LEAVE FOR LONDON?

482 76 25
                                    

Hey loviesss.. I'm back with new update..
Sometimes in a relationship.. We need to trust each other we need to talk and listen to each other.. We have to understand each other's condition if they have any problems... If we did not pay attention to all those things, what could be the problem, it is an attempt to look the same in life.

So I have tried to take that topic in next few chapters so...

Happy readings...


Mishti is trying to sleep... But she couldn't...

So she starts to write her diary...

" na Raasta aasaan hai..
Na HI dikh rahi manzil..
Naa pichhe mud sakti hu..
Aur na Aage badhne ki himmat hai
Per Dar nahi lagta ab chunautiyon se..
Jab pyar sath hai..
To fir kal kuch bhi ho..
Har muskil paar hogi..
Zindagi ko bhi jitungi..
Aur pyar ko bhi.. "

Jab Zindagi Mazak karne lagti hai to sirf 2 options Milte hai... Yaa to tut jaao.. Ya uss mazak ko bhul Kar aage badhe aur Zindagi ko Jit le...

Main nahi jaanti Mera future kya hai ya Fir mera kya hoga...
Abir meri jaan hai uske bina rahena.. Main soch bhi nahi sakti...agar main use bhul gayi to main uske bina rahe lungi..per Woh.. Woh mere bina kaise rahe payega...

Sab jaante hai ki main Usase Kitna pyar karti hu even Woh bhi...main use Dukhi nahi kar sakti.. Main use sab batake jaungi.. Baad me Jo hoga dekha jaayega... Main Bhale hi yaha se jaa rahi hu..per use andhere me nahi rakh sakti.. Use dard nahi de sakti...

Abir ki Maa ko lagta hai main use bother kar rahi hu.. Apni pareshani Usase baant ke use aur tensed kar rahi hu...per Woh kyu nahi samajti... Maine kabhi unke bete ko pareshan Karna Nahi chaha..even Main to use khushiyaan aur pyar hi dena chaha hai aur chahti rahungi... Agar unhe ye lagta hai ki main unke bete ke sath hokar uski pareshaniyaan badha rahi hu.. To main Usase dur ho jaungi.. Per usko Sach batane ke baad...

Diary.. Koi samje na samje tu Mujhe Samjati hai meri baat sunti hai... Abir bhi sunta hai per mujhe Filhaal Usase dur jaana hoga.. Kyuki Ab aur use musibat me nai daal sakti...

And she stopped writing as she heard a knock on the door...

Mishti : Kon hai?

Maa : Gudiya rani... Main hu... Tu abhi tak Jaag rahi hai kya?

Mishti :   Ji Maa... door open hi hai aap andar aa jaiye...

Maa : Mishti...kya hua beta... Kuch pareshan si lag rahi hai.. ?

Mishti : Maa main abir ko bataye bina Yahan se nahi jaana chahti.. Per agar main use batane gayi... To Woh Mujhe rok lega.. Aur agar mere treatment ke Baad main use bhul gayi to Woh jee nahi payega.. Main kya karu Maa Jisase.. Jisase use sab bata bhi du aur Woh Mujhe rok bhi nahi paaye...

Maa : Mishti... Vese to main yahi khaungi...
Ki tu khud jaake use bata.. Verna kahi ye na Ho ki Woh galat samaj Bethe Tujhe... Haa Woh Tujhe rokega Jarur... But uske liye bhi mere paas ek idea hai.. Tu use letter likh de aur Usme Jo kuch bhi Tere dil me hai sab likh de aur Woh rakh aa uske ghar... Woh padh bhi lega aur Tu London bhi pahoch chuki hogi...aur Mujhe vishwas hai Woh samjega Tujhe aur Teri problem ko..

Mishti : Yess Maa Thank you so much...

Maa : Chal Abhi so jaa.. Parso Teri London ki flight hai na... To kal uski taiyari bhi karni hai Tujhe doctor se Milne bhi jaana hai na..to rest karlo...

Mishti : Haa Maa  good night..

Maa : Good night ..

Next day...

TO BE YOURS FOREVER Where stories live. Discover now