Chapter - 50 | Task At Hand

Începe de la început
                                    

"Noor..."

"Tum bhi kaat sakti ho phone..."

"Kaat do...", he said with teary eyes knowing that this time, she won't.

"Shaan..."

"Please... mere liye mushkil mat bnaao..."

"Tum... tumhe kisine mujhse baat karte hue dekh liya toh firse..."

"Koi nhi dekhne vaala hai Noor...", he responded.

The somberness of his voice caught Aastha off guard for a moment.

"K... Koi nhi dekhega... Matlab ?..."

"Vo... mera matlab... Main abhi baahar hoon Noor... Kisiko kuch pta nhi chalega..."

"Tum... Tum mujhse kuch chhupa rhe ho Shaan...", she said in cracking voice.

"Kuch nhi chhupa rha Noor..."

Once again, silence reigned supreme on both sides.

Shaan finally spoke up after a while.

"Noor..."

"Tumhe pta hai..."

"Tumhaari beti Anokhi ne mujhe tumhaare baare mein bohot saari baatein btaayi..."

"An... Anokhi ?...", she said, terrified.

"Haan Noor..."

"Jis din maine use pehli baar dekha tha... Us din pta nhi kyu pehli nazar mein hi mujhe tum yaad aa gayi thi..."

"Bilkul tumhaari jaisi hai vo... "

"Aur sabse badi baat jisse main hairaan reh gaya tha... Vo hai uski beti Mimi..."

Aastha was taken aback.

"Shaan tum... tumhe Mimi ke baare mein kaise ? ..."

"Bohot lambi kahani hai Noor..."

"Lekin main bas itna kahoonga ki bohot pyaar karti hai tumse Anokhi..."

"Jab bhi tumhaare baare mein kuch btaati hain... Toh uski aankhein chamak uthti hai..."

"Muj... mujhe... mujhe khushi hai... Koi toh tumhe Maa banne ka sukh de paaya Noor...", his voice broke.

Aastha put her pallu in her mouth to prevent the sobs from escaping.

"Noor..."

"Ek... ek baat kehna chaahta hoon tumse..."

"Anokhi ko..."

"Use..."

"Use ab pta chal chuka hai ki tum Shauyra ki Maa ho..."

"SHAAN...", a shocking gasp left her lips.

"Vo... vo darasal Noor..."

"Shaurya ko bhi ye baat pta hai ki vo tumhaari student hai... Aur isliye un dono mein takraav..."

"Shaan... Yeh... yeh tum kya keh rhe ho..."

"Shaurya meri vajah se kahi use galat to nhi samajh rha..."

"Yeh kya ho gaya Shaan..."

"Meri vajah se vo bachchi ko kyu kuch sehna pade... Main aisa bilkul bhi nhi chaahti..."

"Aur usne toh mujhe ek baar bhi is baare mein kuch nhi btaaya..."

"Ab... ab main... Ab main Anokhi se kya kahungi..."

FF : Dil IbaadatUnde poveștirile trăiesc. Descoperă acum