Chapter-18

7.9K 755 91
                                    

" shehnaaz jaan Allah, why are you crying so much??" Aliyah asked kneeling in front of her.

" you came, I...i think..ki tu..bh..ii.." she hiccupped wiping her tears from the back of her hand, aliyah hugged her tightly, rubbing her back she tried to calm her.

" I am so sorry I am sorry meri jaan, mujhe maaf karde" she whispered.

" tu mujhse naraz hai, Tu bhi merse baat nh krna chahti hai tayi ammi ki tarah"

" nh mein khud se naraz hu, me tujhse dur rehna chahti thi taaki baad me mujhe teri yaad na aaye, me hurt thi ki Tu jaa rhi hai yahan nh hogi, mere saath, hum saath me tv nh dekh payenge, gossip nh kr paenge, shopping, aur pta nh ky ky, par me ky kru mein terse dur nh reh skti hu, me kese rhungi, terko pta hai mein humesa chahti thi ki Tu ishi ghr me rhe aur me bhut khush thi jab bahi ka rishta tujhse hua over the top wali khushi, sbse zyada, aur bahi or tere alag hone ka dhukh mujhe sbse zyada ho raha hai, me ky krungi jab tum log chle joage, mere pass na meri best friend hogi na shaitan Aly aur na hi ruksaar aapi aur sidharth bhai to tu janti hi hai, mat ja na, rukja yaheen, please, Tu na mera bacha le lio, mein bhi toh bachpan me teri doll ka bacha le leti thi, abhi tu merse le lio, jab bhi hoga tab" shehnaaz smiled.

" aur tere miyan nh maane toh"

" aise kaise nh manege, btao saari pressani toh me jhelu aur chlegi uski"

" nh maane toh dusra wala lelio" she added.

" aisa nh na hota hai aliyah"

" I know" she replied with tears in her eyes.

" tu na bahi ke saath bhag jaa,"

" aur usse ky milega"

" mujhe nh pta lekin mein terko dard me nh dekh skti Tu mujhe aise hi nachte gaate pasand hai"

" mujhe bhi pta nh mein ky ban gyi hu, let's have a party, humari last with Maryam"
************
" aap meri baat sun bhi rhe hai, mujhe nh jana hai yahan se hamid, hum sb khush the na sb saath me, aise kyu, mujhe ammi abbu ko chor ke nh jana" ruksaar said.

" ruksaar kon keh rha hai tumhe chorne ki tum jab cahe yahan aa ja skti ho unse baat kr skti ho, maine tumhe nh roka"

" ye sb hota hi nh agar shehnaaz ka rishta aap faisal ke Saath kr dete toh, ab dekhe kami toh hai na chaae aap kitna bhi ignore kar le, kal ko shehnaaz ko bhi feel hoga jab woh hum sbke bache dekhengi,"

" ruksaar kesi baatein kr rhi hai ap, faizal pehle se shadi shudha tha aise kese rishta kar dete aur ek bacha bhi hai, aap krleti mujhe nikah aise"

" humare yahan ladkiyon ki chlti hi kha hai, shehnaaz bhi koi khush nh thi bahi ke saath rishta krwake lekin fir bhi  sirf wahi ek lauti ladki nh hoti jo kisi ki dusri biwi bnti"

" tab aap phupho ki baat maan lete toh ye sb hota hi nh, sb theekh rehta, sb ek saath rehte khush rehte aur aaj aap log jo shehnaaz ke baare mein itna soch ke alg ho rhe hai ek din wahi sar ka bhoj ban jayegi apk aur abbu ammi ka aur mere bahi ko itni takleef ho rhi hai"

"Toh isme meri Behn ki toh koi glti nh hai"

" nh uski galti nh hai qismat ki glti hai, hamid aap jante nh hai aurton ko kin dukh dard se guzarna padta hai, me shehnaaz ka dard smjh skti hu lekin aap ek baar khud sochiye, agar me apko bacha na de paun toh ky ammi aur abbu ek baar bhi apk dusri shadi ke bare me nh sochenge, ya mujhse khfa nh honge, ammi ki glti nh hai woh sidharth ke bhalai ke bare me soch rhi hai unse narazgi kesi, alg hone se ky milega koi khush nh rhega,"

" sirf shehnaaz ke wajah se toh aap baki sbko alg nh kar skte,"

" ruksaar mein apni Behn ke liye khuch bhi kar skta hu aur yahan baat sirf shehnaaz ki nh, meri, abbu aur ammi ki bhi hai hum yahan zaleel hote nh bethenge, toh aage jo tumhara faisla" hamid stated.

" mtlb aap shehnaaz ke liye mujhe chor denge"

" maine aisa nh kha ye tumhara faisla hoga, par meri ek baat Jaan lo mere liye meri Behn sbse zyada important hai, ruksaar maine aaj tak apk har khwaish puri ki hai, lekin meri behn ko me nh chor skta hai aise kisi ke saath bhi, mein apko kabhi nh rokunga yahan aane jaane se, baat krne se lekin fir bhi apko aitraz hai toh aap yahi ruk skti hai"
**********
He was just tossing on the bed trying to get some sleep but all in vain, his thoughts, again and again, went to his " jaan-e-adaa" he smiled thinking about her sleepy figure in the back of his class dreaming about some stupid heroes, the way she gets startled seeing him, his thoughts broke hearing knock on his door, he looks at the clock, its past 2 a.m., stepping out of bed, he opened the door and come face to face with tipsy shehnaaz, her one hand has a bottle of beer and another hand busy in knocking, she looked up at his eyes and gave him her beautiful smile.

" Jaan what are you doing here??" he asked concern laced in his tonne.

" ye mera room bhi hai na, I mean jo apk hai woh mera hai right" she said entering into his room, he locked the door.

" apne pee hai"

" aap bhi peeyenge maine aadhi coldrink bachai hai, Allah miyan ye coldrink ki bottle hai andhere me ky dikhta nh apko" she told facing him, he took the bottle from her hand and placed it on the table carefully, she hugged him suddenly taking him off guard, his hands come on her waist pulling more into him.

" apk pta hai aaj itne dino ke baad mujhe yahan apk baahoon me sukoon mila hai, aise hi rhe, kitna acha lag rha hai" she confessed kissing his heart, her innocent confession took his heart away, he smiled kissing on top of her head.

" apko pta hai mujhe aap humesa se bhut khaddos lagte the, bhut zyada, humesa apna rob jamate the ap, shehnaaz ye kro, shehnaaz ye aise mat kro, blah..blahhhhh" she complained, placing her bare feet on his, she softly caressed her face, looking into his eyes.

" ek toh Allah aap itne bade hai, ki apko dekhte dekhte meri gardan dhukhne lagti hai" he bends down slightly to her level.

" ye thikh hai" he asked taking her smell in.

" haan"

" toh ab bhi kharoos lagta hu" she denied.

" toh???"

" ab aap apne lagte ho, jaise apko me humesa se janti thi, jaise mein apk liye hi bani hu, humara rishta na rooh ka hai janam, ye kabhi nh tootega, cahe hum kitne bhi dur ho jaye"

" kya bulaya apne mujhe" he asked touching her marvellous lips, she arched little closing her eyes.

" ky bulaya apne" he asked again near her mouth, his breath giving rise to goosebumps in her petite body.

" ja...na...m.." she moaned.

" khuch yu Izhar-e-Mohabbat ki unhone ki
Ab hum, hum na rhe,
Aur woh, woh na rhi"

Do like, comment and share with your friends ❤️❤️

Jaan-e- Adaa ( complete)Where stories live. Discover now