JIN KA PYAR(PART 25)

344 32 34
                                    

Assalamualikum,
Jin ka pyar;
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.

Sufiyan ariha or Arab ko lene k liye nikalta hai, farah bhi uska picha karti hai.

Ariha car k pass khadi rah kar apne charo taraf dekhti hai, tabhi Arab achanak se uske samne a kar khada ho jata hai.

Ariha der jati hai, uske mate par pasina a jata hai.

Arab,
Kya hoa itni ghabra q rahi ho?
(Wo uske mathe ka pasina pochte hoye kehta hai).

Ariha,
(Piche hone lagti hai, usse der lagta hai par piche car hoti hai or wo us se takra kar rok jati hai, tabhi wo piche palat kar dekhti hai toh car bilkul thik hoti hai).

Wo hairan ho kar Arab ko dekhti hai.

Ariha,
Ye ca ca car(wo ghabra kar kahne ki koshish karti hai, tabhi Arab uski baat kat kar kehta hai).

Arab,
Mai tumse aj saaf saaf batana chahta ho, mai bahot pyar karta ho tumse, mai yaha sirf tumhare liye aya ho .

Is tarha mujhe apni berukhi mat dekho, mujhe taklif hoti hai.

Q nahi maan jati tum, k tum bhi mujhe se pyar karti ho, mai janta jo that u love me, bolo ariha , bolo ariha?

Ariha,
Nahi karti mai tumse pyar,
Tumhe kya lagta hai tum mujhe dara kar, apni mohabbat ka ikrar kara loge.

Nahi karti mai tumse pyar, suna tumne.

Arab,
Ariha, ariha meri jaan. (Wo ariha k kandho ko pakad ta hai or ariha ki ankho me dekhta hai, ariha bhi Arab ko dekhti hai, or arab usse behosh kar deta hai.

Or usse utha kar car me baitha deta hai, or khud bhi ariha k pass baith jata hai.

Arab,
Sorry meri jaan,
Dekho na mai kitna pyar karta ho tumse pyar karta ho par tumhe meri kadar nahi hai aisa kab tak chalega.

Ab dekho na tum hosh me toh meri baat sunti hi nahi, or tumhara ye berukha behavior mai jheel nahi sakta. (Wo uske balu se ko hath me le kar kehta hai)

Ab Bas mai thak gaya ho tumhara intezar kar ke, bas abhi or isi waqt mai tumhe apne sath le kar jaonga, is duniya se door jaha na tum kisi ko janti hogi or na tumhe koi.

Or na tumhe kisi ka khatra ho,
Hum ek alag hi duniya banayenge.

Mai tumhari sari yadein meta donga, jab tumhe koi yaad hi nahi hoga toh tumhe takleef bhi nahi hogi.

Or Arab ariha k sar par hath rakhta hai, k wo ariha ki sari yad dash khatam kar sake.

Tabhi sufiyan apne jado se Arab k baju me a jata hai, or Arab ka hath pakad leta hai.

Sufiyan,
Ye kya kar raha hai tu, or Arab ko le kar jadu se car k bahar a jata hai, ye kya karne ja raha tha toh, itni badi galti kaise kar sakta hai toh.

                            jin ka pyarWhere stories live. Discover now