RUDRA TANDAV

564 51 13
                                    

"Chaliye Dev." Amarsri said to Srinav who was almost frozen in spot, staring at Mata Sati.

"Meri Mata..." Srinav sobbed.

"Khud ko sambhaliye dev, hum yaha ek shan aur nahi rukenge." Amarsri said.

"Aap kahi nahi jaa sakti !" Daksh yelled coming in front of them.

"Aapne mujhe vachan diya tha ki jab tak yagya samapt nahi hoga aap yeh sthan chodke nahi jayengi ! Aur mai yeh yagya poorn karke hi rahunga !" Daksh said.

"Daksh Jab swayam ka ghar jal raha ho toh yagya se kuch labh nahi hota !" Amarsri said.

"Aapne mujhe vachan diya tha ki yagya mai vighna dalne wale se meri Raksha karengi ! Sabhi devtao ne mujhe yeh vachan diya tha ! Aap sabhi ko kaal se meri raksha karni hi padegi." Daksh said.

"Kaal se tumhari raksha hum kya kare jab swayam Mahakaal ki drishti tum par hai Daksh ?" Amarsri said.

"Iss dur-buddhi ko samjhane se koi labh nahi devi, humne aaj Mahadev ka apmaan saha aur Devi Adi-shakti ko apne aakho ke samne deh tyagte dekha. Iss paap ka prayeschit toh apne praano se dena padega hume." Indradev said.

"Bhul thi humari jo ek ahankari ko vachan de baithe !" Agnidev said.

Suddenly a loud roar shook everyone, all went outside and gulped seeing a dark figure riding on a bull, with blood-lust eyes and with skulls around his neck.

Suddenly a loud roar shook everyone, all went outside and gulped seeing a dark figure riding on a bull, with blood-lust eyes and with skulls around his neck

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Yeh kaun hai ?" Daksh asked.

"Mahadev ke Rudra-avtar, jiske chaal se dharti aur Gagan dono kaapti hai. Paapiyo ke sakshat kaal, Veerbhadra." Amarsri said.

"Mahadev ne inhe tumhare praan lene hetu bheja hai. Kshama maang lo unse Daksh toh jeevan-daan abhi bhi sambhav hai." Srinav said.

"Kshama aur uss Shiv se kada bhi nahi !! NARAYAN ! MERE PRABHU NARAYAN !!" Daksh called and Narayan appeared in front of them.

"Mere prabhu ! Mere Aradhya Narayan ! Iss Veerbhadra se meri Raksha kijiye !" Daksh said.

Narayan sighed and summoned an army, the soldiers lunged towards Veerbhadra only to be slaughtered like animals by him.

The gods tried to attack Veerbhadra with their powers but failed, as nothing seemed to be working on him.

"Inhe parajit karna humare liye asambhav hai, kshama kijiye Prajapati Daksh kintu hum aapki raksha nahi kar sakte." Indradev said and disappeared with other gods.

"Yeh devta jab vachan rakh hi nahi sakte toh vachan dete kyu hai !? Aur Narayan aapki bhi sena Veerbhadra par kaam nahi kar rahi hai !?" Daksh exclaimed.

"Veerbhadra ke samne koi bhi sena nahi tik sakti." Narayan said.

"Aap chahte toh abhi tak apne Sudarshan Chakra se iska naash kar sakte the ! Aisa toh nahi Narayan ki aapko Shiv ka bhaye hai iss liye aap meri sahayata nahi kar rahe !?" Daksh accused.

HARIHARESHWARI 5 : SRIJANWhere stories live. Discover now