The bitter past

540 54 10
                                    

Hello! Have a nice reading❤️

Meenakshi was dumbstruck seeing Abir, Kunal and Paarul in front of the door. She wiped her tears and turned her back towards them.
Abir: Ab muh modne se kuch nahi hoga maa! Aur kya kya chupaye hai aap! Is ghar ke aur kitne raaz hai?
Mishti: Abir..please, aunty ka abhi abhi discharge hua hai..hum sort out karlenge..
Abir: Nahi Mishti..har wakt sort out karna impossible hai..
Kunal: Bhai, Mishti sahi keh rahi hai..hum baith ke baat karte hai. Maa..

He went near Meenakshi and held her shoulders. All of them got seated in the hall and everyone were called by Abir.
Abir: Aap jo kuch bhi kehna chahti hai..sabke saamne kahiye.
Mishti: Abir..aunty, aap please aramse kahiye. Tension lene ki koi zaroorat nahi hai..hum sab aapke saath hai.
Meenakshi looked at Nanu.
Nanu: Meenu, ab wakt aagaya hai. Sabko batado. Kab tak tum akeli ye bhoj uthaogi..
Meenakshi: Jee baapuji.

Flashback

(Meenakshi's POV)

Hum pehle Rajkot ke bahar ek chote gaun me rehte the. Jab mai paida hui thi, Baapuji ye Rajvansh travels shuru kiye the. Mehul ke papa unke partner the. Company bahut jald ek acche position pe aaya. Tabhi mere aur Mehul ka shaadi hua. Abir ke paida hone ke baad hum Rajkot aaye. Yaha settle hue.

(By the same time, BP, BM, Shaurya, Varsha and Kuhu had arrived on request of Kunal. It was essential for them also to know the past.)

Humaare ghar me Ramu kaka kaam karte the..unke beti thi Paarul. Rajesh ne ek din Paarul se shaadi karke is ghar ke darwaze par khada hogaya. Mehul ke papa bahut gussa hogaye. Aur sudden heart stroke ke wajah se wo guzar gaye. Unka saara property Abir ke naam par tha. Rajesh ne Paarul ko leke phir gaun chala gaya. Waha kuch kaam karta tha.

Ek saal ke baad, Paarul apne haath me chota sa Kunal ko leke, roti hui is ghar me kadam rakhi. Rajesh ne uska paise churake kahi bhaag gaya tha. Tab maine Paarul se wada liya. Usne Kunal ko mujhe saunp diya.

Ek aur saal beet gaya. Aarohi hui. Uske saath khushiyan bhi lekar aayi thi meri beti. Isi ghar ke aangan me apne chote chote pairon se chalne ki koshish kar rahi thi. Tab tak Rajesh ka kuch bhi details pata nahi chala.

Wo din..September 23, us din Aarohi ka janam din tha..wo white colour frock pehanke, Baapuji ke kandon me baithke saara ghar ghoom rahi thi. Usko bhi balloons pasand hai. Abir ki tarah. Aur chocolate cake bhi pasand hai, Kunal ke tarah. Tum dono bhi usko bahut pyaar karte the.

Hum us din Rajkot ke bahar ek resort me uska birthday celebrate karne gaye the. Jaha tum logon ka kidnap hua tha..wahi..ek resort tha..baaees(22) saal pehle..
Hum waha khushiya manane gaye the. Lekin wo jagah..sirf hume pacchees saal ke gham dediya.

(BP remembered the incident and closed his eyes. BM had held his hand from the beginning. She held it more tighter.)

Us din, Singhania's aur Maheshwari's bhi aaye the. Unke company ka 1st year anniversary ke celebrations ke liye. Naman aur Naitik ji ke beech bhi kuch hua tha..isiliye wo aur Rajesh milke plan kiye..

BP interrupted in between.
BP: Hum sab apne Maheshwari industries ke 1st year anniversary celebrate karne gaye the..Naitik, Akshara..Naman, Pooja, Shaurya, Varsha sab the.. Anshuman aur Jasmeet Jalandhar gaye the..jasmeet ke nanaji ka tabayat bigad gaya tha.

Mishti tab teen saal ki thi, aur Kuhu do..Nannu bhi tha..wo bhi teen saal ka tha. Bahut chote the tum bacche.

Meenakshi continued.
Aarohi ka birthday party shuru hua. Cake cutting ke baad, bacche khelne lage..Tum log hide and seek khel rahe the. Tum dono ko dhoondte dhoondte Aarohi pata nahi kaise, us Naman ke haath me aagayi. Usne gun nikalke, Aarohi ke sar par rakh diya.

Baapuji aur Paarul, Kaushal aur Nidhi ke saath ghar chale gaye. Unko maine bhej diya. Jab mai wapis aayi, tab Naitik aur Kunal ko Naman gun point pe rakha tha. Aarohi, Abir Rajesh ke paas the.Mehul aur Vishambar ji door khade the.

Rajesh: Mai ise maardaalunga!
Mehul: Nahi! Abir ko chod do! Tumhe kitne paise chahiye? Jo bhi kaho mai karne ke liye tayyar hu! Mere bete ko chod do!
Naman: Are jaldi karo! Humare paas time nahi hai. Naitik Singhaniya! Tumhe kya laga? Mai tumhe itni aasani se chod dunga.
Mehul: Naitik bhaisaab! Please mere bete ko bacha lijiye please!
Meenakshi: Abir!!
Mehul: Meenu! Tum jao! Jao yaha se..

Meenakshi: Nahi! Aaru, Abir! Kunal! Rajesh? Tum!
Rajesh: Namaste bhabhiji. Kem cho?
Meenakshi: Rajesh..unko chod do! Mai tumhare saamne haath jodti hu! Please.
Mehul: Meenu! Nahi..
He takes out the gun in his pocket.
Naman: Are! Vishambar ji! Aapke damad mere saath hai! Aur aapke dost to gun dikha raha hai..ye bahut boori baat hai..

Mehul: Rajesh..unko chod do! Chodo!
Rajesh: Aap mujhse saat minute bade hai bhaiya! Isiliye aapse tameez se baat kar raha hu..saara property mere naam kardijiye.
Mehul: Mai aisa kuch nahi karnewala Rajesh! Wo baapuji ka paisa hai..unhone bahut mehnat ki usko kamane ke liye.
Rajesh: To apne beton ko aur is pyaari gudiya ko bhul jao..

Usne aarohee ke sir par gun rakh diya. Voh rone lagi.  Maine Mehul se gun cheenne ki koshish kee lekin wo nahi diya. Tab achaanak bullet  naman ke haath mein lagi. Usne Naitik aur Kunal chhod diya. Vishambar ji un dono ko apne paas le gaye aur ped ke peechhe chipne ki koshish kee, aur Naman ne Naitik ko goli maar di. Wo Vishambar ji aur Kunal ko chipne ki ishaara deke gir gaye.

Ye sab dekhkar Rajesh ne Abir ko dhakka diya. Naman aur Aarohi ke saath bhaag gaya.

Mai aur Mehul uske peeche bhaagne ki koshish ki lekin wo ek jeep me chale gaye. Humne police complaint file ki. Sab jagah unko dhoond liye lekin wo nahi mile.

Teen chaar mahine baad, Rajesh phirse aaya. Koi scam ke fake documents banakar Mehul ko phasa diya. Jab Mehul nahi maane, to khud ko shoot karke wo ilzaam Mehul par laga diya. Tab Abir 11 saal ka tha. Usne mujhe Naman ko rokte hue dekh liya aur tabhi bullet chala uske papa par. Mehul ko hospital leke gaye. Us raat wo bhi bhaag gaye. Pata nahi kaha chale gaye.

Meenakshi's POV ends.

Meenakshi: Isiliye ye sab itne saal se chupa rahe hai.
Mishti: Aunty..ab mai wada karti hu aapse.. Aarohi aur uncle dono bahut jaldi is ghar me aayenge. Ye Mishti Maheshwari ki promise hai.

To be continued..

How was the update! And the past is finally out!

Keep reading to know how Mishti will bring them back!

Love love❤️

Ye Rishte Hai Pyaar Ke Where stories live. Discover now