JIN KA PYAR(PART 25)

Start from the beginning
                                    

U love her, is tarha kaise kar sakta hai toh uske sath, apne gusse me kabo me kar, chal ab ariha ko hosh me la or usse uske ghar le kar chalte hai.

Farah, bhi waha hoti hai wo sab kuch dekh or son rahi hoti hai.

Arab,
Par maine ariha k samne apne powers use ki hai., pahle mai uske dimag se ye sab kuch bhoola deta ho jo aj hoa hai.

Or toh uski family k dimag se bhi sab kuch nikal de q k mai nahi chahta k ariha ko koi dante bhi, phir chahe wo uski family wale hi q na ho.

Sufiyan,
Thik hai, ja jaldi kar or usse hosh me la.

Farah ariha ko car me akela or behosh dekh kar, usse utha kar apne sath le kar chali jati hai.

Arab car me dekhta hai ariha waha nahi hoti, wo shock ho jata hai, ariha.

Arab,
Ariha car me nahi hai, (wo sufiyan se kehta hai).

Sufiyan,
What, kaha gayi, kahi usse hosh toh nahi a gaya or wo tujh se der kar kahi chali gayi.

Arab,
Kya bol raha hai toh, mai ne usse daraya nahi hai jo wo mujh se der kar bhage, or maine usse behosh kiya hai kisi dawa se behosh nahi hoyi hai jo apne ap hosh me a jati.

Kaha gayi ariha, yaar mujhe kuch thik nahi lag raha hai.

Or Arab or sufiyan dono hi apne power se dekhte hai k ariha car se kaise gayab ho gayi.

Or dono ko hi dekhai deta hai k farah ariha ko le kar gayi hai.

Sufiyan,
Ye kya kar rahi ho tum farah.
(Wo khud se kehta hai)

Arab,
Arab gusse se pagal ho jata hai, uski ankhein rang badalne lagti hai.

Or wo zor se chila ta hai,

Farah...

Or waha se gayab ho jata hai,
Sufiyan usse kuch kehta usse pahle Arab waha se gayab ho jata hai.

Sufiyan, bhi waha se gayab ho kar ariha k ghar par apni ek jin dost ko ariha bana kar lata hai, or usse se kehta hai usse tab tak yaha ariha ban kar rahna hoga jab tak wo asli ariha ko na le kar aye.

Ariha ki family, usse ariha samjhti or or khush ho jati hai.

Sufiyan,
Ariha or Arab college k kaam se gaye the or waha unki car kharab ho gayi or phone car k ander tha, or car band bhi ho gai thi isliye inhe late ho gaya or ye kisi ki call bhi attend nahi kar paye.

Sorry uncle, Arab ko important kaam tha isliye mai ariha ko le kar yaha a gaya, wo bhi ap se sorry kehna chahta tha par chacha ne usse kuch kaam de diya is liye wo nahi a paya.

I hope ap Arab or ariha se naraz nahi honge.

Ariha k abba,
Nahi beta kaam se gaye the or aisa ho gaya, toh koi baat nahi, bas fikar hoti hai maa baap ko bacho ki isliye gussa karte hai.

                            jin ka pyarWhere stories live. Discover now