JIN KA PYAR(PART 29)

213 29 43
                                    

Assalamualaikum,
Jin ka pyar;
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.

Ariha(jo Jin hai) wo inhi socho me gum rahti hai tabhi uski dadi room me ati hai, wo unki awaz sun kar sone ka natak karti hai.

Dadi,
Ariha beta, (jawab na pa kar wo ariha k pass jati hai or usse sota hoa dekhti hai)

(Wo ariha ka matha chumti hai)

Ye toh so rahi hai, lagta hai thak gai hai waise bhi pichle kuch dino se jo iske sath ho raha hai iska ye taveez pahan na zaruri hai, jaise hi uthe gi furan usse ye taveez pahna dongi.

Or wo chali jati hai.

Asad k office me,
Asad apni office me ek meeting me hota hai, meeting khatam hoti hai toh wo sochta hai.

(Ariha ki na toh koi call ayi hai na hi wo mujh se milne ayi, jabki usse apne dost k behavior par sharminda hona chahiye.)

Wo ariha ko call karta hai, ariha call recive karti hai.

Asad,
Assalamualaikum.

Ariha,
Walekumsalam.
Kahi ye , q call ki apne?

Asad,
Wo mujhe ap se milna hai, Or ye last time hai jo mai ap se milne k liye keh raha ho.

Ariha,
Wo actually mujhe bhi ap se milna tha, jo last time hoa mujhe bhi uske liye apko sorry bolna tha.

Ok mai kal college k baad apse milne ati ho apke office.

Asad,
Nai,

Ariha,
Kya?

Asad,
Mera matlab office me nahi kahi bahar milte hai.

Ariha,
Ok, thik hai .

Or ariha phone rakh deti hai.

Asad ko Arab ka khayal ate hi wo gusse me a jata hai.

Asad,
Arab u just wait n watch teri us harkat ka jawab tujh par kitna bhari padne wala hai.

Tabhi Asad ki ammi ka call ati hai.

Asad,
Ji ammi kahiye.

Asad ki ammi,
Beta tum aj nashta kiye begair hi office chale gaye.

Asad,
Ha ammi wo ek bahot important meeting thi, bas abhi khatam hoyi hai meeting.

Asad ki ammi,
Acha, thik hai tum khana kha lo phir mujhe tumse ek zaruri baat karni hai.

Asad,
Ap kahiye ammi mai khana kha longa.

Asad ki ammi,
Beta wo ariha k ghar se ab tak koi jawab nahi aya, mujhe lagta hai is shadi k liye unki na hai. Tum kaho toh hum dusri ladki ko chal kar dekhe.

                            jin ka pyarWhere stories live. Discover now