Abba,
Nai ( wo or kuch kehne hi wale hote hai ki ammi bol padti hai)

Ammi,
Thik hai hum jayenge kal ariha k ghar par.
Arab k abba unhe dekhne lagte hai or phir thik hai keh kar room me aram karne k liye chale jate hai.

Yaha farah apne abbu se milne ati hai or unhe sari baat batati hai or unse kehti hai k ab mai asad k sath mil ariha ko Arab se alag kar degi.

Farah k abba,.
Beta dekho mujhe ye sab thik  nahi lag raha hai tum agar kuch galat karogi toh Arab bhi piche nahi rahne wala wo tumhe nuksan pohcha sakta hai isliye mai chahta ho tum bhool jao usse wo tumse pyar hi nahi karta toh ye sab kar k kya milega tumhe.

Farah,
Kya kaha apne chod do ye sab, usne mera sakoon chin liya hai mujhse dam ghotta hai mera gussa ata hai un dono ko sath dekh kar mujhe.
Or ap puch rahe hai k kya milega mujhe sakoon milega abba mujhe.

(Wo ye sab keh hi rahi hoti hai k iski ammi a jati hai unhone sari baat sun li hoti hai wo ate hi farah ko ek zordar thappad marti hai or uske dono bazu pakad kar gusse se usse zhinzhudti hai)

Farah ki ammi,
Kya kar rahi ho tum ye sab or kya karne ka soch rahi ho pagal toh nahi ho gayi tum.

Farah,
(Apne hatho ko choda kar kehti hai)
Ha ho gai ho mai pagal, pagal kar k rakh diya hai Arab ki mohabbat ne mujhe , pahle uske siwa kuch nazar nahi ata tha or ab usko barbaad karne k siwa kuch nazar nahi ata.

Ye sun kar farah ki ammi ko bahot gussa ata hai wo ek or thappad farah ko marti hai.

Farah ki ammi,
Khabar dar jo tum Arab ya ariha ko koi nuskan pohchane ki koshish bhi ki, toh mai bhool jaongi k tum meri beti ho or sab kuch Arab ko bata dongi. Samjhi tum or ap is sab me iska sath de rahe the yakeen nahi hota mujhe ap dono ki soch itni gatya ho sakti hai.
(Ye keh kar wo waha se chali jati hai, farah unhe jate hoye dekhti hai or phir apne abba ko dekhne lagti hai uski aankho me ansu hote hai, uske abba kuch kehne hi wale hote hai k farah bhi waha se chali jati hai)

Yaha asad  ariha k ghar par aya hota hai or uske abba se unki haal chal poch raha hota hai tabhi ariha college se ati hai of usse dekh kar ariha ko bahot gussa ata hai.

Ariha,
Ye yaha kya kar rahe hai
(Wo gusse se kehti  hai)
Ye sunte hi asad k sath sath ghar k baki log bhi ariha ko dekhne lagte hai, or sochte hai k ariha is tarah se q baat kar rahe hai.)

Ariha k abba,
Kya hoa beta tumhe tum thik ho na ye kaise baat kar rahi ho mujhe milne aya hai asad.

Ariha,
A a wo thakan ki wajah se keh diya abba mera matlab tha k itni badi hasti humare ghar kaise a gayi ye kafi busy rahte hai phir bhi apse milne ka waqt nikal hi lete hai.

Abba,
Hmm acha tum thak gayi ho na jao rest karo (ariha apne room me chali jati hai)

Asad,
I think ariha ko mera yaha ana acha nahi laga, thik hai uncle mai chalta ho or Mujhe apse ye kehna tha k kal ammi apse milne ayengi.

Abba,
Ammi par q sab thik hai na.

Asad,
Ha thik hai bas aise hi ap ki sehat pochne k liye.

                            jin ka pyarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें