WEDDING PROPOSAL

649 54 59
                                    

Although Mahadev wanted to marry her then and there but Mata Parvati told him that they will marry in front of the entire world with all the rituals and Mahadev happily agreed.

Right now at Kailash the discussion was taking place.

"Hum ek samarao bhi rakhenge !" Nandi said.

"Ha khub bhaang piyenge." The Gans said.

"Arrey kintu sabse pehle hume vivah ka prastav rakhna hai." Amarsri said.

"Vivah toh hone hi wala hai toh prastav ki kya awashyakta ?" Mahadev asked.

"Vivah do logo mei hi nahi, do parivaro ke bich sambandh sthapit karta hai. Iss liye Him naresh aur Rani Menavati ki swikriti ati awashyak hai." Amarsri said.

"Tumne aur Srinav ne toh nahi li thi swikriti." Mahadev said.

"A-arrey k-kaha aap sahastra varsho pehle ki baat nikal rahe hai ?" Amarsri defended.

"Toh prastav leke kaun jayega ?" Mahadev asked.

"Mai aur kaun ?" Amarsri said.

□□□

As decided Amarsri did went to the palace of Himavan and Menavati with the marriage proposal of Mahadev.

"Putri ka vivah aaj nahi toh kal karna hi hoga. Kintu use swayam se dur kaise kare ?" Himavan said.

"Dur kaha Him naresh, woh toh aapki seemayo ke andar hi rahengi. Keval ek parvat se dusre parvat hi toh jana hai." Amarsri said.

"Aur yeh mahal aur sukh ?" Menavati asked.

"Aap chintit na ho, Mahadev ke samne sukh ka kya sahas jo unse dur chala jaye. Ha kailash mei bade mahal nahi hai kintu Gufa avashya hai. Sone hetu komal sej nahi hai kintu shila avashya hai, aapke mahal jaise uttam vyanjan nahi hai kintu fal, pushp hai khane mei, Devi Parvati ki sakhiya nahi hongi kintu Nandi, pret, Bhoot, pisach honge." Amarsri said.

Both Himavan and Menavati looked at each other both unsure at this proposal.

'Amarsri, tum mere vivah ka prastav leke gayi ho toh yeh sab kya bol rahi ho ?' Mahadev's voice ringed in her head.

'Vastavik mei satya kadwa hi hota hai, Pitashree.' Amarsri said telepathically.

"Y-yeh sab toh thik hai kintu humne aaj tak Parvati se uche swar mei baat nahi ki aur Mahadev ka krodh toh jag mei prasidh hai." Menavati said.

"Mera bhi yahi maanna hai ki unka krodh atyant prachand hai. Ab sochiye iss karan unka vivah prastav thukra diya jaye toh kitne lajja ki baat hogi." Amarsri said.

'Amarsri !' Mahadev's voice ringed again.

"K-kintu aap vyarth mei chinta kar rahi hai, Mahadev ka krodh prachand awashya hai kintu shan bhar mei shaant ho jata hai." Amarsri said.

"Kathan toh aapka uchit hai kintu..." Himavan couldn't put his thoughts to his words.

"Pitashree, Mata." Parvati Mata intervened coming towards them.

"Jisne Mahadev ko paa liya toh uske liye yeh mahal ke sukh-suvidha vyarth hai. Jab Mahadev mere saath hai toh mujhe kisi aur ki saath ki kya awashyakta ? Iss mahal ke ke vyanjan Mahadev ke saath khaye fal se adhik swadisht nahi ho sakte. Aur mujhe purn vishwas hai ki mere prem se Mahadev ka rudra tandav bhi prem raas mei parivartit ho jayega." Mata Parvati said.

"Uchit kaha. Iss sansaar mei har stree yahi kaamna karti hai ki uska pati Mahadev jaisa ho. Aur yaha Mahadev swayam aapki putri se vivah karna chahte hai." Amarsri said.

"Kintu hume Parvati ki chinta hai." Menavati said.

"Rani Menavati, yeh toh aapko bhi pata hai ki devi Parvati ka janm keval Mahadev se ek hone hetu huya hai." Amarsri said.

HARIHARESHWARI 5 : SRIJANWo Geschichten leben. Entdecke jetzt