MAHA-SHIV RAATRI

639 61 28
                                    

Chandra looked at his savior none other than Dev adi dev Mahadev and fell on his feet.

"Prajapati ke shraap se mujhe mukt karane hetu dhanyawaad Mahadev." He said.

"Abhi tum shraap mukt nahi huye ho chandra." Mahadev said.

"Kya ?" Chandra asked standing up.

"Maha mrityunjay Mantra se Prajapati le shraap ka keval prabhav kam huya hai. Waise bhi tumhara apradh akshamya nahi. Tumne Revati aur apni anya patniyayo ko unke adhikar se vanchit rakha." Mahadev said and Chandra lowered his gaze.

"Prajapati Daksh ne tumhe dand deke bilkul sahi kiya, koi samanya pita hota toh tumhe awashya kshama kardeta, kintu woh samanya nahi Prajapati hai. Aur mujhe iss baat se atyant prasnnata hai ki Daksh ne apne parivarik sambodho ko nahi nyaye ko dekha aur aapko wahi dand diya jiske aap adhikari hai." Mahadev said.

"Kshama karde Mahadev, shraap se mera rakshan kijiye, mai vachan deta hu ki bhavishya mei apni anya patniyo ko bhi Rohini samaan prem aur samman dunga." Chandra said.

"Pitashree, yeh sansaar Chandra ke bina kaise rahega ? Sampoorn santulan bigad jayega. Chandra ko bacha lijiye." Amarsri said.

"Chandra ne jo apradh kiya woh akshamya hai kintu sansaar ke kalyan hetu mai Chandra ko jeevan daan awashya dunga." Mahadev said.

"Kintu kaise Mahadev ?" Srinav asked.

"Prajapati ke shraap ka annt toh nahi kar sakta kintu apne shish par dharan kar abhaye daan awashya de sakta hu." Mahadev said.

"Chandra ko aap dharan kare, isse pehle meri ek vinti hai." Dadhichi rishi said.

"Aaj ki titthi bahut shubh hai Rishi Dadhichi, aaj sabki manokamnaye puri hogi." Mahadev said.

"Sabki ?" Sati muttered.

"Prabhu, aaj hum aapki pratyaksh roop mei puja karna chahte hai. Aapke samman mei hum iss shubh din par ek utsav ka aayojan karna chahte hai." Rishi Dadhichi.

"Awashya. Utsav uprant mai Chandra ko dharan karunga." Mahadev said.

Thus a celebration was held in Mahadev's honor where all of them did his aarti. Sati was watching all of it from behind a tree, wondering if everyone's wishes would come true today, should she also ask her wish.

Suddenly Narayan and Brahmadev appeared in front of them.

"Aap Chandra ko apne shish par dharan karne jaa rahe hai Mahadev." Brahmadev said.

"Hum swayam ko iss shan ke bhagi banne se rok nahi paye. Kripiya ab Chandra ko dharan kare." Narayan said.

"Awashya." Mahadev said and wears the crescent moon on his head.

" Mahadev said and wears the crescent moon on his head

Ops! Esta imagem não segue nossas diretrizes de conteúdo. Para continuar a publicação, tente removê-la ou carregar outra.

"HAR HAR MAHADEV !" Everyone chanted.

"Aaj ka din atyant shubh hai, aur Chandra ko bhi Daksh ke shraap se abhay daan milgaya. Iss liye aaj ki tithi Maha-shiv raatri ke naam se jaani jayegi." Narayan said.

□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

BOLO CHANDRASHEKHAR KI JAI !!

BAS CHANDRASHEKHAR KO APNI CHANDRAGHANTA MIL JAYE....

THE OTHER DAY I HAD A SUDDEN REALIZATION THAT BESIDES KARTIK BHAGWAAN, NONE OF THEIR CHILDREN ARE THE ANSH OF BOTH SHIV AND SHAKTI.

AND ALSO THE ANSH OF MAHADEV ARE ALWAYS ON THE WRONG SIDE AND THE ANSH OF PARVATI MATA ARE ALWAYS ON THE GOOD SIDE.

LIKE LORD GANESH AND ASHOK SUNDARI, ARE GOOD AND RIGHTEOUS.

BUT ON THE OTHER HAND, JALANDHAR, ANDHAK, MANSA DEVI (she was reformed later but still) WERE ON THE BAD SIDE.

AND AS PER LORD AYYAPPA, WELL HE HAD THE ANSH OF NARAYAN AND MAYBE THUS HE WAS ON A GOOD SIDE.

MUJHE MAHADEV SE KUCH UTTAR CHAHIYE AB !!!!!

HARIHARESHWARI 5 : SRIJANOnde histórias criam vida. Descubra agora