Chapter 21

660 79 80
                                    

"Ayo beta ...andar ayo na", Mr. Dubey welcomed both Naina and Rajveer inside.

"Nihar ne bataya tha ki tum dono 10 baje tak pahuch jayoge. Well I can say you both are right on time", Mr Dubey said.

"Vo kya hai na Uncle Army valon ki ye sabse buri aadat hoti hai...always on time", Naina said with a beautiful smile and hands joined in greeting Mr and Mrs Dubey.

"Acha tum dono ke nam kya hai? Nihar ne bataya tha par bas dhyan se hi nikal gya", Mrs Dubey said putting down water glasses.

"Jee mera nam Vinay aur ye Veera hai", Rajveer said.

"Vinay aur Veera...bahut pyare nam hai. Bilkul tum dono ki jodi ki tarah", Mrs Dubey complimented them.

Naina and Rajveer blushed on it, sneaking a look at each other.

"Ajkal ke jode to alag kism ke hote hai...is tarah sharmaate hue to maine kam hi dekh hai unhe", Mr. Dubey teased both of them.

Rajveer gave a embarrassed smile, what can he say. Today is really special for him!

"Vaise Masoori kaise ana hua?", Mrs Dubey asked.

"Vo darasal hum bas shadi ke bad kuch dino ke lie yahan ane vale the aur jaise hi Nihar ko pata chala usne jid pakad li ki ghar to jana hi padega. Vo I think kafi waqt se ghar nahin aya to shayad hume bhej kar aapke gusse ko compensate karna chahta hai", Rajveer replied smoothly.

"Sach kahan beta...Nihar kariban sal bhar se ghar nahin aya hai aur na hi ane ka uska koi plan hai. Kisi mission par hai vo...phone bhi kam hi karta hai", Mr Dubey replied in a disappointment.

"Uncle ye job hi aise hai. Desh ke bad hi kuch aur ata hai in Army valon ke lie", Naina said making faces.

Rajveer smiled in his mind over her perfect enactment of an army wife.

"Vaise tum dono kaise mile? Arrange marriage hai tumhari ya fir pahle se jante the ek dusre ko?", Mrs Dubey asked excitedly.

Naina smiled at her. She is clearly a friendly lady.

"I guess Aunty it's a mixture of all", Naina said with a blushing smile.

"Matlab?", she asked.

"Asal me Aunty...Veera ka bhai mera best friend hai. Bachpan se sath pale bade aur iska ghar mera dusra ghar tha..chutti ke din vahi hota tha mai. Bachpan se ise dekha aur jana. Kabhi kabhi jabardasti khelne aa jata karti thi humare sath....hum ise khilana nahin chahte the sath to itna ladti thi...unhi ladai jhagde par pata nahin kab aur kaise pyar ka rang chad gya..hume khud bhi pata nahin chala...meri training ke waqt jab hum alag hue...", Rajveer was telling the story looking in Naina's eyes who is mesmerised in it.

"Fir?", Aunty asked intriguingly.

"Fir bas mai training se ise call karne laga aur iske bhai ko ek din pata chal gya", Rajveer replied.

Naina chuckled imagining the scenario, "aur fir Bhaiya ne jo class li Vini ki...bechare ko chand taare dikh gaye".

All four of them laughed.

"Par finally he accepted aur unhone ghar valon ko bhi mana lia", Naina completed the story.

"Aur fir tum dono ki shadi ho gai. Hai na", Aunty exclaimed over which they nodded in agreement.

Uncle chucked over his wife's excitement, "Nihar ki shadi ki badi jaldi hai tumhari Aunty ko. Islie har kisi ki shadi ki kahaniya hi sunti rahti hai".

"Acha ek bat batao...Nihar ko koi ladki pasand hai kya? Tum dono ko to pata hoga..", Aunty asked.

Ek mai aur ek tuWhere stories live. Discover now