JIN KA PYAR (PART 59)

49 13 33
                                    

Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.

Sare jin Arab ko dekh kar khade ho jate hai, Arab apni kursi par baith jata hai.

Arab,
Toh aj hum sab isliye ek sath hoye hai k ap sab mujhe bataye k humari sultanat me kya ho raha hai is ki pori malumat chahiye kal issi waqt phir majlis hogi or mujhe ap sab or sultanat k Sare jin yaha chahiye, yaha kaam karne wale or gulam, Sare hakim or is shahar k Sare bawaqar jin mujhe janna hai k akhir kya ho raha hai ab ap sab ja sakte hai ye keh kar Arab apni jagah se uth jata hai, Sare jin ek ek kar k chale jate hai par sardaar Or unka wajir wahi ruke hote hai.

Arab,
Ap bhi ja sakte hai janab.

Sardaar,
Mujhe tumse baat karni hai.

Arab,
Ap ap se mukhatib hoye ap logo ka sardaar ho mai.

Yaha farah bhi Arab ko dekh kar khush ho jati hai k kal Arab yaha majlis me busy hoga or waha asad ariha se shadi kar le ga.

Sana or ariha college khatam hone k baad sana ariha ko ghar chod time hai.

Ariha,
Tujhe kya lagta hai kal mujhe jana chahiye silver font par.

Sana,
Ha Arab ne tere liye surprise taiyar kiya hai tujhe jana chahiye.

Ariha,
Ok ab Tu ja or ghar pohanch kar mujhe call kar dena.

Sana,
Ok by.

Ariha ghar me ati hai sabse salam karti hai, tabhi Sare mulana bhi ate hai padhne k liye.
Ariha apne room me chali jati hai fresh ho kar wo padhne baith jati hai, Arab aisa q karega bhala agar usse mujhse kuch kehna hota toh wo mujhe kal hi bata deta is tarah farah ko q bhejta. Samajh nahi a raha hai kya karo.arab ko bulati ho
(Ye keh kar wo Breclet ko touch karti hai. Or kuch der rokti hai par Arab nahi ata.
Yaha Arab ko pata chal jata hai k ariha usse bula rahi hai par wo sardaar k sath hota hai isliye kuch nahi karta.

Arab,
Boliye kya kehna hai.

Sardaar,
Kamre me chale mujhe apse akele me baat karni hai.

Arab,
Hmm zarur.
Chaliye.
(Ye keh kar Arab sufiyan ki taraf dekhta hai sufiyan samajh jata hai or wo invisible ho kar Arab k sath kamre me a jata hai Arab k or sufiyan k abba wahi khade rahte hai kamre me jate hi sardaar kehte hai, unke sath wazir bhi hota hai)

Sardaar,
Ye kya kar rahe ho tum kya zarurat thi ye sab kehne ki majlis me ye sab karne se pahle pocha q nahi tumne humse pagal ho gaye ho.

Arab,
Kya matlab hai apka.

Sardaar,
Matlab ye k jo hum kahenge tumhe wahi karna hai, usse jayada kuch karne ki koi zarurat nahi hai. Samjhe tum.

Arab,
Hmm par mai aisa q karo ga sardaar mai ho toh har kaam mai ap se poch kar q karonga.

Sufiyan sari batain sun kar hairan rahta hai.
Sardaar wazir ki taraf dekh kar kehte hai.

                            jin ka pyarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें