JIN KA PYAR (PART 51)

93 16 33
                                    

Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.

Farah khane ki table par ati hai or teeno sathe me khana khane lagte hai.

Arab,
Mai tum dono ko shukriya kehna chahta ho k tum dono mera sath de rahe ho thank you so much.

Farah,
Iski kya zarurat hai mai toh hamesha tumhara sath dongi.

Arab or sufiyan usse dekhne lagte hai.

Farah,
Mera matlab hai dost ki tarah.

Arab,
Acha
Next day.
Arab apne room me leta hoa apne ammi abbu k bare me soch raha hota hai usse unki bahot yaad a rahi hoti hai.

Farah subha subha hi apne abbu se milne jati hai take unhe sab bata sake or unse koi raye le sake, or sochti hai k waha se a kar asad se milegi.

Sufiyan Arab ko college chalne k liye kehta hai.

Arab,
Tu aj aj mera maan nahi hai mai ammi abbu se milne jaonga, but tu ja college or ariha ka dhiyan rakhna.

Sufiyan,
Thik hai, ho sake toh chacha chachi ko mana lena.

Arab,
Ha

Sufiyan college chala jata hai Arab kafi der tak gumsum baitha hota hai tabhi uske ammi abbu uske samne a jate hai wo unhe dekh kar khush hota hai par kuch kehta nahi q k wo janta hai k wo zarur usko le jane ki hi baat karenge.

Arab ki ammi,
Kaise ho beta?
(Muskura kar kehti hai)

Arab,
Kaisa bhi raho ap logo ko kya fark pad ta hai ap ne toh chod diya hai na mujhe akela.

Arab k abba,
Nahi beta aisa nahi hai, hum tumhe kaise chod sakte hai bhala.
Acha ab chalo juma ko tumhari taj poshi hai sardaar ne alan kar diya hai.
Ye baat sun kar Arab ko ek jadka sa lagta hai k akhir achanak aisa kaise ho gaya koi toh masla zarur hai, wo soch me gum rahta hai.

Arab k abba,
Kaha kho gaye, ab toh sab thik ho gaya na taj poshi hone k baad tum wapas a jana akhir sardaar banne k baad koi tumhari mukhalifukat nahi kar sake ga.

Arab,
Par meri ek wish hai jo mai chahta ho k alla dono meri taj poshi se pahle pori kare.

Arab k abba,
Kya khawahish hai tumhari bolo?

Arab,
Abba mai chahta ho k ap dono ariha k ghar ja kar uska hath mere liye mange or monday ko hi humari magni bhi kara de, mai chahta ho sardaar banne se pahle ya phir u keh le k jane se pahle mai ariha se magni karna chahta ho, or monday ko isliye q k us din ariha ka birthday hai usse surprise dena chahta ho.

Arab k abba,
Kya bakwas kar rahe ho ye wish hai tumhari ya shart.
(Wo gusse se kehte hai)

Arab,
Abba kaisi baat kar rahe hai ap mai kaise koi shart rakh sakta jo ap se pls Abba ammi jo ap dono chahte hai wo toh ho hi raha hai toh meri bhi ye wish pori kar de magni hi karna chahta ho shadi thodi.

                            jin ka pyarWhere stories live. Discover now