JIN KA PYAR (PART 49)

118 19 26
                                    

Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh 💖.

Ariha sana ki call recive karti hai or usse baat karne lagti hai.

Sana,
Kya yaar ariha aj college q nahi ayi pata hai kitna miss kiya maine tujhe.

Ariha,
Acha Sana mai tujhe thodi der me call karti ho abhi mai thoda thaki hoyi ho.
(Ye keh kar ariha phone rakh deti hai)

Sana,
Acha,
Isse kya hoa hai , hmm koi baat nahi thodi der me phir se call karti jo.

Ariha phone side me rakh kar leat jati hai, uski aankho se ansu bahne lagte hai wo sab kuch soch kar roti hai, usse asad par bahot gussa ata hai man toh kar raha hai k uski jaan le lo par mai aisa nahi kar sakti. Anam a kar ariha ko kehti hai api fresh ho kar a jaye abba bula rahe hai.

Ariha,
Ha thik hai tum chalo mai ati ho.

Anam chali jati hai or ariha fresh hone k liye chali jati hai.
Yaha arab apne ghar ata hai wo bahot gusse me hota hai ghar me ate hi wo saman todne lagta hai awaz sun kar sare nukar a jate hai par kisi ki himmat nahi hoti k wo arab ko roke ya usse kuch poch le tabhi sufiyan ata hai or jaldi se arab ko pakad leta hai ye kya kar raha hai toh pagal ho gaya hai, sambhal apne ap ko, or servent ko ishara karta hai k ye sab saaf kar de.
Sufiyan arab ko le kar uske room me jata hai.

Sufiyan,
Kya hoa arab Tu itna gusse me q hai.

Arab sufiyan ko sab batata hai.
Arab,
Mera ji chah raha hai k mai uski jaan abhi le lo par ariha ne mujhe rok diya hai.

Sufiyan,
Sahi kiya ariha ne dekh pahle toh tu apne ap ko thoda cam kar, wo koi mamoli raste par chalta phirta ladka nahi hai wo bahot naam chin business man hai usse toh is tarah nahi maar sakta.
Or baat rahi ariha ki toh tu usse asad se dur rahne k liye keh de.

Arab,
Tujhe kya lagta hai ariha uske piche padi hai are wo ariha k piche pada hai or mujhe ache se pata hai wo ab bhi ariha k picha nahi chodega, par ab agar maine usse ariha k ass pass bhi dekha toh mai usse jaan se mar donga.

Sufiyan,
Ha dekhna toh maar dena but abhi toh aram kar phir hum sath me khana khate hai.
Ye keh kar sufiyan apne room me chala jata hai.
Arab gusse me baith jata hai uske dimag me bas asad ghum raha hota hai. Tabhi waha farah a jati hai Arab farah ko dekh kar khada ho jata hai.

Asad apne ghar par ata hai uski ammi or dono bhai Living room me hi baithe hote hai.

Asad ki ammi,
(Asad k pass ati hai)
Kaha gaye the beta mai subah se tumhe call kar rahi ho tum kaha the?

Asad,
Kaam se gaya tha isliye call recive nahi kar paya sorry acha mai fresh ho kar ata ho phir sath baith kar khana khate hai.

Ammi,
Tum sach bol rahe ho na, tum thik ho na(ammi uske chahre ko dekh kar kehti hai)

Asad,
Ha ammi thik ho mujhe kya hona hai.

Ammi,
Acha jao fresh ho kar ap hum dinner k liye tumhara wait kar rahe hai.

Asad fresh hone k liye apne room me chala jata hai, room me a kar wo sara waqia sochne lagta hai jo hoa tha uski kuch samjh me nahi ata k kya kare.

                            jin ka pyarWhere stories live. Discover now