CHAPTER-44

3.5K 447 76
                                    

Shehnaaz kept looking at him with teary eyes... Shocked... No, Numb... No, devastated.... A big yes..

Shehnaaz- Sid.. Sidharth ye..

Sidharth - Shehnaaz plz meri baat sunlo pehle ... Please Shehnaaz.

She was not at all in a mood to listen to any explanation.. She just wanted to escape from that place as soon as possible.

Sidharth - Shehnaaz tum to jaanti ho na humari Shaadi kis haalat mei hui hai.. We didn't had a normal marriage but we both were forced into it..

It was arranged by your dad.
Tumhari pregnancy kisi ki zindagi mei itni khushiya laayi aur dusri taraf tumhari zindagi barbaad kar gayi thi. Jabardasti ki shaadi, papa ka daant, logo k taane sab tumne akele bardaasht ki.

Tumne yaad hai mujhe kya kaha tha?
Ki Sidharth agar tum meri zindagi mei na aaye hote to aaj Shehnaaz Raghuvanshi khuli hawa mei udti.. Tumne mujhe kaid kar rakha hai.

Yahi kaha tha Shehnaaz?

Jis wajaah se ye shaadi hui thi ab wahi nahi hai to ye shaadi kyu..

Tumhara aur mera milna, shaadi karna, saath rehna sab kuch sirf ek jhooth ki wajah se tha jo ab kisi aur ki khushiya hai.

Mai aur tum do aise kinaare hai jinka milna Namumkin hai..
Tumhare standard, tumhare haisiyat tak pahunche k liye sayad mujhe ek janm aur lag jaaye..

Yaha tum mere saath samhaal k, soch samaj k kharcha karti ho majbooran lekin Shehnaaz Raghuvanshi to ek minute nahi sochti laakho kharch karne se pehle.

Yaha tumhe itne kaam karne padhte hai, itna bachat, itna soch kar ki ghootan hogi tumhe.

Tum ye sab k liye nahi bani ho Shehnaaz..
Tum to asmaan k rang bikherke, apne saare sapne poore karne k liye bani ho.

Ye tumhari acchai hai Shehnaaz ki aaj tum anniversary mana rahi jo jabki divorce to tumhe dena chahiye tha mujhe.

Sach to yehi hai na ki zindagi bhar mai driver aur tum maalkin hi rahogi.
Humara koi mel hi nahi hain..

Aur mai tumhe ek acchi zindagi kabhi nahi de paunga.
Mere saath tum nahi reh sakhti Shehnaaz isliye ye divorce papers tumhari aazaadi k liye.

Is rishte se azaad hoke tum sab haasil karna..
Tumhare dream bekaar nahi jaane chahiye na Naaz.
You wanted to be a singer and you should follow your dreams..
Mai kabhi tumhe tumhare sapne poore karne se nahi rokunga..
Sirf 25 ki ho tum aur poori zindagi padhi hai aage tumhare...
Ye shaadi, bacche jaise fizool cheezo k liye apne sapne ko kurbaan mat karo.
Mai agar ameer hota to tumse kabhi divorce jaise cheezo ki baat nahi karta kyunki tab Mai tumhe har cheez dene k kaabil hota.
Lekin Mai kabhi tumhare liye concert arrange and all nahi kar paunga Naaz aur yehi cheeze aage jaake humare rishte mei daraar banke rahegi isliye Alag hona hi behtar hai.

Aur hum pati patni na bhi rahe to kya, hum dost to humesha rahenge.

He uttered fumbling with his words.. For some reason he felt immense pain in his heart while talking about divorce.

His eyes shed tears and he kept fidgeting his fingers to control the sobs.

He don't want it, absolutely not but he have to do it for her..
She will be more happy without him as there won't be any monetary problem creating barrier for her to fulfill her dreams.

Beside all these she deserves the one she will love and not somebody who is forced on her, who is 10 years older than her, who doesn't have anything to give her, who doesn't earn 7 digit figure, who can't even provide her a secure future.

After few minutes of silence he turned but found no one standing there and the door of exit was open.

He ran towards it calling her name but she was gone..

Sidharth - Shehnaaz....Shehnaaz plz... He screamed her name with the pain pulped inside but she was gone..

Shedding tears he was about to move out of that room but his eyes went on a beautiful card kept on the side table at a distance And something glowing a bit.

__________________________________________

❤MY ARRANGED BELOVED ❤Where stories live. Discover now