Shivika is upset

5.3K 279 41
                                    

That month was a hectic one Shivaay. Meetings during the day then Anika's cravings in the night. He was hardly able to pay attention to anything else.

One morning, he was sitting in the study with his laptop, working on an important document. Shivika comes there.

Shivika: Papa, dekho maine aapki drawing banai hain. Kaisi hain?

Shivaay: *without looking* Achhi hain.

Shivika: Aapne toh dekhi hi nahi.

Shivaay: Achhi hi hogi.

Shivika: Ek baar dekh toh lijiye na. Aap khush ho jaaoge.

Shivaay: *irritated* Dikhai nahi de raha ki main busy hoon. Tum baad main aana. Main kahin bhaaga nahi jaa raha. And stop irritating me aur jao yahaan se.

Shivika feels hurt. She crumples the sides of her drawing and shoves it in to her bag. She looks at Shivaay with teary eyes, who was still on his laptop.

Shivika: *in low tone* Main humesha aapki aankhon ke saamne rehti hoon toh aapko meri koi value nahi hain. Jab main aapse door chali jaaoongi toh aapko pata chalega. Bye.

She stormed out of the room and went to the living area. She sees Khanna.

Shivika: Khanna uncle.

Khanna: Jee Shivika baby?

Shivika: Aap mujhe school drop kar denge?

Khanna: Aap sir ya ma'am ke saath nahi jaayengi?

Shivika: Mumma ki tabyat theek nahi rehti aur papa... busy hain. Please aap chhod dijiye na.

She makes her irresistible puppy eyes.

Khanna: Okay, main aapko drop kar deta hoon.

Shivika: Thank you Khanna uncle.

She sits in the car and he drives her to her school. Just before they reached, Shivika realised something.

Shivika: *scared* Rukiye Khanna uncle!

He immediately applies the brakes.

Khanna: *worried* Kya hua Shivika baby? Aap theek toh ho?

Shivika: Main theek hoon, likin main mumma aur papa ko bata bhool gayi ki aaj hum school trip se Lonavala jaa rahe hain. Unhe kaise pata chalega ki main kahaan hoon?

Khanna: *takes out a chip* Aap yeh apne uniform pe laga lo.

Shivika: *examining it* Yeh kya hain? Button?

Khanna: Tracker. Isse hum aapko track kar sakte hain.

Shivika: Oh, okay.

She pins it on her sleeve, takes her bag and gets down. Before going inside, she takes her drawing out and hands it to him.

Shivika: Aap please yeh drawing papa ko de dijiyega. *mummers* Maine kitne pyaar se banaya tha.

He nods and goes back.

In Oberoi Mansion, Anika was sitting in the hall when Shivaay comes there.

Anika: Shivaay, aap Shivika ko school nahi le gaye?

Shivaay: Mujhe laga who tumhare saath thi.

He sees Khanna.

Shivaay: Khanna.

Khanna: Jee sir?

Shivaay: Tumne Shivika ko dekha?

Khanna: Abhi main unhe school drop karne hi gaya tha. Aur woh bata rahi thi ki woh aaj school ki trip se Lonavala jaa rahi hain. Maine unpar ek tracker fit kar diya hain, agar koi emergency hui toh.

Anika: Yeh ladki din-bar-din bhulakkad hoti jaa rahi hain. Likin shukriya Khannaji, usse school chhodne ke liye.

Khanna: It's okay Ma'am. Shivaay sir, Shivika baby ne aapke liye yeh drawing dee thi, keh rahi thi ki bahot pyaar se banai hain.

Shivaay sees the drawing; she and him cooking together and under it written, "My papa, best papa". He caresses it and looks away.

Shivaay: * in low tone* Theek hain Khanna. Tum jao.

He looked lost so Anika snapped her fingers infront of him.

Anika: Kahaan kho gaye?

Shivaay: Anika, Shivika mujhse subah baat karna chahti thi likin maine dhyaan nahi diya, daant bhi diya. Woh mujhse gussa hogi na?

Anika: Itni chinta mat kijiye. Usne itni pyaari drawing banai, aapko lagta hain woh aapse naraaz hogi?

He sighs and nods in disapproval.

Anika: Aapko zyaada bura lag raha hain toh jab woh wapas aaye, toh use achhi-si aloo-puri aur gajar ka halwa khila dena.

Shivaay: Woh gusse main tumhari choice ka khaana khaati hain?

Anika: Arey, meri itni khidki-tod pasand jo hain.

They chit-chat till lunchtime.

You and me make WE (A ShivIka FF) ||✔️||Where stories live. Discover now