liye papa cake leke aaye...doosre din hum bhabhoot leke Delhi jaane waale the......Hum cake cut krne hi jaa re the ki achaanak Vivek uncle ka call aaya, unhone kaha ki aunty ki haalat bigadti jaa rii h....Papa bahot pareshaan ho gye aur unhone usi waqt Delhi jaane ka decision lia...July ka month hone ki wajah se bahot baarish ho rii thi...upar se pahaadi raasta....Papa ne kaha ki vo akele jayenge aur hum sb doosre din subah aa jaayein baarish kam hone k baad.....Mummy chah kr b mana nii kr paayi...aur Papa ko jaate huye dekh k mai bahot roya....ye soch k ki unke liye mera birthday bilkul important nii h....4 saal ki age mei kya smjhta ki kisi ki zindagi, kisi ki dosti ka sawaal h....Mummy ne bahot koshish ki...lekin mujhe Papa hi chahiye the...aur kuchh nii....

Adhure Hum....Bin TumhaareWhere stories live. Discover now