Chapter # 38 " Her last feelings "

3.9K 227 130
                                    


Hold your hearts and keep the tissue box near your self. Because the chapter is gonna be a tragic one.



Sad Reading :(



Hussain Asif's POV

"I love you Hussain. Kuch naya nahi hai is mai. Aap yeh sub jaanty to hein pehly say he. Meri diary parh to chuky hein aap.

Aap ko meri personel cheez nahi perhni chahye thi Hussain. Ab aap ko pata chal gaya hai to mai sub kuch bata he deti hoon apny mou say khud he.

Mai aap say such mai pyaar kerti hoon. Shayad us waqt say jub aap say pehli baar mili thi.

Mili to nahi thi haan lekin aap ko dekha zaroor tha. Or us waqt he mujhe laga tha kay ab mai kisi or ko dekh nahi paaon gi kabhi bhi. Aap ko dekhny kay baad to yeh aankhein kahin or dekhna shayad bhool he gayi thee.

Woh kiya kehty hein Love at first sight ho gaya tha mujhe aap say. Lekin us waqt mujhe khud meri feelings ka nahi pata tha kay mere saath kiya ho gaya hai.

Bohat choti thi mai us waqt lekin Hussain phir bhi mujhe aap say pyaar ho gaya tha.

Aap ko to mujh say kabhi pyaar ho he nahi sakta tha na. Aap kay type ki jo nahi thi mai.

Koi ker bhi kesy sakta hai mujh say pyaar or kery ga bhi kiyun koi mujh say pyaar.

Kon kery ga mujh chashmish or aunty type bandi say pyaar. Mai khoobsoorat nahi hoon na baki larkiyon ki tarhan.

Mai un ki tarhan fashion nahi kerti na. Mai un kay jesy kapray nahi pehnti. Mai un kay jesy baal nahi bnati or na he her maheeny parlour jaati hoon.

Mai nay khud per kabhi dhean he nahi diya tha. Kiyun kay mujhe lagta tha kay Allah nay her cheez ko perfect bnaya hai. Or mujhe bhi Allah nay bnaya hai to mai bhi perfect hoon gi.

Lekin mai galat thi.

Mai perfect nahi hoon. Mai to eik nerd hoon. Eik kitaabi keera hoon. Perhny say kabbhi fursat he kahan mili mujhe jo khud per kabhi dhean deti mai. Bus apny baba ki wish poori kerna chahti thi.

Look woh wish poori kerty kerty kahan pohnch gayi hoon mai. Un ki wish to poori ho gayi lekin mai adhoori ho gayi.

Meri tamam khuwahishaat adhoori reh gayi sub ki sub.

Mujhe nahi pata tha kay ainak lagana itna bara jurm hai. Aap ko roz roz yun chup ker dekhny mai yehi ainak kaam aati thi mere.

Ge haan aap ko roz mai chup chup ker dekha kerti thi apni window say. Or aap ko yun dekhna meri aadat ban chuki thi.

Pehly to aap ko roz dekhny ki aadat ho gayi thi lekin phir aap sirf weekend per he aaty thy.

Mai aap ka intezaar kerny lagi thi lekin jub aap nahi aaty thy na to dil toot sa jata tha mera.

Jub sherry bhai akely aaty thy to mai un say zaroor milti thi. Lekin aap say milny ki kabhi himat he nahi hoti thi. Jub bhi aap kay samny aane ka tasawur kerti thi to mere jism say jaan si niklny lagti thi. Yun lagta tha kay mai mar jaoun gi lekin aap kay samny nahi aa sakoon gi.

Hussain aap nay meri diary to perh he li hai.

Or agar nahi parhi to mai aaj aap ko ijazat deti hoon kay aap meri diary parh li jiye ga.

"His Hoor" (Hussain Asif's Fanfic)✔️Where stories live. Discover now