aapki kami

4 0 0
                                    

Raat ko aapki kami zyada mehsoos hoti hai, kabhi kabhi neend nahin ati aansoo girte hai sawan ke tarha yaadon ka toofan se larti hoon. Meri saansein aapke bina atak thi hai, aahein barti hoon. Dhoondhti hai meri nazrein aapko har pal, mere paas sab kuch hai laikin aap bina mein adhuri hoon. Kabhi kabhi yeh judai ka dard aisay doobta hai mujhe ke kuch khosh nahin rehta par mein dua karti hoon aur khudko yaad dilati hoon ke pehle bhi zindagi mein imtihan the aur khuda ne kabhi saath nahin choda tho dua nahin chodna mujhe. Aur jaisay aap kehte hai zyada waqt guzar gaya thoda rehgya aur woh bhi bheet jayega.

flowingWhere stories live. Discover now