DAKSH'S PLAN

525 49 76
                                    

As per Vijaya's plan, Daksh has planned a yagya just to insult Mahadev. He requested Mahadev to attend the yagya before going back to Kailash and Bholenath being Bholenath accepted it.

Vijaya forced him to invite Srinav and thus he invited both Amarsri and him for he knew Shreeshaktiswar will not come unless Harihareshwari comes.

Soon Mahadev with Sati and Amarsri with Srinav entered the hall. But Daksh stopped Mahadev.

"Vijaya kya tumne Mahadev ko yagya ke niyam nahi bataye !? Yeh nahi bataya ki yagya ki apni Mariyada hoti hai !?" Daksh asked.

"Mujhe laga unhe gyat hoga." Vijaya said.

"Kshama kijiye Mahadev. Aap aisi vesh bhusha ke saath yagya mei samellit nahi ho sakte. Yadi aap sacche man se yagya mei samellit hona chahte hai, toh apne gale se toh charm-chhal ki jagah dhoti pehen lijiye. Kyuki hum Vishnu bhakt mrit pashu ko apavitra maante hai." Daksh said and Vijaya smirked.

All except Mahadev looked at him with disbelief.

"Mahadev, sabse purn aap snaan karke pavitra hojaye, kyuki aapke tan oar jo bhasm hai hum usse ashubh maante hai. Tat-paschat chandan ka lep laga kar, rudraksh ki mala ke jagah tulsi ka mala dharan kare. Fir aap yagya mei baithne hetu yogya ho jayenge." Daksh said.

"Mujhe inn niyamo se koi apatti nahi hai kintu mera ek prashn hai, yadi man mei paap hai toh kya yagya fallit hota hai ?" Mahadev asked.

"Nahi. Man ka shudh hona toh ati-awashyak hai." Daksh said.

"Toh yadi man shudh hai toh tan ki shuddhi ka kya mahatwa ? Aaj mai yeh baat sidh kar dunga yagya mei baith kar." Mahadev said.

"Nahi Mahadev. Mai nahi chahta ki iss karan bhagwaan vishnu mujhse krodhit ho jaye." Daksh said.

"Mahadev Narayan ki aaradhna kare aur Narayan rusht ho jaye ? Yeh asambhav hai." Amarsri said.

"Yeh aap kis pramaan par keh rahi hai devi ?" Vijaya asked.

"Apne astitwa ke pramaan par. Mahadev aur Narayan toh ek hi hai, yadi Narayan kan-kan mei hai, toh Mahadev hi kan-kan hai." Amarsri said.

"Mahadev aur Narayan ek kaise ho sakte hai ? Narayan toh palanhaar hai, sanchalak hai kintu Mahadev toh vinash karte hai, sangharak hai." Daksh said.

"Naya bhavan banane hetu purane bhavan ka tutna awashyak hota hai. Yadi sanghar nahi hoga toh nirmaan nahi hoga aur yadi nirmaan nahi toh sanchalan kaha se hoga ? Yeh hi toh Srijan ka gyan hai. Aap jin Mahadev ki ninda karte hai unhe toh swayam Narayan pujte hai." Amarsri said.

"Kintu mai fir bhi jokhim utha ke Mahadev ko yagya mei samellit hone nahi de sakta." Daksh said.

"Aap Mahadev ko yagya mei samellit karna hi kab chahte the Pitashree ? Aapne toh hum sabko ekatrit iss hi liye kiya ki aap sabke samaksh Mahadev ka apmaan kar sake." Sati said.

"Aisa kuch nahi hai Sati. Mai bas itna chahta hu ki Mahadev ke karan mere aradhya Narayan mujh par krodhit na ho jaye." Daksh said.

"Daksh, tumhari yeh soch ki Narayan Mahadev se pare hai aur Mahadev samaj ke liye badha hai pehle hi bahut asantulan utpan kar chuki hai. Iss agyanta ka annt aaj mai kar ke hi rahungi." Amarsri said.

"Kya karengi aap devi ?" Vijaya asked.

"Mai toh keval itna pramaan karungi ki Narayan aur Mahadev ek hai. Uske baad Daksh itna toh samajhdaar hai ki swayam satya jaan le." Amarsri said.

□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

AMARSRI TRYING TO RESOLVE THE DISPUTES BETWEEN VAISHNAVS AND SHAIVITES SINCE SATYUG !

BUT WHAT IS SHE ABOUT TO DO ?
--

DAKSH : Mahadev and Narayan are not one.

VIJAYA : Definitely not one.

AMARSRI : So you both have chosen to ignore my mere existence.

--

HEY EVERYONE ! TODAY IS THE SWAYAMVAR OF MY SAKHI ArianaCarrington06 ! MAL YUDH HONE WALA HAI !

AND THE CONTENDERS ARE BALRAM DAU, DURYODHAN, DUSHASHAN, JARASANDH, SHISHUPAL AND KEECHAK !

LET THE SWAYAMVAR BEGIN !

HARIHARESHWARI 5 : SRIJANWaar verhalen tot leven komen. Ontdek het nu