JIN KA PYAR(part 15)

306 32 15
                                    

Assalamulaikum
jin ka pyar,
Online novel,
By:chahat akhtar shaikh ❤❤.


Ariha, sana or arab teeno ghar k liye nikal jate hai, ariha or sana dono bike par jati hai or arab apni car par jata hai , ariha k jane k baad arab bhi jane k liye car on karta hai tabhi usse kuch nazar ata hai ki ariha khatre me hai,
Arab chok jata hai or jaldi se car se utar kar dekhta hai par tab tak ariha or sana ja chuke hote hai Arab jaldi se apni car me baith ta hai ariha k ghar k raste par jata hai.

Ariha or sana bike par batee karte hoye ja rahi hoti hai . Tabhi achanak ek badi si car ati hai or sana ki bike ko zor dar dhakka marti hai, jiski ki wajah se sana Dis balance ho jati hai or bike gir jati hai sana or ariha dono hi girti hai magar sana ko jayada chot nai ati or ariha kafi door ja kar gir jati hai or ariha ko kafi jayada chot bhi ati hai.

Sana apne ap ko sambhal kar khadi hoti hai usse ariha kahi nazar nahi ati toh wo apne ass pass ariha ko dhondhne lagti hai tabhi ek dusri car pass ati hai usme se ek ladka bahar ata hai, (asad us ladke ka naam)

Sana apne ap ko sambhal kar khadi hoti hai usse ariha kahi nazar nahi ati toh wo apne ass pass ariha ko dhondhne lagti hai tabhi ek dusri car pass ati hai usme se ek ladka bahar ata hai, (asad us ladke ka naam)

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

( asad mirza khan)

Asad,
I u all right, chale mai ap ko hospital le kar chalta ho ap ko bahot choot ayi hai.

Sana,
Nai meri friend nai mil rahi hai wo bhi mere sath thi pata nai kaha hai nazar hi nahi ari hai pls ap usse dhoonne me meri madad kar.

Asad,
Ok.

Or dono ariha ko dhoondh ne lagte hai, farah ye sab chup kar dekh rahi hoti hai, tabhi waha arab ata hai or sana se pochta hai ariha kaha hai sana kehti hai nahi pata usse hi dhoodh rahe hai, arab apni ankhein band kar k ariha ko mahsos karta hai or jab usse ariha kuch door par dekhti hai toh wo bhag kar ariha k pass jata hai or ariha ko uthane lagta hai tabhi arab ko bahot zor dar shok lagta hai or wo ariha se door ja kar gir jata hai, wo samjh jata hai k koi gadbad hai wo sana ko awaz deta hai or sana or asad a kar ariha ko uthate hai or wo usse hospital le kar jate hai.

Sana or ariha ko hospital me admit kiya jata hai, farah waha bhi invisible ho kar rahti hai or sab kuch dekhti hai, arab ko itna pareshan dekh kar wo samajh jati hai ki arab ariha se pyar karta hai par phir bhi wo manna nahi chahti,
Arab sana or ariha k ghar walo ko bata deta hai or dono k ghar wale hospital me a chuke hote hai, sana ko jayada choot nahi ayi hoti hai is liye us ki patti kar dete hai, par ariha ka bahot khoon bah gaya hota hai wo bahot sirious hoti hai.

Doctor ariha ki family se Kehte hai ki ap ki Beti bahot serious hai, uska blood bahot jayada bah chuka hai, or humare pass abhi O negative blood nahi hai hum khushis kar rahe hai agar app kisi ko janti hai toh us se bola let blood Dene k liye, q k ariha ki family me bhi O negative blood kisi ka nahi hai.

Arab or asad wahi pass khade sari bate sun rahe hote hai,

Asad,
Mera blood same hai mai khoon de sakta ho, or wo doctor k sath andar chala jata hai.

Arab,
Akhir kya ho raha hai ye sab mai ariha ko hath q nai laga pa raha ho, kuch bhi ho mujhe kuch bhi kar k ariha ko bachana hoga,
Mai ariha ko bacha sakta ho par mai usse hath tak nai laga sakta why ❓
Q hora hai ye sab mere sath?

Or Arab sab se chupte hoye ariha k pass jata hai wo behosh hoti hai Arab uske pass jata hai or uske sar par hath rakhta hai k wo usse thik kar sakta hai, par Arab jaise hi uske sar par hath rakhta hai Arab ko phir se zordar shok lagta hai or wo gir jata hai, wo khud ko sambhal kar uth ta hai or ariha ko dekhta hai, Arab ki aankho me ansu hote hai.

(Jab Arab girta hai tab uski awaz se ariha ko halka sa hosh a jata hai or wo Arab ki batoo ko sunti hai par Arab usse dhondhla dikhai deta hai)

Arab,
Aj pahli baar mai khud ko itna bebas mehsoos kar raha ho, tumhe kuch nai hoga mai tumhe kuch hone hi nahi donga kuch bhi kar k tumhe thik kar donga dekhna tum.

Or Arab waha se chala jata hai.

Ariha ki family asad ka shukriya karti hai or asad kehta hai acha ab mai chalta ho uncle kafi der hogai hai ghar par sab wait kar rahe hai mera or asad ghar k liye nikal jata hai.

Farah arab ki halat delh dekh kar samajh jati hai ki Arab ariha se pyar karta hai,

Farah,
Par Arab ariha ko asani se bacha sakta hai usne ariha ko bachaya q nahi?
Khair usne bachaya nahi toh koi baat nai par mai aj is ariha ka kissa hi khatam kar dongi.
Or farah invisible ho kar ariha k kamre me jati hai ariha behosh hoti hai, farah usse is halat me dekh kar bahot khush hoti hai.

Tum ek insan ho kar mera mukable a kar khadi thi, tumhe laga tum mujh se mera Arab cheen logi, mai aisa kabhi nahi hone dongi,

Or farah ariha ka gala daba ne jatati hai par farah ko bhi zor daar shok lagta hai or wo gir jati hai, farah khadi hoti hai or ariha ko gusse se dekh kar kehti hai akhir ye sab kaise ho ya, ye kaise taqat thi jis ne mujhe itni door phek diya, mai tumhe chodongi nahi jaisa muka mila tum bhi khatam ho jaogi.

Or farah waha se chali jati hai or ghar par a jati hai.

Arab hospital k bahar banch par baitha hota hai or uski aankh me ansu hote hai, wo Sochta hai ki akhir ye sab q ho raha hai abhi tu Maine tum se apne Dil ki baat bhi nahi kahi oor itna kuch ho gaya akhir ye sab Dusri baar hai, pale toh Maine tum he bachana liya tha par ab Maine those der kar di, sorry ariha,
Par ab or nahi tumhare hosh me ate hi mai tum he apne Dil ki sari baat bata donga, or tumhe ek chot bhi nahi lagne donga, saya ban kar rahunga tumhara, bas tum jaldi se thik ho jao.......

                            jin ka pyarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें