JIN KA PYAR (PART 41)

158 20 45
                                    

Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.

Arab ek dam chup khada ariha ko dekh raha hota hai ariha ro rahi hoti hai wo chah kar bhi ariha k ansu nahi poch pata Or na kuch kehta hai bas wo usse dekhta rahta hai.

Kuch der baad ariha khamoshi todti hai, usse aankho se ansu bahte rahte hai or wo kehti hai.
Jabse tum gaye ho pata nahi mujhe kya ho gaya hai bas gusse me rahti ho kisi se ache se baat nahi karti ho har waqt bas man karta hai ji bhar kar ro lo man karta hai tum mere samne raho or mujhe manate raho or mai na mano tumse ladti raho acha lagne laga hai mujhe tumhare sath guzara har lamha, or bas yehi chahti ho k zindagi bhar tum issi tarah mere nakhre uthate raho.

Ariha ka itna kahna tha k Arab k chahre par muskan a jati hai, (uska wo halka sa muskura na or ansu se bhigi laal ankhe wo itna zhubru lag raha tha k jo usse aise dikhta dekhte hi raha jata)
Arab ariha k pass ata hai wo ariha k hatho ko apne hath me lene k liye hath badhata hi hai phir rok jata hai (q k wo ariha ko chu nahi sakta tha us taveez k hote hoye. )
Ariha usse dekhti hai,

Yaha sufiyan Arab ban kar uske room me baitha hota hai, tabhi ek mulazim usse nashte k liye bola ne ata hai  .
Sufiyan usse kehta hai tum jao mai ata ho. Ye Arab kaha ra gaya 2gante ho gaye usse gaye hoye. Chalo ab niche toh jana hi hoga .
(Sufiyan niche nashte k liye jata hai usse dar laga rahta hai k kahi Arab k abba ko us par shak na ho jaye.

Sufiyan, (as Arab)
Assalamualaikum
(wo kursi par baith jata hai)

Arab k Abba ,
Walekumassalam
Kaise ho?

Sufiyan,
Thik ho par ap aise q poch rahe hai.

Arab k Abba,
Isliye k kal tumhe itne din baad khush dekh kar bahot acha laga, aise hi raha karo kisi mamoli ladki k liye khud ko barbad karna sahi nahi hai.

Sufiyan,
Barbad nahi ho raha ho mai uske piche mai, pyar karta ho usse or behisaab pyar karta ho.

Abba,
Acha bas karo ab nashta karo tumse bahas kar k apna mood kharab nahi karna chahta ho. Or wo nashta karne lagte hai.

Sufiyan  bhi nashta karne lagta hai, tabhi farah or uski family waha ati hai.

Farah k abba,
Assalamualaikum ,
Toh nashta ho raha hai yaha.

Arab k abba,
Ha sahi waqt par aye ho ao baitho sath me nashta karte hai.

Farah Arab k pass wali kursi par baithti hai .

Farah,
Kaise ho?

Arab,
Thik ho , tum yaha kaise?

Farah,
Kya matlab tumhe acha nahi laga .

Arab,
Mera matlab achnak subha subha yaha isliye..

Farah,
Ok wo abba ne kaha k chalte hai kafi din baad sab normal lag raha hai.

Arab,
Ok, abab nashta kar lo phir baat karenge. .
(Or wo nashta karne lagta hai farah bhi nashta karne lagti hai)

                            jin ka pyarWhere stories live. Discover now