They paid for it and taking their stuff they went to search Nandini. They came down and saw Nandini in clothes shop right now.







"Ek kaam karo Aru, Nandini ke paas jao main yeh gadi mein rakh ke aata hun." Bobbing her nead she moved to Nandini.







She went slowly behind her and tapped her shoulder making her a bit scared. Seeing her Nandini sighed.







"Dara diya tumne." She gave her sheepish smile.





"Aap yahan kya kar rahe ho?"





"Tumhare liye aur sabke liye kapde dekh rahi hun. Diwali ke liye. Baad mein last moment pe sar khaoge mera. Vaise Manik kahan hai?" She asked looking around.






"Woh samaan car mein rakhne gaye hai. Chaliye pehle hum aap hi kya lete hai." Saying this she held her hand and they both looked around. Soon Manik came and started shopping.






**********






"Kahan thi tum kal?" Nisha's dadi asked making her sigh.



"Rehaan ke ghar. Aradhya ki tabiyat theek nahi thi." She replied, thinking they won't questions her more she took step to go up tp her room but they weren't ready to leave her today.




"Uske maa baap nahi hai kya jo tujhe uski dekh bhaal karni pad gayi kal?"



"Dadi! Woh meri dost hai. Aap aise kaise bol sakte ho? Aur aisa nahi hai ki Rehaan vahan pe akela tha. Manik uncle aur Nandini aunty bhi thi kal." Nisha said irritated with their behaviour.





"Nisha! Badi hai woh tumnse theek se baat karo." Her father scolded her making her sigh and look at him.



"Seriously papa! Aapko meri baat galat lagti hai aur dadi ki nahi? Jo aaye ji mein woh voh bole jaa rahi hai. Kya galat kiya maine Aradhya ke yahan rehkar? She wasn't well aur uske sath main ruk gayi. Bas! Aap itni choti si baat ka batangad kyun bana rahe hai?" She bursted out in anger making her father glare at her and her dadi too.





"Dekha, shadi se pehle se hi uske ghar rehkar aa rahi hai. Log kya kahenge? Isse accha toh tum isko shadi jald se jald kara do." Dadi again poked her nose making her sigh.




"Aap log meri shadi ke peeche kyun pade ho? Buddhi nahi huyi hun main. I can handle myself. Aur rahi baat meri shadi ki toh main Rehaan se hi shadi karungi."




"Arey! Shadi karni hai tum dono ko toh kar lo abhi...woh aata kyun nahi tumahar hath mangne?" Her father asked where as her mother was going to interrupt but he glared at her.






"Because he needs time." She said stressing on each word.






"Time chahiye use? Kis liye? Tum 25 ke upar hone wali ho...aur woh bhi 30 mein aa jayega. Aur kitna time chahiye? Tumhari bua ki beti ki shadi ho gayi aur tumhe yahan shadi nahi karni hai. Waah!" Dadi said in a taunting way making her angry.





"Maine nahi kahan tha aapki natin ko shadi se pehle pregnant hone ke liye." She shouted in anger at her making her father angry and slap her.




Happily Ever After - 2 (DISCONTINUED)Where stories live. Discover now