JIN KA PYAR (PART 32)

Magsimula sa umpisa
                                    

Sana,
Ha mujhe bhi lagta hai ye jin bhoot wagera hote hai, maine kai qisse bhi sune hai jinnat k.

Tabhi ek ladki khadi hoti hai or kehti hai.
Hii guys chalo koi game khelte hai what about antastri.

Sab ek sath kehte hai ha or phir do teams ban jati hai.

Sufiyan ariha Sana teeno ek hi team me hote hai.

Sabhi student masti karte hai or maze karte hai tabhi bus k samne se ek tarak ane lagti hai shayad us tarak ki break fail hoti hai or wo bus se takrane wali hoti hai.

Sare student teachers chillane lagte hai or driver bhi ghabra jata hai wo bus sambhal nahi pata tarak or bus takrane hi wale hoti hai tabhi Arab dono k beech a jata hai or unhe apne hath se rok deta hai.

Bus or tarak dono bahot zor se peche se uthti hai phir zor se zameen par girti hai par kisi ko kuch hota nahi. Arab furan waha se gayab ho jata hai. Sufiyan samjh jata hai k wo Arab tha.
Sab bahar a kar dekhte hai.

Sab idher udhar dekhne lagte hai Kisne roki car , lagta hai koi Angel tha get back to the bus or sab log bus me baith jate hai.

Asad apni office me hota hai or yahi soch raha hota hai k akhir wo kaise ariha ko shadi k liye kaise manayein.
Agar mai usse nahi mana paya toh ammi mujhe kisi or ladki se shadi karne ko kahengi.

Wo table par hath marta hai, kya karo uske sath zabardasti bhi nahi kar sakta usse taklif dene ki soch bhi nahi sakta toh asal me kaise do usko takleef.

Tabhi azan hoti hai or uska dil aj namaz padhne ka karta hai, wo uthta hai or namaz padhne k liye jata hai.

Wo namaz me ro ro kar khuda se ariha ko mangta hai , k a khuda mujhe koi rasta dikhao usse mera nasseb bana do ya Allah.

Ariha log jahapana forest pohanch jate hai.

Ok students ab mai apke naam longa or ap sab yaha a kar sign karenge.

Wo sabka naam lete hai or sab sign kar k ek taraf ho jate hai.

Arab raza khan , sufiyan where is Arab ?

Tabhi Arab waha a jata hai.

I am here sir, sorry for late wo sign karta hai or sufiyan k pass a kar khada ho jata hai.

Ariha usse dekh rahi hoti hai, tabhi ariha k dimag me idea ata hai jis se wo Arab ka sach pata kar sakti hai.

Chalo aj sab tant lagana hai phir kal se is jungle k har hisse ki biography dekhenge.

Or sab student tant lagane lag jate hai, tant lagate lagate sham ho jati hai Arab ariha se thoda door door hi rahta hai.

                            jin ka pyarTahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon