JIN KA PYAR(PART 22)

284 31 22
                                    

Assalamualikum
Jin ka pyar;
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖❤.

Arab or farah ki shadi ki khabar sun kar sufiyan ka dil tut jata hai, or farah ko khush dekh kar wo or udaas ho jata hai ki farah bhi arab se shadi karna chahti hai isliye wo jashan se bahar a jata hai or gusse me chekh ta hai or zameen par baith kar rone lagta hai.

Sufiyan,
Ya Allah q kiya aisa apne aj tak maine apse kuch nahi manga bas farah ki mohabbat mangi thi or apne wo bhi nahi di.

Kya karu mai ab, mai uske bina nai raha sakta, or ye jan kar mai jee nahi sakta k wo arab se pyar karti hai, kya karu ab mai kaise banao apne liye uske dil me apni jagah, ya Allah ap hi kuch karo mai nahi seh sakta is dard ko.

Or wo rota rahta hai.

Jashan me,
Arab apne abba ko dekhta rahta hai.

. Arab,
Abba mai ap se kuch kehna chahta ho.

Arab k abba,
Baad me baat karenge.

Arab,
Mujhe is shadi k bare me baat karni hai.

Arab k abba,
Kaha na baad me baat karenge.

Or wo sabse batein karne lagte hai.

Arab,
Mujhe ap sab se kuch kehna hai (wo buland awaz me kehta hai)

Sab uski taraf dekhne lagte hai.

Jaisa k mere abba ne abhi ap sab ko bataya ki wo meri shadi bahot jald farah k sath karange.

Toh mai ap sab ko kisi dhoke me nahi rakhna chahta, na hi apne abba or na hi ap sab ko mai aj hi ap sab ke samne keh raha ho k mai farah se shadi nahi karonga.

Arab k abba,
Ye tum kya bol rahe ho Arab apni zaban ko kabo me rakho.

Arab,
Abba mai ap ki har baat man sakta ho par ye nahi, or ye baat mai sabke samne is liye keh raha ho k koi baad me sabko jhooti kahani na sunaye is liye sari baat Maine sabke samne keh di hai, or ab mai is baat par koi or baar nahi karonga or na kisi k sawal ka jawab donga.

Or Arab waha se jane lagta hai.

Farah,
Ek min arab, sabke sawal ka jawab nahi dena mat do par mere sawal ka jawab diye bina tum kahi nahi ja sakte.

Q nahi karni hai mujh se shadi, iski koi wajah toh hogi,
Mujhe wajah bata do phir na kabhi is bare me baat hogi or na koi tumse sawal kare ga.

Arab,
Mai tumhara jawab deh nahi ho.
Or Arab jane lagta hai.

Tabhi farah uska hath pakad leti hai.

Farah,
Chalo thik hai tum mujhe jawab deh toh nahi ho, par mujhe pata hai k tum q is shadi se inkar kar rahe ho, Tu ye baat sabko pata honi chahiye na.

Toh mai ap sab ko bata do k hamare hone wale sardar, Arab raza khan ko ishq hogaya hai wo bhi ek insan se, us ladki k liye hi ye insano ki duniya me gaya hai.

                            jin ka pyarWhere stories live. Discover now