JIN KA PYAR (PART 65)

42 10 3
                                    

Assalamulaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.

Farah gusse me lal ho jati hai, uski ankho me gussa junoon saaf dikhai de raha tha.
Arab k jane k baad ariha ghar me jati hai , wo samajh nahi pati k wo kya kare , wo sochte sochte so jati hai ammi uske kamre me ati hai usse baat karne k liye lekin ariha ko sota dekh kar uske pass baith jati hai or uska sar sahlati hai. Unki ankho me ansu hote hai.
Allah tumhara naseeb acha kare meri bacchi or tumhe har musibat se bachaye. Ammi k ansu ariha k chahre par girte hai toh ariha ki ankh khul jati hai wo uth kar baith jati hai.

Ariha,
Ammi ap yaha kab ayi mujhe pata bhi nahi chala.

Ammi,
Bas abhi ayi tum so rahi thi isliye mai tumhare pass hi baith gayi. Pata nahi phir kab ye mouka mile.

Ariha,
Ap aisa q keh rahi hai ammi.

Ammi,
Tumhare abba ne Arab se shadi k liye ha kar di hai ab jaldi hi tum yaha se shadi kar k chali jao nhi.

Ariha,
Ye yye ye kya keh rahi hai ap ammi? Mujhse poche bhi nahi kisi na.

Ammi,
Ye kya keh rahi ho tum, tum Arab se pyar karti ho na or usse hi shadi karna chahti ho phir tumse kya pochana.

Ariha,
Ha karna chahti ho shadi par abhi nahi pahle mai

Ammi,
Tum bhi janti ho k tumhare abba ne q ha kahi hai, or wo sahi bhi hai arab tumhara har haal me sath dega meri beti.

Ariha,
Par ammi

Ammi,
Kya baat hai beta kya tum is shadi se khush nahi ho, molvy sahab se bhi baat ki tumhare abba ne unhone ne bhi yehi kaha k Arab tumhari hifazat karega.

Ariha,
But unhone aisa q kaha.

Ammi,
Mujhe nahi pata par jo jinnat tumhare piche pade hai Arab hi inse tumse save rakh sakta hai.
Ye qudrat k faisle hai qudrat hi jane Arab kabhi bhi teri khushiyon k beech nahi ayega maan ja ariha.

Ariha,
Thik hai ammi,jaisa ap sab ko sahi lage.

Ammi,
Nahi tum khush ho tabhi ye hoga warna nahi.

Ariha,
Ha ammi mai khush ho ab khana de de bahot bhok lagi hai.

Ammi,
Tum hath moh dho lo mai khana le kar ati hai. Ammi khana lati hai or ariha ammi se batain karte karte khana khati hai.
Yaha farah or sufiyan magni ki tayari ho rahi hoti hai, kal magni hai or ye Arab ab tak aya nahi mai ja kar khud le kar ata ho or ariha se bhi mil longa.
Sufiyan insan ki duniya me a jata hai, wo apne ghar par ata hai or seedha Arab k kamre me jata hai.

Arab,
Sufiyan Tu yaha?

Sufiyan,
Ha kal magni hai meri tujhe toh yaad tha nahi maine socha mai hi yaad dila do lene aya ho tujhe.

Arab,
Yaad tha mujhe mai subha a hi jata, ab a gaya hai toh sath khana khate hai phir tu chale jana mai subah a jaonga.

                            jin ka pyarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें