A BOON FROM MAHADEV

603 64 23
                                    

□□ VAIKUNTH □□

"Ab yadi Mahadev Sati se vivah nahi karenge ko Shiv aur Shakti ek kaise honge ?" Mata Laxmi asked.

"Koi upaye bataye Narayan." Srinav said.

"Upaye ? Yadi aisi paristhiti khadi ho jaye ki Mahadev ko Sati se vivah karna hi pade toh ?" Narayan said with a smirk on his face.

Amarsri felt a weird churn inside her looking at his smile and Narayan noticed it.

"Kya huya Narayana ? Kuch samasya hai ?" Narayan asked.

"Aapki yeh muskan se bhaye lagta hai." Amarsri said.

"Tatparya ?" He asked.

"Pehli baar aapke mukh par aisi muskan dekhi thi toh Ved chori ho gaye the aur dusri baar Jal-pralay aagaya....ab kaisi paristhiti utpan karenge aap ?" Amarsri asked and Narayan chuckled.

"Narayana, iss baar mai kuch nahi karunga. Kyuki tum logo ne pehle hi woh karya kar liya hai." Narayan said.

"Humne kya kiya ?" Srinav asked.

"Tum dono ne Mahadev ke sahayata se Vajrang ka annt kiya tha. Ussi ke putra Tarkasur ne Mahadev ko ghor tap se prasann kar liya hai." Narayan said.

□□ PATAL LOK □□

"Tumhare tap se mai atyant prasann huya Tarakasur. Vardaan mango." Mahadev told.

"Mahadev, aisa kya hai jo mei aapse nahi maang sakta ? Aap mujhe sab kuch de sakte hai kintu mai lobhi nahi hu. Mujhe keval amritva ka vardaan de, meri mrityu kabhi na ho sake." Tarkasur asked.

"Jiska janm huya hai uski mrityu nischit hai, yahi prakriti aur shrishti ka niyam hai. Koi aur vardaan maango." Mahadev said.

"Yadi meri mrityu hona aniwarya hai toh fir aap mujhe vardaan de ki meri mrityu keval Shiv aur Shakti ke putra se ho." Tarkasur said.

"Tathastu." Mahadev blessed and disappeared.

Suddenly Tarkasur started laughing as he looked up at the heavens.

"DEKHA TUMNE INDRA !? MERI MRITYU AB NA TUMHARE DEVTAO KE HAATHO HO SAKTI HAI, NA HARIHARESHWARI AUR SHREESHAKTISWAR KE HAATHO ! AB SWARG HI NAHI APETU SAMPOORN SANSAAR PAR HUM ASURO KA ADHIPATYA HOGA !" Tarkasur roared

□□ PRITHVI LOK □□

Daksh who at this point had enough of Sati's love and devotion for Mahadev was now planning to organize her swayamvar.

"Pitashree bina mujhse puche aapne mera swayamvar kyu racha ?" Sati asked.

"Putri ke liye sabse uchit kya hai, yeh ek pita ke alawa kaun jaan sakta hai ? Mera nirnaye tumhare hit mei hai." Daksh said.

"Kintu Pitashree mai keval Mahadev se prem karti hu." Sati said.

"Sati, yadi tum iss swayamvar mei vivah nahi karogi toh mai jal samadhi le lunga." Daksh said.

"Kya !?" Sati exclaimed.

"Ha. Ab tum apne pita se itna prem toh karti hi hogi, ki mujhe jal-samadhi na lene do." Daksh said and left.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

THE PANDAVAS ARE NO LESS THAN DISNEY PRINCESSES. LET ME SHOW YOU HOW.

DO YOU HAVE MAGIC HAIR ?

DO YOU HAVE MAGIC HAIR ?

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
HARIHARESHWARI 5 : SRIJANWhere stories live. Discover now