JIN KA PYAR (PART 45)

102 16 25
                                    

Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.

Sham ko sana ariha k ghar par ati hai, or ariha k sath uske room me baith kar batein kar rahi hoti hai ariha usse pochti hai k akhir sana ne kisko ghar par drop kiya tha.

Sana,
Are yaar tere ghar par tujhe hi drop karongi na.
Wait Tu aise q poch rahi hai or tune call par bhi kaha tha k mai tujhe lene nahi ayi Arab aya tha,
Ye sab kya hora hai or Tu kya kehna chahti hai kuch samjha sakti hai q k mujhe kuch bhi samajh nahi a raha hai.

Ariha,
Samjhaongi pahle mujhe samjh lene de uske baad tujhe bhi samjha dongi. (Or ariha sochne lagti hai subha jo kuch bhi hoa tha, koi toh gadbad hai akhir sana k sath kon aya tha, usse dar lagta hai)

Sana,
Acha wo sab thik hai arab kab aya or Tu usse kab mili, or maine sufiyan or arab ko call ki thi but uska no band jara tha.

Ariha,
Wo(ariha kehne hi jati hai k uske phone par asad ki call a jati hai wo call recive karti hai)

Asad,
Assalamualaikum, ariha kaisi hai ap.

Ariha,
Walekumsalam, achi ho .

Asad,
Wo mujhe apse ek zaruri baat karni hai.

Ariha,
Ji boliye mai sun rahi ho.

Asad,
Nahi phone par nahi hum mil sakte hai.

Ariha,
Hmm, abhi toh sham ho gayi hai n kal mai thoda busy ho toh hum parso mil te hai, ok.

Asad,
Parso.

Ariha,
Q koi problem hai.

Asad,
Nahi thik hai. Mai rakhta ho parso milte hai allah hafiz.

Ariha,
Allah hafiz.

Sana,
Kya keh rahe the ye majno, milne k liye.

Ariha,
Ha keh raha tha kuch baat karni hai.

Sana,
Acha aisi konsi baat karne wala hai jo mil kar hi ho sakti hai.

Ariha,
Pata nahi.

Sana,
Hmm 🙄acha. Kal kaha busy hai tu ?

Ariha,
Kahi nahi bas aise hi bol diya, (asal me ariha kal arab se mil kar usse sab pochna chahti hai)

Sana,
Acha koi nahi or dono chai pine lagte hai.

Molvy sahab bhi a jate hai wo living room me baithe hote hai sath me dadi, abba bhi hote hai.

Molvy sahab jab ghar me guste hai tabhi unhe jin ki mojodgi ka ehsas hota hai. Ariha k abba unhe subha jo bhi hoa tha sab batate hai.

Molvy,
Mujhe ariha ka kamra dekhna hai or ariha ko bulao.

Dadi,
Ji arman jao ariha ko bula kar lao.

                            jin ka pyarKde žijí příběhy. Začni objevovat