JIN KA PYAR (PART 24)

254 31 27
                                    

Assalamualikum
Jin ka pyar;
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh.

Ariha ki baat sun kar Arab ko bahut gussa ata hai.

Wo dusri taraf mod kar apne gusse ko kabu me karne ki koshish karta hai, uski ankho ka rang badalne lagta hai.

Wo ariha ki taraf nahi dekhta, wo darta hai ki kahi wo apne gusse me ariha ko koi nuksan na pohcha de.

Wo apne dant pis kar rah jata hai.

Ariha,
Tum apne ap ko samjhte kya ho, mujhe abhi mere ghar par wapas chodo.

Arab ariha ki baat ka koi jawab nahi deta or na hi uski taraf dekhta hai.

Ariha,
Tum sun rahe ho, mujhe mere ghar wapas jana hai.
Waha kya dekh rahe ho.
(Or wo Arab ka hath pakad kar usse apni taraf modne k liye uske pass jati hai ,
Tabhi Arab palat jata hai or ariha ka hath pakad leta hai)

Arab ki aankho me itna gussa or taish dekh kar ariha gabbra jati hai.

Ariha,
A, aaa, Arab chodo mera hath mujhe dard hora hai.

Chodo, (ariha ki ankho me ansu a jate hai)

Arab,
(Ariha ki ankho me ansu dekh kar Arab usse chod deta hai)

Mujh se jhoot q bola, kya kar rahi thi tum asad k sath, maine mana kiya tha na tumhe usse baat karne k liye usse milne k liye.

Ariha,
Tum hote kon ho mujhe rokne wale, or q manu mai tumhari baat .

Arab,
Mai tumse pyar karta ho, or ha tumhe aj ek baat bata deta ho tum sirf meri ho, or tumhe me apna bana kar hi rahonga.

Ariha,
Bakwas band karo apni, koi film dekh kar aye ho kya, jo is tarah ki batein kar rahe ho.

Dekho Arab mera is waqt tumse ladne ka koi mood nahi hai, isliye acha hoga k tum bhi apna ye darama band karo or mujhe mere ghar par chod do.

Ammi abbu pareshan ho rahe honge.

Arab,
(gusse se ariha ko dekhta hai)
Kya kaha tumne natak, mera pyar tumhe natak lagta hai.

Or wo zor se car k agee wale hisse par hath marta hai. Jis car k sheshe bure tarah se toote jate hai or car agee ki taraf se zameen me gos jati hai.

Ariha,
Der kar apne kano par hath rakhti hai, or jab car ko dekhti hai toh us k hosh udd jate hai.

Ye ye kya kiya tumne, kaise kiya wo palat kar Arab se pochti hai, par Arab waha nahi hota.

Arab ko waha na pa kar wo der jati hai , or wo zor zor se Arab ko awaz dene lagti hai.

Ariha,
Arab
Arab, kaha ho tum dekho mere sath mazak mat karo mujhe der lag rah hai.

                            jin ka pyarWhere stories live. Discover now