JIN KA PYAR (PART 58)

44 12 30
                                    

Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.

Rasame shuru hoti hai, Sare jin mil kar kuch padhte hai pahle sardaar padhte hai phir Arab uske baad Sare jin usse duhrate hai iske baad ek sone ki thali me khubsurat hi jacket ati hai jisse sardaar k gulam pahna te hai phir heero se jada hoa taj ata hai jiske ate hi Sare jin Arab k naam ka naara lagate hai. Sardaar ko ye dekh kar bahot gussa ata hai, wo Arab ko taj pahnate hai.

Arab k taj pahnte hi us taj me se roshni nikalti hai jo pore mahal me phail jati hai or awaz ati hai
Mubarak ho sardaar Arab raza.
Aj se ap is jin ki saltanat k sardaar ho apka faisla hi akhiri faisla mana jayaga. Phir awaz rok jati hai roshni bhi khatam ho jati hai.

Arab,
Mai ap sab ka pore dil se shukar guzar ho, mai apni pori koshish karonga k mai ye zammedari pori tarah se nibha sako. Or ap me se kabhi bhi kisi ko koi bhi problem ho ya koi bhi masla aye toh ap log sidha a kar mujh se baat kare kisi k though baat nahi karni hai ap ko.

Ye keh kar arab sardaar ki kursi par baith jata hai. Or sardaar uske bazu  wali kursi par baith jate hai sab log ate hai arab ko badhai dete hai, jashan kafi der tak chalta hai.

Sufiyan arab k pass ata hai uske gale lagta hai mubarak ho bhai mai bahot khush ho tere liye.

Arab,
Shukriya bhai.
Yaha asad farah ko kafi baar call try kar chuka hota hai par phone band batane ki wajah se baat nahi ho pati.

Raat ko ariha or uski family khana kha kar so jati hai ariha bhi so jati hai wo khawab dekhti hai k Arab or uski shadi ho rahi hai khawab me dono ne bahot hi khubsurat kapde pahne hoye hai balke uske pori family ne bahot hi nayab or khubsurat kapde pahne hoye hai.

Dono bahot khush hai, dono ki family sath hai fajar ki azan se kuch der pahle uski ankh khol jati hai.
Ankh kholti hai wo muskurane lagti hai.
Ariha,
Kitna acha khawab tha, Allah kare iski tabeer achi or ye jaldi hi sach ho. 4 baj rahe hai Chalo namaz hi padh leti ho wo uthti hai or tahajud ki namaz padhti hai wo namaz padh hi rahi hoti hai k usse apne kareeb kisi k baithne ka ehsas hota hai. Wo jab salam pher kar dekh ti hai toh wo arab hota hai.

Ariha,
(Hans kar)
Tum yaha is waqt.

Arab,
(Wo ariha k hath ko apne hath me le kar kehta hai)
Ha mai yaha is waqt waise jin hone ka sabse bada fayada yahi hai mere liye k jab mera dil karta hai mai tumhare pass a jata ho.

Ariha,
Acha toh mr jin ap sardaar ban hi gaye akhir Or ye taj kitna khubsurat hai suit kar raha hai tum par. Balke mujhe toh aisa lagta hai k ye taj bana hi tumhare liye hai.

Arab,
Hmm, rahne bhi do ab itna toh mat chadhao mujhe. (Wo hans kar kehta hai)
Acha tum pahno isse wo taj ariha k sar par rakh deta hai.

Bilkul shahzadi lag rahi ho. Waise bhi tum ho meri shahzadi dil karta hai duniya ki sari ashaishe tumhare kadmo me rakh do .

Ariha,
Nahi baba sari khawahish pori ho jayegi toh zindagi jeene ka maza nahi ata or phir mai alsi bhi ho jaongi.

Arab,
Hmm sahi kaha tumne kuch khawahish baki rahe toh hi acha hai.
Waise tumne ache se ab tak meri tarif nahi ki kaisa lag raha ho mai tumhe pata hai maine bahot jayada miss kiya tumhe agar tum waha mere sath hoti na toh meri khushi ka toh koi thikana hi nahi rahta.

                            jin ka pyarWhere stories live. Discover now