Sana,
ha tu so ja hum bhi chalte hai, subha aongi tujh se milne.

Dadi,
Roko mai arman se keh deti ho wo tum dono ko ghar chod ayega.
Dadi arman ko kehti hai or arman zara or Sana ko unke ghar chodne chala jata hai.

Ariha ki ammi bhi ariha k kamre me ati hai, wo bhi ariha ka matha check karti hai usse bukhar hota hai.
Amma isne dawa toh li hai na, mai iske abba se kehti ho doctor ko lete aye ek baar check kar k dawa de denge toh acha hoga.

Dadi,
Ha tum keh do gaffar ko wo ata hi hoga, doctor ko sath lete aye ga

Ariha ki ammi ariha k abba ko call kar k doctor ko sath lane ka kehti hai. Ariha so chuki hoti hai dadi ariha k sar k pass hi baithi hoti hai or dua padh padh kar ariha k upar phokti rahti hai.

Kuch der baad ariha k abba doctor ko sath le kar ate hai, doctor ariha ko check karta hai,
Inhe toh fever hai wo , or pasina bhi a raha hai, maine ye dawa likh di hai le kar unhe jab hosh aye toh kuch khila kar khila dijiye ga.

Dadi,
Ji thik hai.

Ariha k abba doctor ko bahar tak chor k ate hai.

Ariha k abba,
Kya hoa hai ariha ko.

Dadi,
Shayad abuhawa badalne ki wajah se iski tabiyat kharab hoyi hai thik ho jayegi.

Ariha k abba,
Acha mai toh dar gaya tha .

Acha isse aram karne de chale khana kha le.

Dadi ha chalo.
Acha shaheda jab ariha jage toh isse khana khila kar dawa khila dena .

Ji amma.

Or sab khana khane chale jate hai.

Yaha sufiyan bhi khana khata hai, or wo log apne kamre me chale jate hai.

Sufiyan apne kamre me baitha farah k bare me sochta rahta hai .

Tabhi waha farah a jati hai.

Farah,
Mujhe hi yaad kar rahe the na?

Sufiyan usse dekh kar hairan ho jata hai, tum yaha?

Farah,
Ha mai yaha q nahi a sakti, mujhe tum se baat karni hai.

Sufiyan,
Tumhe baat karni hai wo bhi mujhse , i u sure acha moh se baat karne ayi ho ya hath se baat karogi hamesha ki tarah.

Farah,
Isi baat ki mafi magne ayi ho tumse, bahot galat kiya maine tumhare sath , sirf tumhare sath nahi balke Arab or ariha k sath bhi jabke mai ariha ko janti tak nahi phir bhi.

(Wo natak kar rahi hoti hai taki sufiyan uski batoo me a jaye)

Pls tum mujhe maaf kar do, ma ma mai Arab se  bhi mafi mang longi.
(Or wo rone lagti hai) sufiyan usse ruta dekh kar dukhi ho jata hai.

                            jin ka pyarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें